What's new

Urdu & Hindi Poetry

bahut pahale se un qadamo.n kii aahaaT jaan lete hai.n
Firaq Gorakhpuri


bahut pahale se un qadamo.n kii aahaaT jaan lete hai.n
tujhe ai zi.ndagii ham duur se pahachaan lete hai.n

merii nazare.n bhii aise qaatilo.n kaa jaan-o-imaa.N hai
nigaahe.n milate hii jo jaan aur imaan lete hai.n

tabiyat apanii ghabaraatii hai jab sun-saan raato.n me.n
ham aise me.n terii yaado.n kii chaadar taan lete hai.n

Khud apanaa faisalaa bhii ishq me.n kafii nahii.n hotaa
use bhii kaise kar guzare.n jo dil me.n Thaan lete hai.n

jise suurat bataate hai.n pataa detii hai siirat kaa
ibaarat dekh kar jis tarahaa maanii jaan lete hai.n

tujhe ghaaTaa na hone de.nge kaarobaar-e-ulfat me.n
ham apane sar teraa ai dost har ehasaan lete hai.n

hamaarii har nazar tujhase nayii sauga.ndh khaatii hai
to terii har nazar se ham nayaa paiGaam lete hai.n

'Firaq' aksar badal kar bhes milataa hai ko_ii qaafir
kabhii ham jaan lete hai.n kabhii pahachaan lete hai.n
 
.
chhalak ke kam na ho aisii ko_ii sharaab nahii.n
Firaq Gorakhpuri


chhalak ke kam na ho aisii ko_ii sharaab nahii.n
nigaah-e-nargis-e-r'anaa teraa javaab nahii.n

zamiin jaag rahii hai ki inqalaab hai kal
vo raat hai ko_ii zarraa bhii mahv-e-Khvaab nahii.n

zamii.n us kii falak us kaa qaayanaat us kii
kuchh aisaa ishq teraa Khaanamaa_Kharaab nahii.n

jo tere dard se maharuum hai yahaa.N un ko
Gam-e-jahaa.N bhii sunaa hai ki dastayaab nahii.n

abhii kuchh aur ho insaan kaa lahuu paanii
abhii hayaat ke chehare pe aab-o-taab nahii.n

dikhaa to detii hai behatar hayaat ke sapane
Kharaab ho ke bhii ye zindagii Kharaab nahii.n
 
.
Sabke Hothon Par Tabassum Tha Mere Qatl Ke Baad
Jaane Kya Soch Kar Rota Rahaa Qaatil Mera............
__________________________________________________

Tumhe Maloom Hai Jaana K Tum Bhi Ek Qaatil Ho,
Mere Andar Ka Hansta Hua Insaan Tumne Maar Dala Hai…
___________________________________________________

Chade Parwan Chahe Ishq Ya Nakam Ho Jaye
Tumhare Chahne Walo Mai Bus Apna Naam Ho Jaye

Bohut Kohram Barpa Hai Hamare Khana-E-Dil Mai
Zara Tum Muskura Do To Hame Aaram Ho Jaye

Nigah-E-Rukh Ulat Do Tum To Jaise Din Nikal Aaye
Agar Zulfo Ko Bikhra Do To Sunhari Shaam Ho Jaye

Na Kuch Kahye Na Kuch Sunye Hamare Samne Rahye
Na Jane Kis Gali Mai Zindagi Ki Shaam Ho Jaye...!!!
 
.
Gair kyaa jaaniye kyo.n mujhako buraa kahate hai.n
Firaq Gorakhpuri


Gair kyaa jaaniye kyo.n mujhako buraa kahate hai.n
aap kahate hai.n jo aisaa to bajaa kahate hai.n

vaaqa_ii tere is a.ndaaz ko kyaa kahate hai.n
na vafaa kahate hai.n jis ko na jafaa kahate hai.n

ho ji.nhe.n shaq vo kare.n aur Khudaao.n kii talaash
ham to i.nsaan ko duniyaa kaa Khudaa kahate hai.n

terii suurat nazar aa_ii terii suurat se alag
husn ko ahal-e-nazar husn-numaa kahate hai.n

shikavaa-e-hijr kare.n kis dil se
ham Khud apane ko bhii apane se judaa kahate hai.n

terii rudaad-e-sitam kaa hai bayaa.N naa-mumkin
faayadaa kyaa hai magar yuu.N zaraa kahate hai.n

log jo kuchh bhii kahe.n terii sitam-koshii ko
ham to in baato.n ko achchhaa na buraa kahate hai.n

auro.n kaa tajurbaa jo kuchh ho magar ham to "Firaq"
talKhii-e-ziist ko jiine kaa mazaa kahate hai.n
 
