What's new

Urdu & Hindi Poetry

i think Urdu poetry is most sweat and has depth... Its a unique which other languages dont have.

No Doubt about it !!

Aey December Teri Yehh-Behti Me Bhi.....??

Talab Us Ki Q Munjminad Nahi Hoti......??

Dukh Yeh Nahin K Andheron Say Sulah Kar Le
Malal Yeh Hai K Ab Subah Ki Talab Bhi Nahin Hai



***
.
[___Theharti hui Shab-e-Seyah, wo b Taweel tar

Mohsin Hijjar k maroon pe Qayamat hai December___]

Tum Tou Abhise Mubtala-E-Khof-E-Hijr Ho...

Tum Chorr Do Tum Se Nahi Hogi Ye Mohabbat !!



.
.......Raat bhar mehboob ko pehlo men batha kar.......
......GALIB.......
......Jo loug kuch nahin karty wo kamal karty hen....

^^^^ Above shair is not from Ghalib Chacha !! :smokin:

Maut Kaa Ek Din Muayyaan Hai
Neend Kyu Raat Bhar Nahii Aatii !!!

Aage Aatii Thii Haal-E-Dil Pe Hansii
Ab Kisii Baat Par Nahii Aatii !!!
(Mirza Ghalib)
_______________________________________________________________________
A excellent Poem from one of the Best Shayar of Recent Times : Munnawar Rana_________________________________________________________________________

Hum Kuchh Aise Tere Deedar Mein Kho Jaate Hain
Jaise Bachche Bhare Baazaar Men Kho Jaate Hain !!

Naye Kamron Men Ab Chiizen Puraani Kaun Rakhtaa Hai
Parindon Ke Liye Shahron Men Paani Kaun Rakhtaa Hai

Mohaajiro Yahii Taariikh Hai Makaanon Kii
Banaane Waalaa Hameshaa Baraamdon Men Rahaa

Tujhse Bichhdaa To Pasand Aa Gayii Be-Tartiibii
Isse Pahle Meraa Kamraa Bhii Gazal Jaisaa Thaa

Kissi Bhii Mod Par Tumse Vafaa-Daarii Nahiin Hogii
Hamen Maaluum Hai Tumko Yah Biimaarii Nahiin Hogii

Tujhe Akele Padhuun Koii Ham-Sabaq Na Rahe
Main Chaahtaa Huun Ki Tujh Par Kisii Ka Haq Na Rahe

Talvaar To Kyaa Merii Nazar Tak Nahiin Uthii
Us Shakhs Ke Bachchon Kii Taraf Dekh Liyaa Thaa

Farishte Aake Unke Jism Par Khushbuu Lagaate Hain
Vo Bachche Rail Ke Dibbe Men Jo Jhaaduu Lagaate Hain

Kisii Ko Ghar Milaa Hisse Men Yaa Koii Dukaan Aaii
Main Ghar Men Sabse Chhotaa Thaa Mere Hisse Men Maan Aaii

Sirphire Log Hamen Dushman-E-Jaan Kahte Hain
Ham Jo Is Mulk Kii Mittii Ko Bhii Maan Kahte Hain
____________________________________________________________________________________
 
. . .
Is Mein Kya Shak Hai Ke Muhkim Hai Yeh Ibleesi Nizam
Pukhta-Tar Is Se Hoye Khooy-e-Gulami Mein Awaam

Hai Azal Se In Ghareebon Ke Muqaddar Mein Sujood
In Ki Fitrat Ka Taqaaza Hai Namaz-e-Be-Qayaam

Aarzoo Awwal To Paida Ho Naheen Sakti Kaheen
Ho Agar Paida To Marjaati Hai Ya Rehti Hai Khaam

Yeh Hamari Sayi-e-Paiham Ki Karamat Hai Ke Aaj
Sufi-o-Mulla Malookiat Ke Bande Hain Tamam

Tib’e-Mashriq Ke Liye Kaafi Yehi Afyoon Thi
Warna Qawwali Se Kuch Kamtar Naheen Ilm-e-Kalaam

Hai Tawaaf-o-Hajj Ka Hangama Agar Baqi to Kya?
Kund Ho Kar Reh Gayi Momin Ki Taigh-e-Be-Nayaam
 
. .

