What's new

Urdu & Hindi Poetry

dekh kar us hasiin paikar ko
Farig Bukhari


dekh kar us hasiin paikar ko
nashaa-saa aa gayaa samandar ko

[paikar = form/appearance]

Dolatii Dag_magaatii-sii naav
pii ga_ii aa ke saare saagar ko

Khushk pe.Do.n me.n jaan pa.Dane lagii
dekh kar ruup ke samandar ko

[Khushk = dry]

bahar pyaase kii justajuu me.n hai
hai sadaf kii talaash gauhar ko

[bahar = ocean; justajuu = search]
[sadaf = oyster; gauhar = pearl]

ko_ii to niim_vaa dariicho.n se
dekhe us rat_jage ke manzar ko

[niim_vaa = half-open]

ek devii hai muntazir 'faariG'
vaa kiye paT sajaaye mandr ko

[muntazir = waiting; vaa = open]
 
.
masiih-e-vaqt sahii ham ko is se kyaa lenaa
Farig Bukhari


masiih-e-vaqt sahii ham ko is se kyaa lenaa
kabhii mile bhii to dard-e-dil ba.Dhaa lenaa

hazaar tark-e-vafaa kaa Khayaal ho lekin
jo ruu-ba-ruu huu.N to ba.Dh ke gale lagaa lenaa

kisii ko choT lage apane dil ko Khuu.N karanaa
zamaane bhar ke Gamo.n ko gale lagaa lenaa

Khumaar TuuTe to kaise ke ham ne siikh liyaa
tuu na ho to terii yaad se nashaa lenaa

safiinaa Duub bhii jaaye to Gam nahii.n 'Farig'
na bhuul kar kabhii ehasaan-e-naaKhudaa lenaa
 
.
itanaa tuu karam ham pe ai sayyaad kare hai
Farosh


itanaa tuu karam ham pe ai sayyaad kare hai
par noch ke ab qaid se aazaad kare hai

[karam=kindness/favour; sayyaad=hunter; par=wing]
[qaid=imprisonment; aazaad=free]

ai baad-e-sabaa un se ye kah diijiiyo jaa kar
parades me.n ek shaKhs tujhe yaad kare hai

[baad-e-sabaa=morning breeze; shaKhs=individual/person]

aave hai terii yaad to ha.Ns deve hai aksar
diivaanaa teraa yuu.N bhii tujhe yaad kare hai

farazaanaa ujaa.De hai bhare shaharo.n ko lekin
diivaanaa to saharaa ko bhii aabaad kare hai

[farazaanaa=wise/intelligent; saharaa=desert/wilderness]

likh likh ke miTaa deve hai tuu naam ye kis kaa
sach kahiyo "Farosh" aaj kise yaad kare hai
 
.
apanaa Gam bhuul gaye terii jafaa bhuul gaye
Farukh Kaiser




apanaa Gam bhuul gaye terii jafaa bhuul gaye
ham to har baat muhabbat ke sivaa bhuul gaye
ham akele hii nahii.n pyaar ke diivaane sanam
aap bhii nazare.n jhukaane kii adaa bhuul gaye
ab to sochaa hai ke daaman hii teraa thaame.nge
haath jab hamane uThaaye hai.n duaa bhuul gaye
shukr samajho yaa ise apanii shikaayat samajho
tum ne vo dard diyaa hai ke davaa bhuul gaye
 
.
one of my fav modern hindi/urdu shayar. Dushyant Kumar.

कहाँ तो तय था चिराग़ाँ हर एक घर के लिए
कहाँ चिराग़ मयस्सर नहीं शहर के लिए

यहाँ दरख़तों के साये में धूप लगती है
चलो यहाँ से चलें और उम्र भर के लिए

न हो कमीज़ तो पाँओं से पेट ढँक लेंगे
ये लोग कितने मुनासिब हैं इस सफ़र के लिए

ख़ुदा नहीं न सही आदमी का ख़्वाब सही
कोई हसीन नज़ारा तो है नज़र के लिए

वो मुतमइन हैं कि पत्थर पिघल नहीं सकता
मैं बेक़रार हूँ आवाज़ में असर के लिए

तेरा निज़ाम है सिल दे ज़ुबान शायर की
ये एहतियात ज़रूरी है इस बहर के लिए

जिएँ तो अपने बग़ीचे में गुलमोहर के तले
मरें तो ग़ैर की गलियों में गुलमोहर के लिए

Kaha wo tha charaga har ek ghar ke liye
kaha charaG mayasar nahi shahar ke liye
yaha darakhtoon ke saye main dhoop lagti hai
chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye
na ho qamiz to ghutnoo se pet Dhak lenge
ye log kitne munsib hain is safar ke liye
Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi
koi hasin nazara to hai nazar ke liye
wo mutmain hain ki pathar pighal nahi sakta
mai beqarar hoon awaz main asar ke liye
jiye to apne bagiche main gulmohar ke liye
mare to Gair ki galiyon main gul_mohar ke liye