.
jab nazar aap kii ho ga_ii hai
Firaq Gorakhpuri


jab nazar aap kii ho ga_ii hai
zi.ndagii zi.ndagii ho ga_ii hai

baarahaa bar-Khilaaf-e-har-ummiid
dostii dushmanii ho ga_ii hai

[baarahaa=everytime]
[bar-Khilaaf-e-har ummiid=contrary to every expectation]

hai vo takamiil purakaariyo.n kii
jo merii saadagii ho ga_ii hai

[takamiil=completion; purakaarii=slyness/cunning]

terii har pursish-o-meharbaanii
ab merii bekasii ho ga_ii hai

[pursish-e-meharbaanii=hospitality and benevolence]
[bekasii=despair/helplessness]

bhuul baiThaa hai tuu kah ke jo baat
vo merii zi.ndagii ho ga_ii hai

bazm me.n aa.Nkh uThaane kii taqasiir
ai "Firaq" aaj bhii ho ga_ii hai

[taqasiir=mistake]
 
.
kabhii paabandiyo.n se chhuuT ke bhii dam ghuTane lagataa hai
Firaq Gorakhpuri


kabhii paabandiyo.n se chhuuT ke bhii dam ghuTane lagataa hai
dar-o-diivaar ho jin me.n vahii zi.ndaa.N nahii.n hotaa

hamaaraa ye tajurbaa ki Khush honaa muhabbat me.n
kabhii mushkil nahii.n hotaa, kabhii aasaa.N nahii.n hotaa

bajaa hai zabt bhii lekin muhabbat me.n kabhii ro le
dabaane ke liye har dard o naadaa.N nahii.n hotaa

yaqii.n laaye.N to kyaa laaye.N jo shak laaye.N to kyaa laaye.N
ki baato.n se trii sach-jhuuTh kaa imkaa.N nahii.n hotaa
 
.
ko_ii na_ii zamii.n ho nayaa aasamaa.N bhii ho
Firaq Gorakhpuri


ko_ii na_ii zamii.n ho nayaa aasamaa.N bhii ho
ai dil ab us ke paas chale.n vo jahaa.N bhii ho

afsurdagii-e-ishq me.n soz-e-nihaa.N bhii ho
yaanii bujhe dilo.n se kuchh uThataa dhuaa.N bhii ho

[afsurdagii-e-ishq = disappointents in love]
[soz-e-nihaa.N = hidden sorrow]

is darjaa iKhtilaat aur itanii muGaayarat
tuu mere aur apane kabhii daramiyaa.N bhii ho

[darjaa = level/amount (of); iKhtilaat = closeness]
muGaayarat = aloofness; daramiyaa.N = in between]

ham apane Gam_gusaar-e-muhabbat na ho sake
tum to hamaare haal pe kuchh mehar_baa.N bhii ho

[Gam_gusaar = sympathizer]

bazm-e-tasavurrat me.n ai dost yaad aa
is mahafil-e-nishaat me.n Gam kaa samaa.N bhii ho

[bazm-e-tasavvuraat = gathering of thoughts/imagination]
[mahafil-e-nishaat = happy gathering]

mahabuub vo ki sar se qadam tak Khuluus ho
aashiq vahii ki husn se kuchh bad_gumaa.N bhii ho

[Khuluus = love/sweetness]
 
.
kuchh ishaare the jinhe.n duniyaa samajh baiThe the ham
Firaq Gorakhpuri


kuchh ishaare the jinhe.n duniyaa samajh baiThe the ham
us nigaah-e-aashanaa ko kyaa samajh baiThe the ham

raftaa raftaa Gair apanii hii nazar me.n ho gaye
vaah rii Gaflat tujhe apanaa samajh baiThe the ham

hosh kii taufiiq bhii kab ahal-e-dil ko ho sakii
ishq me.n apane ko diivaanaa samajh baiThe the ham

beniyaazii ko terii paayaa saraasar soz-o-dard
tujh ko ik duniyaa se begaanaa samajh baiThe the ham

bhuul baiThii vo nigaah-e-naaz ahad-e-dostii
us ko bhii apanii tabiiyat kaa samajh baiThe the ham

husn ko ik husn kii samajhe nahii.n aur ai 'Firaq'
mehar_baa.N naamehar_baa.N kyaa kyaa samajh baiThe the ham
 
.
maut ik giit raat gaatii thii
Firaq Gorakhpuri


maut ik giit raat gaatii thii
zindagii jhuum-jhuum jaatii thii

kabhii diivaane ro bhii pa.Date the
kabhii terii bhii yaad aatii thii

kis ke maatam me.n chaa.Nd taaro.n se
raat bazm-e-azaa sajaatii thii

[bazm-e-azaa=a wake (gathering of mourners)]

rote jaate the tere hijr nasiib
raat furqat kii Dhalatii jaatii thii

[furqat=separation]

kho_ii kho_ii sii rahatii thii vo aa.Nkh
dil kaa har bhed paa bhii jaatii thii

zikr thaa ra.ng-o-buu kaa au' dil me.n
terii tasviir utaratii jaatii thii

husn me.n thii in aa.Nsuuo.n kii chamak
zindagii jin me.n muskuraatii thii

dard-e-hastii chamak uThaa jis me.n
vo ham ahal-e-vafaa kii chhaatii thii

tere un aa.Nsuuo.n kii yaad aa_ii
zindagii jin me.n muskuraatii thii

thaa sukuut-e-fazaa tarannum-rez
buu-e-gesuu-e-yaar gaatii thii

Gam-e-jaanaa.N ho yaa.N Gam-e-dauraa.N
lau sii kuchh dil me.n jhil-milaatii thii

zindagii ko vafaa kii raaho.n me.n
maut Khud raushanii dikhaatii thii

baat kyaa thii ki dekhate hii tujhe
ulfat-e-ziist bhuul jaatii thii

the na afalaak gosh bar aavaaz
beKhudii daastaa.N sunaatii thii

karavaTe.n le ufaq pe jaise subah
ko_ii doshizaa ras-masaatii thii

zindagii zindagii ko vaqt-e-safar
kaaravaa.N-kaaravaa.N chhupaatii thii

saamane tere jaise ko_ii baat
yaad aa-aa ke bhuul jaatii thii

vo teraa Gam ho yaa Gam-e-duniyaa
shamma-sii dil me.n jhil-milaatii thii

Gam kii vo daastaan-e-niim-shabii
aasmaano.n koo nii.nd aatii thii

maut bhii gosh bhar sadaa thii "Firaq"
zi.ndagii ko_ii giit gaatii thii
 
.
Ram Ka Naam Badnam Na Karo

dekho ai divaano, tum ye kaam na karo
Raam ka naam badanaam na karo, badanam na karo

Raam ne ha.Ns kar sab sukh tyage, tum sab dukh se dar kar bhaage
Krishhn ne karm ki rit sikhai
Tumane farz se aa.Nkh churaai, o raam duhaai
Hare krishhna hare raam
Jivan naam hai kaam ka, aaram na karo
Raam ka naam badanam na karo, badanam na karo
dekho ai divaano …

Raam ko samajho, krishhn ko jaano, ni.nd se jaago o mastaano
Jit lo man ko pa.dh ke gitaa
Man hi haaraa to kya jitaa, to kya jitaa
Hare krishhna hare raam
Jivan ko nashe ka tum gulam na karo
Raam ka naam badanam na karo, badanam na karo

dekho ai divaano, tum ye kaam na karo
Raam ka naam badanam na karo, badanam na karo


 
Last edited by a moderator:
.
vo firaaq aur wo visaal kahaa.N
vo shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaa.N

fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise
zauq-e-nazzaaraa-e-jamaal kahaa.N

dil to dil vo dimaaG bhii na rahaa
shor-e-saudaa-e-Khat-o-Khaal kahaa.N

thii wo ik shakhs ke tasavvur se
ab vo raa.Nnaaii-e-Khayaal kahaa.N

aisaa aasaa.N nahii.n lahuu ronaa
dil me.n taaqat jigar me.n haal kahaa.N

hamase chuuTaa qimaar_Khaanaa-e-ishq
vaa.N jo jaaye.N girah me.n maal kahaa.N

fikr-e-duniyaa me.n sar khapaataa huu.N
mai.n kahaa.N aur ye vabaal kahaa.N
 
.
mujhako maaraa hai har ek dard-o-davaa se pahale
Firaq Gorakhpuri


mujhako maaraa hai har ek dard-o-davaa se pahale
dii sazaa ishq ne har jurm-o-Khataa se pahale

aatish-e-ishq bha.Dakatii hai havaa se pahale
ho.NTh jalate hai.n muhabbat me.n duaa se pahale

ab kamii kyaa hai tere be-sar-o-saamaano.n ko
kuchh na thaa terii qasam, tark-o-fanaa se pahale

ishq-e-bebaak ko daave the bahut Khalavat me.n
kho diyaa saaraa bharam sharm-o-hayaa se pahale

maut ke naam se Darate the ham, ai shauq-e-hayaat
tuune to maar hii Daalaa thaa qazaa se pahale

ham u.nhe.n paake "Firaq" aur bhii kuchh khoye gaye
ye takalluf to na the ahad-e-vafaa se pahale
 
. .
Suno! Mujhe har pal tumhari yaad aati hai...
Kabhi saanson k chalne pe,
Kabhi dil k machalne pe,
Kabhi barish barasne pe,
Kabhi aankhen chalakne pe,
...

Kabhi chanda nikalne pe,
Kabhi suraj k dhalne pe,
Kabhi shab k andheron mai,
Kabhi din k sawairon mai,
Kabhi logon k mele mai,
Kabhi tanha akele mai,
Tumhari!
Bas tumhari yaad ati hai,
Suno! Mujhe har pal tumhari yaad aati hai....
 
. .

Country Latest Posts

Back
Top Bottom