What's new

Urdu & Hindi Poetry

Kamal ka peer hai ishq..

Chor dia..

Mureed kr k....!

****

Uljha Rahi Hai Mujh Ko Yehi Kashmkash Muslasal. . .

Wo Aa Basa Hai Mujh Mein Ya Main Us Mein Kho
Gaya Hoon. . .!
 
.
Mere Moula yeh haseen haath salamat rakhna
Aisa lagta hai joy eh haath Dua ko uthhain
Khud fairshtey chaley aatey hain zameen ki jaanib
Sonp kar marmareen haathon ki hatheli ko hina
Jo bhi maanga hai chup chaap diye jatey hain
Mere Moula! Yeh haseen haath salamat rakhna
In ki khuhsboo se muattar hai mera sara wajood
In hi haathon main mere khwab chupey hain
moula!
Ungliyan mujh ko mohabbat main bhigo deti hain
Inhi poron ne mere dard chuney hain moula
In ki rag rag main mohabbat hi mohabbat rakhna
Mere moula yeh haseen haath salamat rakhna
In hi haath ki lakeeron main muqaddar hei mera
Yeh jo koney main sitara hai, sikandar hai mera
Khwab se narm khayalon ki tarah naazuk hain
In ke har lams main mere liye chahat rakhna
Mere moula yeh haseen haath salamat rakhna

- Wasi Shah
 
.
Chanda ko taaku raato mein ,
Hai zindagi tere haatho mein ,
Palko mein jhilmil taarein hai ,
Aana bhari barsaato mein Sapno ka jahan ,
Hoga khila khila Barsega sawan ....
Barsega sawan jhoom jhoomke Do dil aise milenge...
 
.
↲****
Kamal ka peer hai ishq..

Chor dia..

Mureed kr k....!

****↲Uljha Rahi Hai Mujh Ko Yehi Kashmkash Muslasal. . .

Wo Aa Basa Hai Mujh Mein Ya Main Us Mein Kho
Gaya Hoon. . .!

Samran Ali...I am right now on cell so kinda difficult to reply your post. See you tommorrow in day times I have a reply to each shair you posted here. Kal miloge tou mini-mushaayraa pakka hai... :enjoy:

Abhi ke liye goodnight everyone.
 
.
Bikhra Wajood

Toote Khuwab,

Sulagti Tanhaiyan ...

Kitne Tohfe De Jati Hai
Ye Mohabbat Bhi ...
 
.
zindagii ek kiraaye kaa ghar hai ek na ek din badalanaa pa.Degaa
Surender Malik Gumnam

zindagii ek kiraaye kaa ghar hai ek na ek din badalanaa pa.Degaa
maut jab ham ko aavaaz degii ghar se baahar nikalanaa pa.Degaa

Dher miTTii kaa har aadamii hai baad marane ke honaa yahii hai
yaa zamiino.n me.n turbat bane.nge yaa chitaao.n pe jalanaa pa.Degaa

raat ke baad hogaa saveraa dekhanaa hai agar tum ko din suneharaa
paao.n phuulo.n pe rakhane se pahale tum ko kaa.NTo.n pe chalanaa pa.Degaa

aitabaar un ke vaado.n kaa mar kar varnaa ai dil mere zindagii bhar
tujh ko bhii mombattii kii tarah qataraa qataraa pighalanaa pa.Degaa

ye javaanii hai pal bhar kaa sapanaa Dhuu.ND le ko_ii mahabuub apanaa
ye javaanii agar Dhal ga_ii to umr bhar haath malanaa pa.Degaa
 
.
Faiz Ahmed Faiz wrote this awesome Ghazal on the death of his brother.. Late Mehdi Hassan left no stone unturned to express the feeling of the writer in his singing.

Gulon mein rang bhare baad-e-naubahaar chale
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale

Qafas udaas hai yaaro saba se kuchh to kaho
Kahin to bahr-e-Khuda aaj zikar-e-yaar chale

Jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijraan
Hamaare ashk teri aaqbat sanwaar chale

Kabhi to subah tere kunj-e-lab se ho aaghaz
Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushkbaar chale

Bara hai dard ka rishta yeh dil gharib sahi
Tumhare naam pe aaenge ghamgusaar chale

Maqaam Faiz koi raah mein jacha hi nahin
Jo kue yaar se nikle to sue daar chale
 
.
Samran Ali...I am right now on cell so kinda difficult to reply your post. See you tommorrow in day times I have a reply to each shair you posted here. Kal miloge tou mini-mushaayraa pakka hai... :enjoy:

Abhi ke liye goodnight everyone.

