What's new

Whatever

already been posted!:)

dozens of times actually :lol: - but i like that song - well sang by both singers (Atif and Kailash Kher)

I don't like this song but the scenery is amazing

 
Last edited by a moderator:
Zaki yaar yeh jo tmhaara signature hai isk second shair ka matlab kia hai??

Ajab waaiz ki hai deendaari ....??
 
sub'hanallah. bookmarked your post.. didn't quite get the last verse... would appreciate if you could elaborate a bit! :-)
Thanks bro :)

Zaki yaar yeh jo tmhaara signature hai isk second shair ka matlab kia hai??

Ajab waaiz ki hai deendaari ....??

oh yaar itni bhi mushkil Urdu nahi likhi hoe

Poora shayr yeh hai

747.gif


bari barik hain waiz ki chalen
laraz jata hai awaz-e-azan se

Waiz ka matlub hota hai = To preach something

Jaise Namaz ke liya bulana, achay kaam ke liye awaaz marna......... something like that.....

Ab dobara parho - khud hi samagh jao ge
 
Thanks bro :)



oh yaar itni bhi mushkil Urdu nahi likhi hoe

Poora shayr yeh hai

747.gif




Waiz ka matlub hota hai = To preach something

Jaise Namaz ke liya bulana, achay kaam ke liye awaaz marna......... something like that.....

Ab dobara parho - khud hi samagh jao ge

yaar matlab sb pta hai .. but I am unable to understand... can you elaborate a bit...??

Edit: PS. jb sey tm ney post kee hai tb sey baar baar parhi hai par kuch paley nai parta laas shair...
 
Skype pe baat ho gayi hai - i hope you understood well :lol:

take care
 
Yeh waffa to in dinno ki baat hai faraaz
Jab makaan kachey or log sachey huwa kertey they !!


How True :)

---------- Post added at 01:08 PM ---------- Previous post was at 01:07 PM ----------

Zindagi mein buhat kamm milli hai faraz
Who cheez jissey shidat se chaaha mein ney


---------- Post added at 01:08 PM ---------- Previous post was at 01:08 PM ----------

Hum mohabbat mein bhii tauheed ke qaail hain faraz
Ek hi shaks ko mehboob banaaye rakha hai


---------- Post added at 01:09 PM ---------- Previous post was at 01:08 PM ----------

Who bewafa nai tha faraz yunhi badnaam hogyaa
Hazaaron chahney waaley they kis kis se wafa kerta


---------- Post added at 01:09 PM ---------- Previous post was at 01:09 PM ----------

Tamaam umer ussi ke khyaal mein guzri faraz
Mera khyaal jissey umer bharr na aaya
 
Uss ki duri ne cheen li hai mujhse sharatein meri,
aur log samajte hain ke bht ssulajh gae hain hum
 
Khudgrz

aye dil! apne dard ke karan tu kya-kya betab raha
din ke hangamon men duba raton ko bekhwab raha
lekin tere zakhm ka marham tere liye nayab raha

phir ek anjani soorat ne tere dukh ke geet sune
apni sundarta ki kirno se chahat ke khwab bune
khud kanton ki baad se gujari teri rah men phool chune

aye dil,jisne teri mahrumi ke dag ko dhoya tha
aaj uski aankhen purnam thin aur tu soch men khoya tha
dekh paraye dukh ki khatir tu bhi kabhi yon roya tha?
 
Wah yahan tou shair o shairy shuru ho gai... :)

Lo phr yeh meri taraf sey

Titlyan urrti hain aur un ko pakarney waaley
Saaee e naakaam mein apno sey bichar jaatey hain
 
Apni to qismet hii aisii hai Faraz
Zameen milli to banjjer, dost milley to kanjjer :P
 
Back
Top Bottom