What's new

Urdu & Hindi Poetry

Merey bass main ho to kabhi kahin

Koi sheher aisa basaoon main

Jahan fakhtaon ki phurpharahat sey naghma-e-raaz-e-hayat main

Jhunjhunati saanson ki jhanjharain jo chanak uthain

To dhanak k rangon main bheeg jain havaas tak

Jahaan chaand maand na ho kabhi, jahan chaandni ki rida buney

Mairi baanjh dharti k baasiyon ka libaas tak

Jahan sirf hukm-e-yakeen chaley! jahan be-nishaan ho qayaas tak

Jahan aadmiyat k nutq-o-lab pai na sheher-e-yaar ka khof ho

Jahan sarsaray na aadmi ki ragon main koi hiraas tak

Jahan vehem ho na dilon main vehem ka sehem ho

Jahan sach ko sach sey ho wasta

Jahan jugnuon ko hava dikhati ho raasta

Jahan khushbuon sey badalti rut ko hassad na ho

Jahan pastiyon sey bulandiyon ko bhi qud na ho

Jahan khuaab aankhon main jagmagain to....

Jism-o-jaan k sabhi dareechon main tergi ka guzar na ho

Koi raat aisi basar na ho keh, bashar ko apni khabar na ho

Jahan daagh daagh seher na ho

Jahan kashtiyan hon rawan dawan_to samandaron main bhanwar na ho

Jahan barg-o-baar sey ajnabi_koi shaakh, koi shajar na ho

Jahan chehchahatey huey parindon ko_barishon k azzab ka koi darr na ho

Merey bass main ho to kabhi kahin_koi sheher aisa basaoon main

Jahan barf barf mohabbaton pai_gham-e-jaan ka asar na ho

Rah-o-rasm-e-dunia ki bandishain_gham-e-zaat k sabhi zaaiqey

Sum-e-qaainat ki talkhiyan_kisi aankh ko bhi na choo sakain

Jahan mairi saans ki tazgi,tairi chahaton k kanwal main ho

Taira husn mairi ghazal main ho,jahan qaainat ki ik sadaf

Shab-o-roz k kisi pall main ho

Jahan noha-e-gham-e-zindagi,mairi hichkiyon sey ayyan na ho

Jahan loh-e-khaak pai ummr bha,kisi be gunnah k khoon ka

Koi daagh, koi nishaan na ho

Koi sheher aisa kabhi,,,,...kahin! jahan dhoop chaon galey milain

Jahan baanjh rut main bhi gull khilain

Jahan chahaton k hujoom main_kabhi geet ammn k gaoon main

Jahan zindagi ka rijz parhoon_jahan be khallal gungunaoon main!

Jahan moj moj ki aut main_tu kiran baney, muskuraoon main

Mairey bas main ho to kabhi kahin

Koi sheher aisa bassaoon main

Mohsin Naqvi
 
Guzare huve pal phir mila nahi karte
Phool murjhake khila nahi karte
Toote taare phir aasmaan mein dikha nahi karte
bus issi hi tarah
dil toot kar phir jooda nahi karte
 
Last edited:
Sharab kya cheez hai
yeh dard bhi ek nasha hai
Iss dard ko ghol ke pejaoo
iss mein bhi ek mazaa hai.

Nashe mein toh log gham bhi bhol jate hai
woh toh bas hum hai
ki nashe mein bhi toote dil ko jod nahi pate hai.

o_O
 
No - Good you have removed, bari lafantar type ki poetry thi :laugh:
Original thi....aap ki tarah pirated nahi thi.
atleast i am trying...you only copy it here.8-)


(I keep scribbling things and then post it.I know some of my shayaaris can be real tortures...so it was posted here to torture you :lol:)
 
HiNdu na naheeN musalmaan, Baheeye tiranjan taj abhimaan. Sunni na naheeN ham sheeya
Sulha kuhl ka maarag leeya. Bhookhe na naheeN ham rahje, NaNge na naheeN ham kahje. RoNde na naheeN ham hasde, UjaRe na naheeN ham vasde. Paapi na sudharmi na, Paap pun ki raah na jaanaaN.
Bulhe Shah jo hari chit laage, Hindu turak doojan tiyaage.

Neither Hindu nor Muslim, Sacrificing pride, let us sit together. Neither Sunni nor Shia, Let us walk the road of peace. We are neither hungry nor replete, Neither naked nor covered up. Neither weeping nor laughing, Neither ruined nor settled, We are not sinners or pure and virtuous, What is sin and what is virtue, this I do not know. Says Bulhe Shah, one who attaches his self with the lord. Gives up both hindu and muslim.
 
Pyar Tha, Mohabbat Thi, Ishq Tha,
Adaa Thi!!!!
Agar Wafa Bhi Hoti Tu Qayamat
Tha Wo Shakhs... <3
 
Translation into English a famous Kafi by Baba Bullah Shah ( Sufi Saint):

You read so many books, you think you know it all, yet you fail to read your heart at all.

You rush into holy shrines to play your part, would you dare enter the shrine of your heart?

You are quick to fight the evil one, yet pride is a battle you have not yet won.

You reach for a star you can control, yet fail to grasp the light of your soul.
 
1476385_543869552367493_1362799278_n.jpg

Poet: Parveen Shakir
 
Khudawanda Ye Tere Sada Dil Bande Kidhar Jaen!!!

Ke Darvaishi Bhi Ayyari Hai, Sultani Bhi Ayyari!!!
 
Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta
Mandeiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta

Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai
Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta

Sakoon Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Bhi ja Ker
Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuch Nahi Milta

Issay Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta

Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen
Kabhi bhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta

Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta

Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi
Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta

Baar_Haa Tujh Say kaha Tha Mujhe Apna Na Bana,
Ab Mujhe Chor K Duniya Mein Tamasha Na Bana,

Na Dikhaa Paaye Ga Tu Khwaab Meri Aankhon Kay,
Ab Bhi Kehta Hon Mussawir Mera Chehra Na Bana,

Aik Yehi Gham Mere Marney K Liye Kafi Hai,
Jesa Tu Chahta Tha Mujh Ko Main Wesa Na Bana,

Aik Baat Aur Patay Ki Main Bataon Tujh Ko,
Aakhrat Banti Chali Jaye Gi Duniya Na Bana,

Ye Khuda Ban K Reayat Nahi Kartey Hain Wasi,
Husn Walon Ko Kabhi Qibla-o-Qa'aba na bana.

Ghairo Se Kia Shikwa Karna Apne Dhoka Dete Hain
Akser Yeh Jaanay Pehchanay Chehray Dhoka Dete Hain.....
 

Country Latest Posts

Back
Top Bottom