Sham-e-firaq aab na pooch, aai aur aa ke Tul gai
dil tha ke phir bhehal gaya, jaaN thee ke phir sanbhal gai

bazm-e-Khayal maiN tere husn ki shama jal gai
dard ka chaand bujh gaya, hijr ki raat Dhal gai

jab tujhey yaad kar liya subha mehak mehak uThee
jab tera ghum jaga liya raat machal machal gai

dil se to her muamla kar ke chale thai saaf hum
kehney maiN onkey samney baat badal badal gai

aaKhir-e-shab ke humsafar "faiz" najaney kya hoey
reh gai kis jaga saba, subha kidhar nikal gai


Translation:

Ask no more (about) the night of separation; it came, and passed
The heart got diverted again; life found its feet again

in the salon of (my) thoughts, the candle of your beauty was lighted
the moon-of-pain extinguished itself, the night of separation slipped away

whenever you were remembered, the mornings became fragrant
when your pain was awakened, the nights grew restless

in the heart i had sorted out all the issues before setting out
(however) while recounting before her, (my) words changed themselves

who knows where the fellow-travellers of the end-of-the-night went, Faiz?
at which spot did the breeze get left behind? and which way did the dawn walk off?

duur se duur talak ek bhii daraKht na thaa
Gopaldas Neeraj

duur se duur talak ek bhii daraKht na thaa
tumhaare ghar kaa safar is qadar to saKht na thaa

[daraKht = tree; saKht = difficult/hard]

itane masaruuf the ham jaane kii taiyaarii me.n
kha.De them tum aur tumhe.n dekhane kaa vaqt ka thaa

[masaruuf = busy]

mai.n jis kii khoj me.n Khud kho gayaa thaa mele me.n
kahii.n vo meraa hii ehasaas to kam_baKht na thaa

[kam_baKht = unfortunate]

jo zulm sah ke bhii chup rah gayaa na Khaul uThaa
vo aur kuchh ho magar aadamii kaa rakt na thaa

[Khaul = boil; raqt = blood]

unhii.n faqiiro.n ne itihaas banaayaa hai yahaa.N
jin pe itihaas ko likhane ke liye vaqt na thaa

[itihaas = history]

sharaab kar ke piyaa us ne zahar jiivan bhar
hamaare shahar me.n 'Neeraj'-saa ko_ii mast na thaa
 
Last edited by a moderator:
.
aadatan tum ne kar diye vaade
Gulzar


aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne aitabaar kiyaa

terii raaho.n me.n baarahaa ruk kar
ham ne apanaa hii intazaar kiiyaa

ab naa maa.Nge.nge zindagii yaa rab
ye gunaah ham ne ek baar kiyaa

aa.Nkho.n me.n jal rahaa hai kyuu.N bujhataa nahii.n dhuua.N
Gulzar


aa.Nkho.n me.n jal rahaa hai kyuu.N bujhataa nahii.n dhuua.N
uThataa to hai ghaTaa saa barasataa nahii.n dhuaa.N

chuulhaa nahii.n jalaaye yaa bastii hii jal ga_ii
kuchh roz ho gaye hai.n ab uThataa nahii.n dhuaa.N

aa.Nkho.n se po.nchane se lagaa aa.Nch kaa pataa
yuu.N cheharaa pher lene se chhupata nahii.n dhuaa.N

aa.Nkho.n se aa.Nsuo.n ke maraasim puraane hai.n
mehamaan ye ghar me.n aaye.n to chubhataa nahii.n dhuaa.N
 
.
Aql ne ek din ye dil se kaha……
“Bhoole bhatke ki rehnuma hun mein”

“Hun Zameen par, guzar falak par mera
Dekh to kis qadar rasaa hun mein”

“ Kaam dunya mein raahbari hai mera
Masl e Khizr Najistaa paa hun mein”

“Hun mufassir kitaab e hasti ki
Mazhar e shaan e kibriyaa hun mein”

“Boond ek khoon ki he tu lekin
Ghairat e la'al e be baha hun mein”


DIL NE SUN KAR KAHA “YE SAB SUCH HE...
PAR MUJHE BHI TO DEKH KIYA HUN MEIN”

“RAAZ E HUSTI KO TU SAMAJHTI HE
AUR ANKHON SE DEKHTA HUN MEIN”

**“HE TUJHE WAASTA MAZAHIR SE
AUR BATIN SE ASHNAA HUN MEIN”**

*“ ILM KI INTIHAA HE BETAABI
IS MARZ KI MAGAR DAWAA HUN MEIN”*

***“SHUMAA TU MEHFIL E SADAQAT KI
HUSN KI BAZM ka DIYAA HUM MEIN”***

***“TU ZAMAAN O MAKAAN SE RISHTA BAPAA
TAAEER E SIDRAA ASHNAA HUN MEIN”***

***“ KIS BALANDI PE HE MAQAAM MERA
ARSH RABB E JALIL KA HUN MEIN”****

--Allama Iqbal

Aur kuch zyada aqal mandon ke liay arz hai

Hum dushmano ko bhi Pakeeza saza dete hein...
Haath uthate nahi, nazron se Gira dete hein...!
 
. . . .
Rahiman paani raakhiye, bin paani sab soon
paani gaye na ubre, moti, maanush, choon!!

--Abdur Rahim Khan-e-khana.
 
. . . .

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom