What's new

....:::Shair O Shaery:::....

Suno !!! Suno Tum Lot Aao Na

Jahan tum ho wo dunia kab tumhari hai
K soraj dhal gaya ha Aur Haseen ik sham utri hai
wo dekho chand nikla hai sitary jagmgaey hain
Humari Muntazir Ankhen
Duaian mangti Ankhen
Tumhain hi sochti Ankhen
Tumhain hi Dhondti Ankhen
Tumhain Wapis bulati hain
Tumara Aks phir shaid Meri palkon main utra hai
Koi Ansoo ager aya Baha ker
ab na le jaey Ye Dil jab bhi dharkta hai
tumara nam Leta ha Ye Ansoo jab bhi behty hain
Tumharay dukh main behty hain
K barish jab bi hoti ha tumhay hi yad karti ha
Khushi koi jo aaiea gi tumary bin adhoori ha

Suno Tum Lot Aao Na Suno Tum Lot Aao Na !!!
 
.
i shared this poetry in another shair-o-shairy thread also - but i guess it deserves to share each time any shairy thread is created

=============

Dost Kya Khub Wafaon Ka Sila Detey Hain
Har Naye Mor Pe Ek Zakhm Naya Detey Hain

Tumse To Khair Ghari Bhar Ki Mulaqat Rahi
Log Sadiyon Ki Rafaqat Ko Bhula Detey Hain

Kaise Mumkin Hai Ki Dua Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jale
Chot Parti Hai To Pathar Bhi Sada Detey Hain

Kaun Hota Musibat Mein Kisi Ka Aey Dost
Aag Lagti Hai To Pate Bhi Hawa Detey Hain

Jin Pe Hota Hai Dil Ko Bharosa Tabish!
Waqt Parne Pe Wohi Log Daga Detey Hain

===================

Youtube video of this song

 
Last edited by a moderator:
.
Teri Bewafayi Ka Sukriya,
Mujhe Tum ne Jeena Sikha Diya,

Teray Gham Main Chain Sa Mil Gaya,
Tere Dard Ne wo Maza Diya,

Ye Bahar Kaisi Bahar Hai,
Na Chain Hai..Na Karar Hai,
Ye Chaman Main Kaisi Hawa Chali,
K Chirag Dil Ka Bujha Diya,

Teray Gham Main Chain Sa Mil Gaya,
Na Khushi Rahi Na wo Gham Raha,
Na Vo Tu Rahi Na wo Dil Raha,
Tu ne Kya Ye Mujh Pe Sitam Kiya,
Tu ne Khub Dil Ko Sila Diya,
Tere Gham Main Chain Sa Mil Gaya,

wo Mile To Kehna Aye Dost
Ki Tumharay Gham Main Udas Tha,
Teri Bewafayi Ka Sukriya,
Tu ne Usae Jeena Sikha Diya,
Vo Tujhe Na Dil Se Bhula Saka,
Jise Tu ne Dil Se Bhula Diya,
Teray Gham Main Chain Sa Mil Gaya,
Tere Dard Ne wo Maza Diya,

Teri Bewafayi Ka Sukriya,
Mujhe Tunain Jeena Sikha Diya
 
. . . .
teri is ada say bhi hun aashna ,
tujhay jis pay itna ghuroor hai
main jiyun ga teray baghair bhi,
mujhay zindagi ka shaoor hai.
 
.
oh yaar can somebody merge both threads please - we are sharing same poetry (i.e. Ya Rab dil-e-Muslim ko etc) in to different threads

Here is one more :lol:

 
Last edited by a moderator:
.
Shikwa Part 1 of 2


Shikwa Part 2 of 2

 
Last edited by a moderator:
.
Jawab-e-Shikwa Part 1 of 3


Jawab-e-Shikwa Part 2 of 3


Jawab-e-Shikwa Part 3 of 3

 
Last edited by a moderator:
.
khud ko mujh se juda kiya us nein
Jo na karna tha woh kiya us nein
Yaad karna se be na yaad aaon
Aisa mujh ko bhula diya us nein
Tum tu bus waqt ki zarorat ho
Mujh ko aakhir bata dia us nein
Apne hathon se wafa likh k mujhe,
Jane phir kiyun Mita diya us neein



---------- Post added at 09:43 PM ---------- Previous post was at 09:43 PM ----------

Hum kahan jainge drd-e-dil ki dawa k liye
Khud se juda na kro humain khuda k liye
Ajeb us ka jumla tha QAIS juda hote waqt
Koi 0r dhond lo wafa k liye.
 
.
Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud poochay ke Khocha teri razayi kahan hai

==============

Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud poochay ke bata teri raza kya hai
 
.
hum na hongey to kaho kon manyega tumhey.
ye buri baat hey her baat pe rootha na karo.
 
.
halat ne thod diya kache dhage ki tarah FARAZ
warna hamri bi wadey zanjeer howa karte te
 
.
kal raat main ne apney dil se bi rishta thod diya FARAZ
kambakht tuje bhool jane ki baat karta tha
 
.

Latest posts

Country Latest Posts

Back
Top Bottom