Kabhi Dastaras Mein Jo Waqt Ho To Tamaam Baatein Kaha Karo
Koi Aatay Jaatay Na Dekh Lay Humein Sab Say Chup Kay Mila Karo
Koi Tum Bhi Taaza Sitam Karo, Yehi Dard Apna Naseeb Hai
Nahi Kuch Gila, Mujhe Zakhm Do, Kaha Kis Nay Tum Say Wafa Karo
Meri Jaan Suno! Zara Ghor Say, Tumhein Keh Rahi Hai Yeh Chaandni
Chalay Jab Hawa Sar-e-Shaam Hi, To Udaas Youn Na Hua Karo
Yeh Tumhaaray Honton Pay Khamoshi Ka Sakoot Bhi To Bhala Nahi
Kay Tumhara Lehja Hai Khuboo'on Sa, Gulaab Ban Kar Khila Karo
Mere Rabt Say Bhi Ho Muhkhrif, Mere Naam Say Hai Guraiz Kyon
Chirray Zikar Jab Bhi Chaah Ka, Zara Hoslay Say Suna Karo
Tera Husan Bhi To Kamaal hai,Teri Shakhsiyat Mein Hai Saadgi
Yahan Har Nazar Bari Taiz Hai, Meri Jaan Sambhal Kar Hansa Karo
Yeh Kaha Tha Maine To Baarha, Tumhein Yaad Hai Kisi Mor Par
Kay Tumhi To Ho Meri ZIndagi, Mujhe Khud Say Youna Na Juda Karo
Mere Pass Jitna Nisaab Hai, Inhi Chahton Ka Hisaab Hai
Yeh Tumharay Gham Ki Kitaab Hai, Isay Dhaiyaan Se To Parha Karo
Raho Khush Tabassum Tum Sada, Mujhe Chor Do Mere Haal Par
Mujhe Ab Talaash-e-Wafa Nahi, Mere Waastay Na Dua Karo
Aik Chand Tanha Khara Raha, Mere Aasman Se Zara Parey
Mere Saath Saath Safar Me Tha, Meri Manzilon Se Zara Parey
Teri Justuju Ke Hassar Se, Tere Khuwab Tere Khayal Se
Mein Wo Shakhs Hun Jo Khara Raha, Teri Chahaton Se Zara Parey
Kabhi Dil Ki Baat Kehi Na Thi, Jo Kehi To Wo Bhi Dabi Dabi
Mere Lafz Poore To The Magar, Teri Sama’ton Se Zara Parey
Tu Chala Gaya Mere Hamsafar, Zara Dekh Murr Ke Tu Ik Nazar
Meri Kashtiyan Hai Jali Hui, Tere Sahiloon Se Zara Parey…!