What's new

Urdu & Hindi Poetry

Habib Jalib

یہ اور بات تیری گلی میں نہ آئیں ہم
لیکن یہ کیا کہ شہر ترا چھوڑ جائیں ہم
اس کے بغیر آج بہت جی اداس ہے
جالبؔ چلو کہیں سے اسے ڈھونڈ لائیں ہم

53930205_2137613142985794_2540478739041484800_o.jpg
 
Mushaira at Islamia College in 1950’s
Participants ; Faiz Ahmad Faiz, Chiragh Hasan Hasrat, Hafeez Hoshiarpuri, Sufi Ghulam Mustafa Tabassum, Saifuddin Saif, Tabish Siddiqui , Zaheer Kashmiri, Zia Jallandhari, Ijaz Batalvi and many more.

50964373_2082177485196027_6626520061051928576_n.jpg

Hazrat time machine start karoo idhar jana hai @ghazi52 Iqbal Azeem sahib ka agar yeh urdu main ho saky tu

Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha Sar-e-Bazm Raat Ye Kya Hua
Meri Aankh Kaise Chalak Gayi Mujhe Ranj Hai Ye Bura Hua

Meri Zindagi Ke Chiragh Ka Ye Mizaaj Koi Naya Nahi
Abhi Raushni Abhi Tirgi Na Jala Hua Na Bujha Hua

Mujhe Jo Bhi Dushman-e-Jaan Mila Wahi Pukhta-Kar-e-Jafa Mila
Na Kisi Ki Zarb Ghalat Padi Na Kisi Ka Teer Khata Hua

Mujhe Aap Kiyun Na Samjh Sake Ye Khud Apne Dil Hi Se Puchiye
Meri Daastan-e-Hayat Ka To Waraq Waraq Hai Khula Hua

Jo Nazar Bacha Ke Guzar Haye Mere Samne Se Abhi Abhi
Ye Mere Hi Shaher Ke Log The Mere Ghar Se Ghar Hai Mila Hua

Hamein Iska Koi Bhi Haq Nahi Ki Sharik-e-Bazm-Khulus Hon
Na Hamare Paas Naqab Hai Na Kuchh Aastin Mein Chupa Hua

Mujhe Ek Gali Mein Pada Hua Kisi Badnasib Ka Khat Mila
Kahin Khoon-e-Dil Se Likha Hua Kahin Aansuon Se Mita Hua

Mujhe Hamsafar Bhi Mila Koi To Shikasta Haal Meri Tarah
Kai Manzilon Ka Thaka Hua Kahin Raaston Mein Luta Hua

Hamein Apne Ghar Se Chale Hue Sar-e-Raah Umr Guzar Gayi
Koi Justuju Ka Sila Mila Na Safar Ka Haq Hi Ada Hua
 
مجھے اپنے ضبط پی ناز تھا سر-ا-بزم رات یہ کیا ہوا
میری آنکھ کیسے چالاک گی مجھے رنج ہے یہ برا ہوا

میری زندگی کے چراغ کا یہ مزاج کوئی نیا نہیں
ابھی روشنی ابھی تیرگی نہ جلا ہوا نہ بجھا ہوا

مجھے جو بھی دشمن-ا-جان ملا وہی پختہ-کر-ا-جفا ملا
نہ کسی کی ضرب غلط پدی نہ کسی کا تیر کھاتا ہوا

مجھے آپ کیوں نہ سمجھ سکے یہ خود اپنے دل ہی سے پوچھئے
میری داستان-ا-حیات کا تو ورق ورق ہے خلا ہوا

Iqbal Azeem sahib

Will do the rest......................................................
 
Complete Ghazal
Mujhe apne-zabt pe naaz thaa.jpg
 
@ghazi52 yeh dekhyee rafta rafta aur bazooq loog samny aa rahy hain jo abhi tak chuppye bethy thy :) @HRK shukriyaa jitni dafa bhi yeh sher paron har dum ek naya rang hi mehsoos hota haii
مجھے جو بھی دشمن-ا-جان ملا وہی پختہ-کر-ا-جفا ملا
نہ کسی کی ضرب غلط پدی نہ کسی کا تیر کھاتا ہوا"
 
Dost Ban Ker Bhi Nahi Sath Nibhany Wala - Urdu Poetry By Ahmad Faraz

Back
Top Bottom