What's new

....:::Shair O Shaery:::....

Ab kuch mazah bhi ho jae... I can't remain serious for a long time:partay:


urdu13.gif



urdu12.gif



 
.
Bujhay Bujhay say Ajeeb din hain Khwab hai na Khayal koi
Na Manzaron main koi Kashish hai na Mausmon main Jamal koi...
 
. .
Sunoo!!!

mjhe rona nhn ata.......
mjhe khona nhn ata....
k tum bin jeena mushkil he....
jo dard tum dena chate ho
mjhe sehna nhn ata.....

tum to saath reh lo ge saath kisi or k mgr..
main kia krn k mjhe rasta badalna nhn ata..

tum to waqif ho andaz-e-guftugo k..
mjhe to baat krne ka salika b nhn ata..

tum to jeet jate ho larr jhagar kr b..
dekho mjhe to larna b nhn ata...

tum to khush reh lo ge mere bin
dekho tmhare bin to mjhe jeena bhi nhn ata
 
.
Dil ko main samjhaoon kaise ?
Aana chahoon tere pass, to aaon kaise ?

Meri her saans amaanat hai teri yadon ki,
Toot kar is se zyada tujhe chahu kaise ?
 
. .
look at the tags:

fazool kaam..., love, pagal loog.., poetry, spread

:lol:
bhai jis ko interest nahi hy Shairi mein woh is thread ko visit na kare... Simple :)
 
Last edited:
.
look at the tags:

fazool kaam..., love, pagal loog.., poetry, spread

:lol:
bhai jis ko interest nahi hy Shairi mein woh is thread ko visit na kare... Simple :)

Lolz.

These are nice Tags. I like em.
 
.
Wo Hata Rahi Hai Parda Saar-e-Aam Chupke Chupke

Koi Qatal Ho Raha Hai Dar-e-Baam Chupke Chupke

Ye Jhuki Jhuki Nigaheen Ye Haseen Haseen Isharay

Kaheen Lee Na Jayein Shayad Meri Jaan Chupke Chupke

Kabhi Shookiyan Dekhana Kabhi Unka Muskurana

Ye Adaain Kar Na Daalein Mera Kaam Chupke Chupke

Ye Jo Hichkiyaan Musalsal Mujhe Aa Rahi Hai MOHSIN,

Koi Lee Raha Hai Shayad Mera Naam Chupke Chupke
 
.
sunaa hai laug ose aankh bhar ke dekhate hain
so os ke shahar mein kuchh din Thahar ke dekhate hain

sunaa hai rabt hai us ko Kharaab haalon se
so apane aap ko barbaad kar ke dekhate hain

sunaa hai dard kii gaahak hai chashm-e-naazuk os kii
so ham bhii os kii galii se guzar kar dekhate hain

sunaa hai os ko bhii hai sher-o-shaayarii se shagaf
so ham bhii mojaze apane hunar ke dekhate hain

sunaa hai bole to baatoon se phuul jharrte hain
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhate hain

sunaa hai raat ose chaand taktaa rehtaa hai
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhate hain

sunaa hai hashr hain os kii Gazaal sii aankhein
sunaa hai os ko hiran dasht bhar ke dekhate hain

sunaa hai din ko ose titaliyaan sataatii hain
sunaa hai raat ko jugnuu Thahar ke dekhate hain

sunaa hai raat se barr kar hain kaakulein os kii
sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhate hain

sunaa hai os kii siyaah chashmagii qayaamat hai
so os ko surmaafarosh aankh bhar ke dekhate hain

sunaa hai os ke laboon se gulaab jhalte hain
so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhate hain

sunaa hai aa_iinaa tamasaal hai jabiin os kaa
jo saadaa dil hain ban sanvar ke dekhate hain

sunaa hai jab se hamaa_il hain os kii gardan mein
mizaaj aur hii laal-o-gauhar ke dekhate hain

sunaa hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan mein
palang zaaveye os kii kamar ke dekhate hain

sunaa hai os ke badan ke taraash aise hain
ke phuul apanii qabaayein katar ke dekhate hain

vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahiin
ke os shajar pe shaguufe samar ke dekhate hain

bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa
so rah_ravaan-e-tamannaa bhii Dar ke dekhate hain

sunaa hai os ke shabistaan se muttasil hai bahisht
makiin udhar ke bhii jalve idhar ke dekhate hain

ruke to gardishein os kaa tavaaf karatii hain
chale to os ko zamaane Thahar ke dekhate hain

kise nasiib ke be-pairahan ose dekhe
kabhii kabhii dar-o-diivaar ghar ke dekhate hain

kahaaniyaan hiin sahii sab mubaalaGe hii sahii
agar vo Khvaab hai taabiir kar ke dekhate hain

ab os ke shahar mein Thaharein ki kuuch kar jaayein
'Faraz' aao sitaare safar ke dekhate hain
 
.
Dost bhi raah ki Deewar samajhte hain mujhe
Main samajhta raha sub yaar samajhte hain mujhe

Main to Yun Chup hoon k andar se bahot Khali hoon
Aur sub log pur-israar samajhte hain mujhe

Main badalte huye halat main Dhal jata hon
Dekhne wale Adakar samajhte hain mujhe

Wo jo us paar hain, un k liye is paar hon main
Wo Jo is paar hain ,us paar samajhte hain mujhe

Naik logon main naik ginna jata hon
Aur gunahgar gunahgar samajhte hain mujhe
 
.
Tanha Sa Ho Gaye Hoon Mein Sab Kuch Hote Hue Saari Umar Guzaari Hai Maine To Rote Hue Din To Kat Te Rahe Hai Mere Gammon Ko Samone Mein Raatein Guzari Hai Maine,Aashko Ki Mala Pirote Hue Eh Mere Khuda Kya Taqdeer Banayi Hai Tune MeriTamaam Umar Kategi Kya Meri Gamon Ko Dhote Hue Kisi Ne Loota Chain Mera,Kisi Ne Meri Neendo Ko Loota Har Din Guzra Hai Mera,Kuch Na Kuch Khote Hue Jholi Phailaye Khada Hoo Tere Dar Pe Aapne Paas Bula Le Kabhi Yu Hi Sote Hue!
←→
 
.
Har lamha teri yaad ki khushbo hain mere pass,
Is shehar me tanha ho magar tu hain mere pass,
Jis shakal ko chahon tere soorat me badal doon,
ye husan_e_tasawar hain ke jado hain mere pass,
Rakhta hai sada jo mere raton ko muaatar,
who terey badan ka gul-e khushbo hain mere pass,
kya mujh ko pasand aa gaye is shehar ke naghme,
tu hain meri koyal teri koko hai mere pass,
kyon thamon ge main janaa kisi aur ki banhe,
paihney huwe kangan tera bazo hai mere pass,
jab chahon waisee us ke nagar tak mujhey la jaye,
sochon ka chamakta hua jugno hai mere pass…
 
. . .

Pakistan Affairs Latest Posts

Country Latest Posts

Back
Top Bottom