What's new

Urdu & Hindi Poetry

. . . . . .
1383730_10151643678312133_711873397_n.jpg

شاعر جناب قمر جلالوی
 
. . . .
@Zakii
I read some of the poetry u had posted here and i thought it was some original stuff u wrote for ur wife....
bonk.gif
:.......

Okay let me try something and dont laugh at it....atleast i have tried posting something original...:cool:


Unnki tasveer hai aakhoon mein aasu bankar.

Unnki yaad hai dil mein lahoo bankar.

Bus dua hai yeh ki laut aaye woh hamari zindagi mein mohabbat bankar.

I dont know urdu so my verses r going to be in hindi.
 
.
Ik Taza Hikayat Hai
Sunlo Tu Inayat Hai

Ek Shakhs Ko Dekha Tha
Taron Ki Tarah Hm Nay

Ek Shakhs Ko Chaha Tha
Apnon Ki Tarah Hm Nay

Ek Shakhs Ko Samjha Tha
Phoolon Ki Tarah Hm Nay

Wo Shakhs Qiamat Tha
Kia Uski Krain Baatain

Din Us K Lya Paida
Aur Us Ki Hi Thin Raatain

Kb Milta Kisi Se Tha
Hum Se Thin Mulakatain

Rang Uska Shahabi Tha
Zulfon Ma Thin Mahkarain

Aankhain Thin K Jadu Tha
Palkain Thin K Talwarain

Dushman Bhi Agar Dakhay
So Jaan Se Dil Haray

Kuch Tm Se Wo Milta Tha
Baton Ma Shabahat Thi

Haan Tum Sa Hi Lagta Tha
Shokhi Main Shararat Main

Lagta Bhi Tumhi Sa Tha
Dastoor E Muhabat Main

Wo Shakhs Hmain Ik Din
Apno Ki Tarah Bhola

Taron Ki Tarah Dooba
Phoolon Ki Tarah Toota

Phir Haath Na Aaya Wo
Hum Nay Buhat Dhoonda

Tum Kis Lya Chonkay Ho
Tum Kis Lya Chonkay Ho

Kb Zikr Tumhara Hai
Kb Tum Se Takaza Hai

Kb Tum Se Shikayat Hai
Ik Taza Hikayat Hai

Sun Lo Tu Inayat Hai
Ek Shakhs Ko Dakha Tha

Taroon Ki Tarah Hm Nay
Ek Shakhs Ko Chaha Tha
Apnon Ki Tarha Hm Nay
 
.
Kehtay hain baray fakhar say hum ghum nahi kertay

Matam ki sada suntay hain Matam nahi kertay

Vo log bhala samjhein gay kiya Raz-e-Shahadat

Jo Eid to kertay hain Muharram nahi kertay

Kyun jalta hai dil aap ka kyun jalta hai seena

Hum aap k seenoon pe to Matam nahi kertay

Moshin ye Maqbool Riwayat hai jahan main

Qatil kabhi maqtool ka matam nahi kertay
 
.
golden-sher-1.png


Poet: Bashir Badar
 
. .

Pakistan Affairs Latest Posts

Country Latest Posts

Back
Top Bottom