मेरे सीने में नहीं तो तेरे सीने मे सही, हो कहीं भी आग, लेकिन आग जलनी चाहिए।
 
.
aivaan-e-adaalat me.n


aivaan-e-adaalat me.n
patharaa_ii hu_ii aa.Nkhe.n
patharaaye hue chehare
patharaa_ii hu_ii saa.Nse.n
chama.De kii zubaano.n par
patharaa_ii hu_ii baate.n

[aivaan = house/palace]

fariyaad kaTaghare me.n
ro ro ke ta.Dapatii thii
qaanuun ke rakhavaale
kal le ke gaye jis ko
ab us ko yahaa.N laaye.n
vo naash to dikhalaaye.n

[fariyaad = plea; naash = dead body]

patharaaye hue chehare
ek dam ko_ii dil dha.Dakaa
sholaa-saa kahii.n bha.Dakaa
jab tak ki ko_ii samajhe
lo phuut bahe dhaare
aavaaze.n mile baaham
aur guu.Nj uThe naare
maasuum-sii jaano.n ke
betaab javaano.n ke
kyaa shor lahuu kaa thaa
kyaa guu.Nj thii naaro.n me.n

aivaan-e-adaalat me.n
patharaaye hue kamare
dam rok ke sunate the
jab surKh salaam aayaa
maqatuul kaa naam aayaa
ghuu.Nsaa-saa lagaa dil par
aa.Nkho.n se lahuu phuuTaa
jiite raho dil vaalo
patthar to ko_ii TuuTaa

[maqatuul = the murder victim]
 
.
Ye sara jism jhuk kar bojh se dohara huwa hoga
mai sajde main nahi tha ap ko dhoka huwa hoga
yaha tak ate ate sukh jati hain sabhi nadiyan
mujhe maloom hai pani kaha Thahra huwa hoga
Gazab ye hai ki apni maut ki ahat nahi sunte
wo sab ke sab pareshan hain waha par kya huwa hoga
tumhare shahar main ye shor sun-sun kar to lagta hai
ki insanoo ke jungal main koi hanka huwa hoga
kai fake bitakar mar gaya jo us ke bare main
wo sab kahte hain ab aisa nahi aisa huwa hoga
yaha par sirf gunge aur bahre

chandni chhat pe chal rahi hogi
ab akeli Tahal rahi hogi
phir mera zikr a gaya hoga
wo barf-si pighal rahi hogi
kal ka sapna bahut suhana tha
ye udasi na kal rahi hogi
sochta hoon ki band kamre main
ek shama-si jal rahi hogi
tere gahnoo si khan_khanati thi
bajre ki fasal rahi hogi
jin hawaoo ne tujh ko dularaya
un main meri Ghazal rahi hogi
 
.
apane dost ke liye
Fehmida Riyaz


ye zard mausam ke Khushk patte
havaa jinhe.n le ga_ii u.Daakar
agar kabhii in ko dekh paao
to soch lenaa
ki in me.n har barg ke namuu me.n
ziyaa.N gayaa arq shaaKh-e-gul kaa
kabhii ye sar_sabz ko.npale.n the
kabhii ye shaadaab bhii rahe hai.n
khule huye ho.nTh kii tarah narm aur shaguftaa
bahut dino.n tak
ye sabz patte
havaa ke relo.n me.n bebasii se ta.Dap chuke hai.n
magar ab ye Khushk ho rahe hai.n
magar ye ab Khushk ho chuke hai.n
agar kabhii is taraf se guzaro
to dekh lenaa
barahanaa shaaKhe.n havaa ke dil me.n ga.Dii hu_ii hai.n
ye ab tumhaare liye nahii.n hai.n


[barg = leaf; namuu = growth; ziyaa.N = lessening]
[arq = sweat/essential juice; barahanaa = naked]
[shaaKh = branch]
 
.
itanaa tuu karam ham pe ai sayyaad kare hai
Farosh


itanaa tuu karam ham pe ai sayyaad kare hai
par noch ke ab qaid se aazaad kare hai


[karam=kindness/favour; sayyaad=hunter; par=wing]
[qaid=imprisonment; aazaad=free]

ai baad-e-sabaa un se ye kah diijiiyo jaa kar
parades me.n ek shaKhs tujhe yaad kare hai

[baad-e-sabaa=morning breeze; shaKhs=individual/person]

aave hai terii yaad to ha.Ns deve hai aksar
diivaanaa teraa yuu.N bhii tujhe yaad kare hai

farazaanaa ujaa.De hai bhare shaharo.n ko lekin
diivaanaa to saharaa ko bhii aabaad kare hai

[farazaanaa=wise/intelligent; saharaa=desert/wilderness]

likh likh ke miTaa deve hai tuu naam ye kis kaa
sach kahiyo "Farosh" aaj kise yaad kare hai

What a wonderful verse....holding a lot of meanings
 
.
Firaq Gorakhpuri's real name was Raghupati Sahay. He was born in 1896 in Gorakhpur, India. He left his imprint on three important genres of Urdu poetry - ghazal, nazm and rubaayee. He wrote more than 40,000 couplets. He was a poet of love and beauty. His poems are published in three anthologies - Rooh-o-Qaayanat, Gul-e-Ra'naa, Nagma-numaa. He passed away in 1982.

ab aksar chup-chup se rahe hai.n yuu.N hii kabhuu lab khole hai.n


ab aksar chup-chup se rahe hai.n yuu.N hii kabhuu lab khole hai.n
pahale "Firaq" ko dekhaa hotaa ab to bahut kam bole hai.n

din me.n ham ko dekhane vaalo apane apane hai.n auqaat
jaao na tum in Khusk aa.Nkho.n par ham raato.n ko ro le hai.n

fitarat merii ishq-o-muhabbat qismat merii tanhaa_ii
kahane kii naubat hii na aa_ii ham bhii kasuu ke ho le hai.n

baaG me.n vo Khvaab-aavar aalam mauj-e-sabaa ke ishaaro.n par
Daalii Daalii nauras patte sahas sahaj jab Dole hai.n

uf vo labo.n par mauj-e-tabassum jaise karavaTe.n le.n kau.nde.n
haay vo aalam jumbish-e-mizagaa.N jab fitne par tole hai.n

in raato.n ko hariim-e-naaz kaa ik aalam hoye hai nadiim
khalvat me.n vo narm u.ngaliyaa.N ba.nd-e-qabaa jab khole hai.n

[hariim-e-naaz=; khalvat=solitude; ba.nd-e-qabaa=buttons of the dress]

Gam kaa fasaanaa sunane vaalo aaKhir-e-shab aaraam karo
kal ye kahaanii phir chhe.De.nge ham bhii zaraa ab so le hai.n

[aaKhir-e-shab=end of night]

ham log ab to paraaye se hai.n kuchh to bataao haal-e-"Firaq"
ab to tumhii.n ko pyaar kare hai.n ab to tumhii.n se bole hai.n
 
.
ai jazb-e-nihaa.N aur ko_ii hai ke vahii hai
Firaq Gorakhpuri

ai jazb-e-nihaa.N aur ko_ii hai ke vahii hai
Khilavat-kadaa-e-dil me.n aavaaz hu_ii hai

kah de to zaraa sar tere daaman me.n chhipaa luu.N
aur yuu.N to muqaddar me.n mere be-vatanii hai

vo ra.ng ho yaa buu ho ke baad-e-saharii ho
ai baaG-e-jahaa.N jo bhii yahaa.N hai safarii hai

ye baarish-e-a.nvar ye ra.ngiini-e-guftaar
gul-baarii-o-gul-sairii-o-gul-pairahanii hai

ai zi.ndagii-e-ishq me.n samajhaa nahii.n tujh ko
jannat bhii jahannum bhii ye kyaa buulajabii hai

hai nutq jise chuumane ke vaaste betaab
sau baat kii ik baat terii be-sakhunii hai

mauje.n hai.n mai-e-surKh kii yaa khaTT-e-dahan hai.n
lab hai ki ko_ii sholaa-e-barq-e-ambii hai

jaage hai.n "Firaq" aaj Gam-e-hijaraa.N me.n taa-subah
aahistaa se aa jaao abhii aa.Nkh lagii hai
 
.
lots lots and lots of thanx to all those who posted such beautiful shayaris. dil ke kafi sare tar hil gaye aaj. thnx again.
 
.
katla kiya to katil kehalate hai
pyar kiye to deewane kehalate hai
PDF mein aaaye aur ban jo huye
janab usse hi to assal emani kehalte hai.............. lagata hai shayari ban gayi... :undecided: ....... :cheesy:
 
.
Mere Qatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say
Jayo So Jayo Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Praishan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Moujoun Main Ghira Hun, Abi Dooba Tow Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Qabr Say Aaj Bhi ‘Mohsin’ Ki Aati Hai Sada
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi
 
. .
Back
Top Bottom