Me too on mob. But im not shair. Just felt something worst and these couplets gave me relief,,, im copying from my sms sent box.lol
 
.
Faiz Ahmed Faiz wrote this awesome Ghazal on the death of his brother.. Late Mehdi Hassan left no stone unturned to express the feeling of the writer in his singing.

Gulon mein rang bhare baad-e-naubahaar chale
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale

Qafas udaas hai yaaro saba se kuchh to kaho
Kahin to bahr-e-Khuda aaj zikar-e-yaar chale

Jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijraan
Hamaare ashk teri aaqbat sanwaar chale

Kabhi to subah tere kunj-e-lab se ho aaghaz
Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushakbaar chale

Bara hai dard ka rishta yeh dil gharib sahi
Tumhare naam pe aaenge ghamgusaar chale

Maqaam Faiz koi raah mein jacha hi nahin
Jo kue yaar se nikle to sue daar chale
good one....
 
man just love it.
 
.
Yeh Jo Raig-e-Dasht-e-Firaaq Hai
Yeh jo raig-e-dasht-e-firaaq hai, yeh rukay agar
Yeh rukay agar to nishaa.n milay, yeh nishaa.n milay
Keh jo faaslon ki saleeb hai
Ye gari hui hai kahaan kahaan
Mere aasmaa.n se kidhar gayee tere iltefaat ki kehkashaan
Mere bekhabar, mere benishaa.n
Ye rukay agar to pata chalay
Main tha kis nagar, tu raha kahaan
Keh zaman-o-makaa.n ki vus'atain
Tujhay dekhnay ko taras gayeen
Vo meray naseeb ki barishain
Kisi aur chatt pe baras gayeen
Meray chaar soo hai vo gubhaar-e-jaa.n, vo fishaar-e-jaa.n
Keh khabar nahin meray haath ko meray haath ki
Mere khaab se teray baam tak
Teri rehguzar ka to zikr kia
Nahin zaufishaan tera naam tak
Hain dhuaan dhuaan meray usthakhvan
Meray aansuon mein bujhay huay meray ustakhvan
Meray naqsha gar, meray naqsha jaa.n

Isi raig-e-dasht-e-firaaq mein rahay muntazir teray muntazir
Meray khaab jin ke fishaar mein
Rahi meray haal se bekhabar
Teri rehguzar
Teri rehguzar ke jo naqsh hai meray haath per
Magar is bala ki hai teergi
Keh khabar nahin meray haath ko meray haath ki
Vo jo chashm-e-sho’bida saaz thi vo uthay agar
Mere ustakhvan mein ho raushni
Usi aik lamha-e-deed mein teri rehguzar
Meri teera jaa.n mein chamak uthay
Meray khaab say tere baam tak
Sabhi manzaron mein damak uthay
Usi aik pal mein ho jaavidaa.n
Meri arzoo ke hai be-karaa.n
Meri zindagi ke hai mukhtasar
Yeh jo raig-e-dasht-e-firaaq hai, yeh rukay agar
 
.
Ussi Ka Shehdr, Wohi Mudaee, Wohi Munsif.

Humein Yaqee'n Tha, Humara Qasoor Nikley Ga.
 
. .
dedicated to my first love
:)

Mein Jahan Raho
Mein Kahin Bhi Hoo
Teri Yaad Saaath Hai

Kisi Se Kahun
Ke Nahi Kahun
Yeh Jo Dil
Ki Baat Hai

Kehne Ko Saath
Appne Ek Duniya Chalti Hai
Per Chupke Is Dil Mein Tanhai Palti Hai
Bas Yaad Saath Hai
Teri Yaad Saaath Hai
 
.
****
.
.
chlo ab mil k hijr o habs ka mosam
badaltey hain,

zra sa tum badal jao zra sa hm bdlty
hain,

bs itna yaad rkh lena k wese km bdlty
hain,
mgr jb hm bdlty hain tou phr peham
bdlty hain,

agr tum ye smjty ho tmhara ghum ziada
hai,

tou ab ki baar aapas main hm apne
ghum bdlty hain.
 
.

Latest posts

Pakistan Defence Latest Posts

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom