What's new

....:::Shair O Shaery:::....

dayaar-e-Gair men kaise tujhe sadaa dete
tuu mil bhii jaataa to tujhe gaNvaa dete


tumhiin ne ham ko sunaayaa na apanaa dukh varanaa
duaa vo karate ke ham aasamaan hilaa dete

hamen ye zam rahaa ab ke vo pukaarenge
unhen ye zid thii ke har baar ham sadaa dete


vo teraa Gam thaa ke taasiir mere lahaje kii
ke jis ko haal sunaate use rulaa dete


tumhen bhulaanaa hii avval to dastaaras men nahiin
jo iKhtiyaar bhii hotaa to kyaa bhulaa dete


tumhaarii yaad ne ko_ii javaab hii na diyaa
mere Khayaal ke aaNsuu rahe sadaa dete

sama'to.n ko mai.n taa-umr kosataa Syed
vo kuchh na kahate magar ho.nTh to hilaa dete
 
.
Aaj tu itney bi muessar nahin mehkhaney mein,

Jitnee hum chour diya kartey they paiymaney mein.
 
. .
Joh aunty ke adday pe jaatay hain woh phir kam kyoun peetay hain?
Yeh kaise byoray hain jo peg gin gin ke peetay hain :rofl:

Ji karta hey ise boutle ko mein eik dum andhur kar jaoun,

Ya boutle paet mein chalee jaye ya mein boutle mein gus jaoun.
:rofl::rofl:
 
.
Ji karta hey ise boutle ko mein eik dum andhur kar jaoun,

Ya boutle paet mein chalee jaye ya mein boutle mein gus jaoun.
:rofl::rofl:

koi thread bhi naa chorna jis ko hum ne spoil na kiya ho :lol:

Botal chupa dena kafan mein meri,
Shamshan mein piya karunga,
Jab mange ge hisab khuda..
To unhe bhi ek peg bana kar diya karunga
 
.
koi thread bhi naa chorna jis ko hum ne spoil na kiya ho :lol:

Jab apney moun si itni tareef kar di to aub koi thank you kia marey ga.


Shakast ka haal hey dunya key bi sataye houey hain,

Terey sawal ka ya Rab jawab detey hain.

Per roze- Mahesher hey itni bi jald bazi kia,

Zara sharab tu pea lein hisab detey hain.
 
.
Aaey Shamma Tujh Pe Raat Ye Bhaari Hy Jis Tarah...

Hum Ne Tamam Umar Guzaari Hy Is Tarah.....
 
. .
armaan bhare dil mein
zakhmo ko jagah de de

bhadke hue sholon ko
kuch aur hawa dede

banti hai to ban jaaye
ye zindagi afsaana

aye mere dil e nadaan
tu ghum se na ghabrana

ik din to samajh legi
duniya tera afsaana

aye mere dil e nadaan
tu ghum se na ghabrana

fariyaad se kya haasil
rone se nateeja kya

bekaar hai ye baatein
in baaton se hoga kya

apna bhi ghadi bhar mein
ban jaata hai begaana

aye mere dil e nadaan
tu ghum se na ghabrana

ik din to samajh legi
duniya tera afsaana

aye mere dil e nadaan
tu ghum se na ghabrana
 
.
Is Raah_E_Mohabbat ki Tum baat na Pochoo Dosto..
Anmool jo hain Insaan be_MOol bik jaty hain...!!!!!
 
.
Meray haathon se tarashay hoe pathar ke sanam
Aaj bann ke khuda butt khano main bethay hain :confused:
 
.
MERE HI HAATHO PR LIKHI HE TAQDEER MERI .....
OR MERI HI TAQDEER PR MERA BS NHN CHALTA!!:agree::agree:
 
. . .
Ab Ke Baar Phir Ye Saal Badla
Phir Waqt Ka Khad-O-Khaal Badla
Imtehaan-E-Zeest Ka Sawaal Badla
Aur Andaz Lamhon Ka Kamaal Badla

Lekin Mere Afsana-E-Hayat Ka Har Warq Abhi Adhoora Hai
Sab Samaan-E-Zeest Hai Thora Sa Kuch Bhi Nahi Puraa Hai

Haan Woh Adhoora Sa Ik Khawaab
Haan Woh Adhoora Sa Ik Izteraab
Haan Woh Adhoora Sa Ik Hisaad
Haan Woh Adhoora Sa Ik Jawaab

Haan Mere Afsana-E-Hayat Ka Har Warq Abhi Adhoora Hai
Sab Saman-E-Zeest Hai Thora Sa Kuch Bhi Nahi Puraa Hai

Dil Ke Aaiina-Khaney Ki Adhaori Tasveer
Taqdeer Ki Kitaab Ki Woh Adhoori Tehreer
Kisi Dil Ki Basti Mein Ik Adhoori Jaageer
Kismet Ke Haathon Per Ik Adhoori Lakeer

Haan Mere Afsana-E-Hayat Ka Har Warq Abhi Adhoora Hai
Sab Samaan-E-Zeest Hai Thora Sa Kuch Bhi Nahi Puraa Hai
 
.
Back
Top Bottom