What's new

....:::Shair O Shaery:::....

In haathon ki lakeeron main kya hai?
Qismat to unki bhi hoti hai jin ke haath nahi hotay :yahoo:

Apney hathon ki lakeeron mein chupa lay mujhko
Mein hoon tera too bi ab apna bna ley mujhko
 
.
Jab sab bhaii log itnay mood main hain .... to lijiyey Hasrat Jaypuri kay chand qita'at aap logon ki nazar .... Pure Classical Urdu Shairi hai ... :smitten:






haath maltey hein Kausar-o-tasneem...
teri aankhon mein roop ka ras hai...:P
meray shaanon pay zulf rehnay day...
yeh andhera bada muqqaddas hai...:smitten:

farishtey aatey haein, haathon ko choomnay kay liye...
khuda ki shaan hein meray pari-jamaal kai haath... :tup:
tammam surkh samandar ka ho gaya paani...
abhi gaye hein woh, mehndi bharey khangaal kay haath... :smitten:

tum jo hansti ho to mastana kanwal lagti ho...
meer ka shair ho ghaalib ki ghazal lagti hoo...
sang-e-mar-mar say tarasha hua shaffaf badan
saans leta hua ek taj mahal lagti ho...:smitten:



Hasrat

:wave:
Fighter
 
.
Toot jaaye na bharam, hont hilaoon kesey
Haal jaisa bhi hey logon ko bataaon kesey

Khushk ankhon sey bhi ashkon ki mehak aati he
Main tere gham ko zamaney se chupaaon kesey

Too hi batla meri yaadon ko bhulaney waley
Main teri yaad ko is dil se bhulaaon kesey

Phool hota to tere dar pe sajaa bhi rehta
Zakham le kar teri dehleez pe aaoon kesey
 
.
Muhabbat rog hti he kaha b tha,
rula k khud bhi roti he kaha b tha,
usay tm dil ki dharti ka pta mat do
yeh uss me dard boti he kaha b tha
kinary k bht nazdeek le ja kr
ye kashti ko duboti he kaha b tha
azal se is ki adat he zamaney ko
jaga kr aap soti he kaha b tha
 
. . . . .
Muhabbat rog hti he kaha b tha,
rula k khud bhi roti he kaha b tha,
usay tm dil ki dharti ka pta mat do
yeh uss me dard boti he kaha b tha
kinary k bht nazdeek le ja kr
ye kashti ko duboti he kaha b tha
azal se is ki adat he zamaney ko
jaga kr aap soti he kaha b tha



Aajto Jhoomne ka dil kar raha hai ..:partay: :tup:
 
.
This is a wonderful thread. My post here is just to bookmark it for myself. I have been learning Urdu for quiet some time now and moreover I have a deep love for literature and poetry. Thank you everyone for your posts.
 
.
khud yaad na krn to wo pchta bhi nhn he mohsin
aur milta yun he jese talabgar ho bht.........!!!
 
.

Lazat-e-gham barha di jiye
Aap youun muskara di jiye

Qeemat-e-dil bata di jiye
Khaak lay kar ura di jiye

Aap andharay main kab tak rahain
Phir koi ghar jala di jiye

Chand kab tak goha'n main rahaye
Aap zulfain hata di jiye

Mera daaman bahut saaf hai
Koi tohmat laga di jiye

Eik samandar nai awaz di
Mujh ko pani pila di jiye

 
.

Ulfat ki har nigah se bachne k bawajood
Daman chora sake na teri dosti say hum
:no:
 
. . .

Pakistan Affairs Latest Posts

Country Latest Posts

Back
Top Bottom