What's new

Urdu & Hindi Poetry

.
Jitni Shiddat Se Mujhe Wo Yaad Aata Hai
Itna Tasalsul To Meri Sanson Mein Bhi
Nahi..


Mere Nazdeek Aa Ke Dekh Mere Ahsas Ki Shiddat,

Mera Dil Kitna Dharakta Hai Sirf Tere Naam K Saath…

Koi majboryan nhi hoten'

.
Log Qasdan wafa ni krty,

muhabbat kiya hai dil ka dard say manoos ho jana
Mata.e.jaan kisi pay waar k majboor ho jana..
 
.
Mumkin Hai K Sadiyon B Nazar Aye Na Soraj
Es Baar Andhera Mere Andar Se Utha Hai

Mera dil bhi shauk say todo, ek tajurba aur sahi,
Lakh khilonay tod chukay ho, ek khilona aur sahi !

Raat hai gham ki aaj bhuja do jalta hua har ek chirag,
Dil mein andhera ho hi chuka hai, ghar mein andhera aur sahi !

NaJaaNay is ziD Ka Nateeja Kya H0..?
Smajhtaa Dil B Nhi, tu B Nhi, Main B Nhi…

nateeja kuch bhi ho lekin, bahut pur-lutf jhagda hai...

woh kahte hain mera dil hai, main kahta hoon mera dil
 
. . . .
i hope its not already posted by me.
.
Wajood Apna na Rooh Apni...
Bas Ik Tamasha Yeh Zeest Thehri..
Na dill lagi main Sakoon Paaya,
Na Aashqi main Qaraar Paaya,
Na Wasl Lamhay Hi Raas Aaye,
Na Firaaq hi Hum Guzaar Paaye.. Ajab Yeh Chahat kay Marhalay hain,
Na Jeet Paaye, Na Haar Paaye.
Na hi Yaadon ki Dhunnd Utri,
Na Dill kay Daman ko Jhaar Paaye..
Na Aankhein Khwabon ko Dhoond
Paae'en, Na khawaab Aankhon ko Dhoond
Paaye...!
 
.
urdu-funny-poetry.jpg
 
. . .
another one!

Tu na mili toa zingdi puri puri thee
jab tu mili toa aik bar bhi nah khai halwa puri thee
 
. . .
Mujhko Kahne Do Ki Main Aaj Bhi Ji
Sakta Hoon
Ishq Nakam Sahi , Zindgi Nakam Nahin Unko Apnane Ki Khwahish, Unhen Paane
Ki Talab
Shauq Bekar Sahi, Saiye Ghum Anjam
Nahin
 
.
MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
Is daur k rasm riwajon se,
In tahton se inn tajon se,
Jo zulm ki kokh se jante hain,
Insani khoon se palte hain,

Jo nafrat ki bunyadain hain
Aur khoni khet ki khadein hain,

MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

Wo jin k hont ki jambish se,
Wo jin ki aankh ki larzish se,
Qanoon badalte rehte hain,
Aur mujhrim palte rehte hain,

In choroon k sardaron se
Insaaf k pahre daron se
MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

Jo aurat ko nachwate hain,
Bazar ki jins banwate hain,
Phir is ki asmat k gham main,
Tehrikain bhi chalwate hain,

In zalim aur badkaron se
Bazaar k in mamaron se
MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

Jo qoam k gham main rote hain,
Aur qoam ki dault dhote hain,
Wo mehlon main jo rehte hain,
Aur baat ghareeb ki kehte hain,

In dhoke baz luteron se
Sardarun aur waderon se
MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

MAZHAB K JO BYOPARI HAIN,
WO SAB SE BARI BEMARI HAIN,
WO JIN K SIWA SaB KAFIR HAIN,
JO DEEN KA HARF-E-AKHIR HAIN,

IN JHUTE AUR MAKKARON SE
MAZHAB K THEKEDARON SE
MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

JAHAN SANSOON PE TAZERAIN HAIN,
JAHAN BIGRI HOI TAQDERAIN HAIN,
ZATOON K GORAKH DHANDE HAIN,
JHAN NAFRAT K YE PHNDE HAIN,

SOCHON KI AESI PSTI SE
IS ZULM KI GANDI BSTI SE
MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

Mere hath main haq ka jhanda hai,
Mere sir pe zulm ka phanda hai,
Main marne se kab darta hon,
Main moat ki khatir zinda hon,
Mere khoon ka suraj chamke ga
To bacha bacha bole ga
MAIN BAGHI HON
MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO
 
.

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom