What's new

Urdu & Hindi Poetry

bachookitarha.jpg


JOO MERA HAI KISI OOR KO Q DOO.....??
MA APNI MOHABAT MA HO BACHOO KI TARHA.....
 
.
waqt Nahi

Har Khushi hai Logon Ke Daman Me, Par Ek Hansi ke Liye waqt Nahi,
Din Raat Daudti Duniya Mein, Zindgi ke Liye Hi waqt Nahi,

Maa Ki Loree ka Ehsaas To Hai, Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi,
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke, Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi,

Saare Naam Mobile Mein Hain, Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi,
Gairon Ki Kya Baat Karen, Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi,

Aankhon Me Hai Neend Badee, Par Sone Ka Waqt Nahi,
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua, Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi (100% fact)

Paison Ki Daud Me Aise Daude, Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahi,
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein, Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi, Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko, Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi……
 
.
Nari! Tum keval shraddha ho,

Yah aaj samajh to paayi.N hu.N,
main durbalata mei.N nari hu.N
Avyav ki sundar komalta,
lekar main.N sabse haari hu.N

Par mann bhi kyo.N,
itna dheela apne hi hota jaata hai
Ghanshyam khand si aankhon mein
Kyon sehsa jal bhar aata hai?

Sarvasva samarpan karne mi,
vishvas mahataru-chaya mei.N
Chupchap padi rehni ki kyo.N,
mamta jagti hai maya mei.N?

Nari! Tum keval shraddha ho,
Vishwas-rajat-nag-pal-tal mei.N,
Piyush srot si baha karo,
Jeevan ki sundar samtal mei.N

- Jayashankar Prasad
from Lajja

Now that's what I call pure Hindi. I didn't even understand one sentence entirely :laugh:
 
.
Jaanay Kub Koun Kisay Maar day KAFIR keh kar....
Shehar ka Shehar MUSLMAN huwa phirta hai.....
 
.
It is Urdu poetry which i will aways share here..... (Not Hindi)

Mosam-e-karb-e-intzaar bhi jhoot,
Dil na manay to wasl-e-yar bhi jhoot.

Aey mout Teri Talab bhi Lghzish -e-lab,
Aey zindagi Tera Aitbaar bhi jhoot.

Wusat-e-dastan-e-shouq ghalat,
Koshish-e-harf-e-ikhtasar bhi jhoot.

Sirf os ka safar hy sach ''Mohsin'',
Meri raah bhi mera Ghubaar bhi jhoot.
 
.
Yoheen besabab na phira karo koi shaam ghar bhi raha karo
woh ghazal ke suche ketaab hai use chupkay cupkay parha karo

koi hath bhi na milaye ga jo galay milo gay tapak se
yeh naye meezaaj ka shahar hai zara faslay se mila karo

abhi rah mein kae mor hain koi ayay ga koi jayay ga
tumhein jis kisi ne bohla diya use bholnay ki duaa karo

mujhe ishtehar si lagte hain yeh mohabbaton ke kahanian
jo kaha nahi woh suna karo jo suna nahi woh kaha karo

kabhi husan parda nasheen bhi ho zara ashiqana lebaas mein
mein jo ban sanwar ke kahien chalon meray sath tum bhi chala karo

nahi bayhajaab woh chand sa k nazar ka koi asar na ho
isay itne garme-e-shauq se bari deer tak nah taka karo
 
.
Zaat, Firqon ka to Bahana tha..

Yun bhi Us ney to Chor Jaana tha..

Eik Ghar Uska Hum Samajhte rahay..

Har Jagah Uska Aashiyana tha..

Yeh Uska Dosh tha Ya thi Majboori

Ya Uski Fitrat me DiL Dukhana tha.

Mujhko Talab thi Faqat Uski mohabat ki

Uska Dost to Saara Zamana tha.
 
.
wo tum na thay ik khayal tha

meri soch ka he kamal tha

wo muhabbatein wo chahatein

meri uljhano ka jaal tha

meri zindagi mein theen jo ronaqein

wo tera he husn-o-jamal tha

jawab jis ka kabhi mila nahe

wo aisa he tu sawal tha

osay yaad kesay na karay koi

osay bhoolna bhi tu mohaal tha

ab os ki kia misaal don

wo tu ap apni misaal tha
 
.
Apnay ehsas say chu kar mujhay sandal kar do.
main kai sadioon say adhoora hoon mukamal kar do.
na tumhian hosh rahay or na mujhay hosh rahay.
is qadar toot k chahooo mujhay pagal kar do.

tum hatheli ko meray piyar ki mehandi say rango...
apni ankhoon main meray nam ka kajal kar doo..
is k sayay tallay meray khwab dahak uthaian gay....
meray chehray pay chamtka hua anchal kar dooo

dhoop hi dhoop hoon main toot k barsoo mugh per...
is qadar barsoo meri roh main jal thal kar doo...
jaisay sehraoon main har sham hawa chalti hay...
is tarah mugh main challo or mujhay thall kar doo

tum chupa lo mera dil oat main apnay dil ki...
or mujhay meri nighaoon say b oojhal kar doo...
masla hoon to nighahian na churaoo mugh say...
apni chahat say tawajah say mujhay hal kar doo

apnay gham say kaho har waqt meray sath rahay...
aik ahsan karoo is ko musalsal kar do..
mugh pay chha jaoo kisi aag ki surat jana...
or meri zaat ko sukha hua jungle kar
 
.
Kahte hain Bandar kitna bhi budha ho jaye par kood marna nahi bhoolta hai. Same applies to shayar ki jamat. It's about a Shayar changed his profession...

PaPu Ghurbat Se Tang Aa Kar Daku Ban Gaya.
Daketi Karne Bank Gaya Aur Kaha:

Arz Hai ... gaur farmayain..

Taqdeer Main Jo Hai Wohi Milega.
HandsUp, Apni Jaga Se Koi Nahi Hilega...
 
. .
janney kab koi mughey marr dey kaffir keh kar
shehr ka shehr musilman banna phirta hai
 
. .
*** is down today and im not in mood to type now.....

wah wah wah wah............:smitten:

Valued Customer!
This website access is restricted either due to instructions of Pakistan Telecommunication Authority or because of Policy Implementations by concerned ISP/WebAdmin.
In case you feel this webpage is legitimate and should be accessible, please contact our Customer Care Centre @1218.
Apologies for inconvenience..
 
.
wow, this will- for sure- be my fav corner :) Well one of my favourites by Ghalib:

Kisi ko dekh ke dil koi nawa-sanj-e-fughaan kyun ho? Na ho jab dil hi seeney main, to phir moun main zubaan kyun ho?

Yehi hai aazmaana to, satana kis ko kehtey hain? Adhu ke ho liye jab tum, to mera imtihaan kyun ho?

Wafa kaisi, kahan ka ishq, jab sar phorna tahraa... tu phir ae sang-dil tera hi sang-e-astaan kyun ho?
 
.

Pakistan Affairs Latest Posts

Country Latest Posts

Back
Top Bottom