What's new

MUSHAYARA

::Sirf hathon koo na dekhoo, kabhi chehra bhi parho,
::kuch sawwali badraay khuddar huwaa karttay hain,,,
 
Na kissi ka aankh ka noor hoon
Na kissi ke dil ka karaar hoon

Jo kissi ke kaam na aa sake
Main vo ek musht ghubaar hoon


-Bahadur Shah Zafr
 
Ye soch ker palkon mai chhupa leta hoo Aansoo
Girr ker ye meri aankh se Bay-Ghar na ho jaey...
 
I love this Ghazal amazing and superb. Few lines for you guys:-

Teri khusboo mai basey khat mai jalaata kaise
Pyar mai doobe hu-e khat mai jalaata kaise
Tere haathon ke likhe khat mai jalaata kaise
Tere khat aaj main Ganga mai bahaa aaya hoon
Aag behte hu-e paani mai laga aaya hoon

Everytime I listen this Ghazal..I love it more than earlier..
 
One more favorite Sher:-

Munawwar Maa ke aage yun kabhi khul ke nahin rona,
Jahan Buniyaad ho itni nami achhi nahin hoti.
 
tou mila tou yeh ehsaas hoa hai mujh ko
mery yeh omr muhabbat kay liyay thori hai
ek zara sa ghm e doran ka haq hai jis par
main nay wo saans bi teray liyay rakh chori hai
 
One more favorite Sher:-

Munawwar Maa ke aage yun kabhi khul ke nahin rona,
Jahan Buniyaad ho itni nami achhi nahin hoti.


ek mudadat hoi mery maa nahe soi tabish
main nay ek baar kaha tha maa mujay dar lagta hai
 
chupkay say wo kioun dil main otar jatay hain
jin logon say kismat kay sitaray nahen miltay
 
my fav ghazal which i dedicated to my gal friend when we wer separating

bhalay dino ki baat hai bhali si ek shakal thi
na yeh kay husn e taam ho na daikhnay main aam si

na yeh kay wo chalay tou kehkeshan si rah guzar lagay
magar jab wo sath ho tou bhala bhala safar lagay

koi bhi ruth os ki chup faza ka rang roop thi
wo garniion ki chaoun thi wo sardioun ki dhoop thi


na aisay khush labasian kay sadgy gila karay
na aisy betakalafi kay aina hiya karay

na es qadar katour pan k zindagy kharab ho
na aisy betakalafi kay zindagy azab ho

so aik roz kia hoa wafa pay behas cher gai
main eshq ko amar kahoun wo meri zid say cher gai

na os ko muj pay maan tha na muj os ko zaham he
jo ehad koi naho tou kia gham e shkastagi

so apna apna rasta hansi khushi badal gya
main apni raah chal para wo apnii raah chal dia

so bhali si ek shakal thi bhali si os ki dosty
ab os ki yad raat din nahee magar kabi kabi
 
wabasta hai mafad har aik dosti kay sath
shaid meray khaloos ko manzal na mil skay
 
2 lines from old Hindi song:-

Mujhe gham bhi unka aziz hai
ye unhi ki di huee cheez hai
 
kidey kidey aslahey ban gaye
wadey wadey masley ban gaye
wadey shehar Wasa baithey aan
Sochi paye aan hun ki kareye

Sochya si k votaan payeye
aamriat tou jaan chudaayeye
Votaan shotaan paa baithey aan
Sochi paye aa hun ki kariye

(Anwar Masood)
 

Latest posts

Back
Top Bottom