What's new

Urdu & Hindi Poetry

How about the last one? Anyways everything written by Faiz is a masterpiece.
That too....i do have faiz in hindi .wish ke i cud read the urdu in its original script.but learning little by little from hubby.But perseverance pays.

dedicated to my first love
:)

Mein Jahan Raho
Mein Kahin Bhi Hoo
Teri Yaad Saaath Hai

Kisi Se Kahun
Ke Nahi Kahun
Yeh Jo Dil
Ki Baat Hai

Kehne Ko Saath
Appne Ek Duniya Chalti Hai
Per Chupke Is Dil Mein Tanhai Palti Hai
Bas Yaad Saath Hai
Teri Yaad Saaath Hai
yeh kon si movie ka song hai ???bhool gayee.
 
mala pherat pherat yug bhaya, phira na man ka pher kar ka manka dari de man ka manka pher
 
Faiz's love for his country... His poetry mainly revolves around his country, Pakistan.

Mujh se pehli si mohabat meray mehboob na mang

Main ne samjha tha ke tu hai to darakhshaan hai hayaat
Tera gham hai to gham-e-deher ka jhagda kya hai
Teri surat se hai aalam main baharon ko sabaat
Teri aankhon ke siva duniya main rakhaa kya hai
Tu jo mil jaye to taqdeer nigon ho jaye
Yoon na tha main ne faqat chahaa tha yoon ho jaaey
Aur bhi dukh hain zamaane main mohabbat ke siva
Rahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siva


Ann ginat sadiyoon kay taareek bahimana talism
Resham-o-atlas-o-kamkhaab main bunvaye howay
Jaa ba'jaa bikte howay koocha-o-bazaar main jism
Khaak main lithray howay khoon main nehlaaye howay
Jism niklay howay amraaz ke tannuron se
Peep behti hui jaltey howay nasoroon se
Laut jati hai udhar ko bhi nazar kya kijyay
Ab bhi dilkash hai tera husn magar kya kijyay
Aur bhi dukh hain zamaane main mohabbat ke siva
Rahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siva
 
"meri sochon ki sarhado'n ke is paar bhi tu
us paar bhi tu....

Yeh teri saltanat hai basa k rakh ya ujaar day...
 
Na woo farishta ho na farishtoon jaisa hoo

muje talash ha usski ju mere jaisa hoo

Mere khalous ko pechanta hoo bus kafi ha

wo kohee be , kahien be ho , jaisa be hoo
 
Me too on mob. But im not shair. Just felt something worst and these couplets gave me relief,,, im copying from my sms sent box.lol

Actually yahaa bhi kaun kambhakt shayar hai I am just a read master.
I love 2-liners or ashaa'r compared to Nazm or Ghazals. And if I like 2-liner qouted by someone I try to reply with some equivalent shair or ashaa'r. Its like Jugalbandiii in music.

Uljha Rahi Hai Mujh Ko Yehi Kashmkash Muslasal. . .


Wo Aa Basa Hai Mujh Mein Ya Main Us Mein Kho
Gaya Hoon. . .!

Meray Wajood Se Shayed Milay Suraagh Tera ..
Kabhi Mai Khud Ko Teray Wastay Talaash Karoon ... !!

Bikhra Wajood

Toote Khuwab,

Sulagti Tanhaiyan ...

Kitne Tohfe De Jati Hai
Ye Mohabbat Bhi ...

Toot Sa Gaya Hai Meri Chaahatoon Ka Wajood 'Faraz'...

Ab Koi Achaa Bhi Lagey To Izhaar Naheen Kartey !!


Ussi Ka Shehdr, Wohi Mudaee, Wohi Munsif.


Humein Yaqee'n Tha, Humara Qasoor Nikley Ga.

Nigaah Mere Murshad Ki Padi Jo Gunaahgar Par....

Begunaah Bhi Chillaa Uthe " Hum Bhi Gunaahgar Hain.....!!
 
i think Urdu poetry is most sweat and has depth... Its a unique which other languages dont have.
.

***
.
.↲Aey December Teri Yehh-Behti Me Bhi.....??

Talab Us Ki Q Munjminad Nahi Hoti......??

.
***
.
[___Theharti hui Shab-e-Seyah, wo b Taweel tar

Mohsin Hijjar k maroon pe Qayamat hai December___]

.
***
.
.......Raat bhar mehboob ko pehlo men batha kar.......
......GALIB.......
......Jo loug kuch nahin karty wo kamal karty hen....
 
life-best-shayari-sms.png


bewafa-love-shayari.jpg
 
Tumhari Yaad Aane Par....Main Aksar"Muskurata" Hoon!!

Kisi Ke Yun Bicharne Par!
Kisi Ke Yaad Aane Par!

Bahut Se Log Rotey Hain!
Ke Rona Ek Riwayat Hai!

Mohabbat Ki Alamat Hai!
Main In Dushwaar Raahon Par!

Gham-E-"Jaana" Se Ghabra Kar!
Riwayat Torr Jaata Hon!

Tumhari Yaad Aane Par.!
Main Aksar"Muskurata" Hoon!!
 
Back
Top Bottom