What's new

Urdu & Hindi Poetry

Masjid Dha Day, Mandir Dha Day Dha Day Jo Kujh Disda
Par Kissay Da Dil Na Dhawee(n) Rub Dilaa(n) Wich Wasda --Bulle Shah

Translation
Tear down the Mosque, tear down the temple Tear down every thing in sight
But don't (tear down) break anyone's heart Because God lives there--Bulleh Shah
 
.
na jaanaa aaj tak kyaa shai Khushii hai
Firaq Gorakhpuri


na jaanaa aaj tak kyaa shai Khushii hai
hamaarii zindagii bhii zindagii hai

[shai = thing/object]

tere Gam se shikaayat-sii rahii hai
mujhe sach-much ba.Dii sharmindagii hai

mohabbat me.n kabhii sochaa hai yuu.N bhii
ki tujh se dostii yaa dushamanii hai

ko_ii dam kaa huu.N mehamaa.N muu.Nh na phero
abhii aa.Nkho.n me.n kuchh kuchh roshanii hai

[ko_ii = some/few more (kuchh)]

zamaanaa zulm mujh par kar rahaa hai
tum aisaa kar sako to baat bhii hai

jhalak maasuumiyo.n me.n shoKhiyo.n kii
bahut rangiin terii saadagii hai

ise sun lo sabab is kaa na puuchho
mujhe tum se mohabbat ho ga_ii hai

[sabab = reason]

sunaa hai ik nagar hai aa.Nsuo.n kaa
usii kaa dusaraa naam aa.Nkh bhii hai

vahii terii mohabbat kii kahaanii
jo kuchh bhuulii hu_ii kuchh yaad bhii hai

tumhaaraa zikr aayaa ittefaaqan
na biga.Do baat par baat aa ga_ii hai
 
.
Tere Ishq Ne Sarkari Daftar
Bana Diya Dil Ko
Na Koi Kaam Kerta Hai, Na Koi Baat Sunta Hai



Masjid Dha Day, Mandir Dha Day Dha Day Jo Kujh Disda
Par Kissay Da Dil Na Dhawee(n) Rub Dilaa(n) Wich Wasda --Bulle Shah

Translation
Tear down the Mosque, tear down the temple Tear down every thing in sight
But don't (tear down) break anyone's heart Because God lives there--Bulleh Shah

I love Bulley Shah & his writing.....my favourite lines from his poetry are as follows:

"Koi mainu kafir aakhe, koi
aakhe jhalla ,

mai mandir de ander
gurmukhi vich likh baitha
allah ♥"
 
.
na jaane ashk se aa.Nkho.n me.n kyo.n hai aaye hue
Firaq Gorakhpuri


na jaane ashk se aa.Nkho.n me.n kyo.n hai aaye hue
guzar gayaa zamaanaa tujhe bhulaaye hue

jo manzile.n hai.n to bas raharavaan-e-ishq kii hai.n
vo saa.Ns ukha.Dii hu_ii paa.Nv Dag_magaaye hue

na rah_zano.n se ruke raaste mohabbat ke
vo kaafile nazar aaye luTe luTaaye hue

ab is ke baad mujhe kuchh Khabar nahii.n un kii
Gam aashanaa hue apane hue paraaye hue

ye iztiraab saa kyaa hai ki muddate.n guzarii
tujhe bhulaaye hue terii yaad aaye hue
 
.
100261d1243886548-tabish-copy.jpg



Mein jiss sehra(desret) be jahoon muje Ghar lagta ha

yea sab meri Maa ki duawahoon ka asar lagta ha


Ek muddat se meri Maa nahi sohe Tabish

Mein ne ik baar kaha tha muje dar lagta ha
 
.
ok.......


Qatl e tifla'an ke manadi ho rahi hae shehar mein

Mau'n mughe bhe misle e mosa tu baha dae nehar mein
 
.
parwaz hai dono ki isi aik fiza main...
kargiz ka jahan aur, shaheen ka jahan aur...
ilfaaz-o-ma'ni main tafawat nahi lekin...
MULLA ki azaan aur, MUJAHID ki azaan aur.

Allama Iqbal.....

No body comes close to Dr. Allah Muhammad Iqbal in poetry. All his verses are so meaningful with minimum Ishqiya Shaeri
 
.
Jo meri ankhon se khawab dekho
To ek bhi shab na so sako ge
Ke Laakh chaho na hans sako ge
Hazar chaho na ro sako ge
Ke Khawab kia hain azaab hain yeh
Mere dukhon ki kitaab hain yeh
Rafaqaten un ki choot-ti hain
Mohabbaten un ki rooth-ti hain
Panapti hain un main wehshaten si
Aziyaten un main phoot-ti hain
Inhi ke sar se khizaan hain jazbay
Inhi se shaakhen se toot-ti hain
Ghamon ki bandish main khawab mere
Dukhon ki barish main khawab mere
Ubal raha hai dukhon ka laawa
Zameen aatish hain khawab mere
Khayal saaray jhulas gaye hain
Sulagti khawahish hain khawab mere
Ukharti saansen hain zindagi ki
Lahu ki saazish hain khawab mere
Jo meri ankhon se khawab dekho
To ik shab bhi na so sako ge
 
.
Nigahoon Se Qatal Kar Dalo,Na Ho Takleef Dono Ko..
Tumhain Khanjar Uthaney Ki, Na Humein Gardan Jhukaney Ki…



parwaz hai dono ki isi aik fiza main...
kargiz ka jahan aur, shaheen ka jahan aur...
ilfaaz-o-ma'ni main tafawat nahi lekin...
MULLA ki azaan aur, MUJAHID ki azaan aur.

Allama Iqbal.....

Ye Sehar Jo Kebhi Ferda Hai Kabhi Hai Imroz
Naheen Maloom Ke Hoti Hai Kehan Se Paida
Wo Sehar Jis Sy Larazta Hai Shebistan-E-Wajood
Hoti Hai Banda-E-Momin Ki Azaan Sy Paida!!


No body comes close to Dr. Allah Muhammad Iqbal in poetry. All his verses are so meaningful with minimum Ishqiya Shaeri

No doubts, if philosophical shayari is concerned.
But when it comes top romantic or love poetry Mirza Ghalib & Meer Taqi Meer have no competition.
 
.
Har Simt Gham-e-Hijer Ke
Toofan Hain Mohsin

Mat Pooch Ke Ham Kitne
Pareshan Hain Mohsin.

Har Chehra nAZar Ata Hai
Tasweer Ki Soorat

Ham Shehar Ke Logon Se Bhi
Anjaan Hain Mohsin.

Jis Shehr-e-Mohabbat Ne
Hamein Loot Lia Hai

Us Shehr Se Ab Kooch Ka
Saman Hain Mohsin.

Kashti Abhi Umeed Ki Doobi
To Nahi Hai

Phir Kyo Teri Aankhon Main
Ye Toofan Hain Mohsin.

Kar In Ka Adab, Rakh Inhein
Seeny Se Laga Kar

Ye Dard, Ye Tanhaiyan
Mehmaan Hain Mohsin.
 
. . . . . .

Country Latest Posts

Back
Top Bottom