What's new

Panama Case - Post Verdict Discussion and Updates

Rangers ko jab tak bulaya nahi jaega, tab tak nahi aayegi..

Problem miniter sahib ko yeh huee hai ke Rangers ne baghair civil administration request ke intezaam apnay haath main kyun lia..

that's where they are seeking clarification from Rangers DG..

Kia tou ghalat hai... legally speaking.. Rangers ko sirf wahan khara hona tha.. show of force ke liey.. yehi request thi.. lekin rangers ne entry/ exit ka control sambhaal lia.. jis pe PMLN main sif e matam bichi hai..

Aik brigadier ka kaam tha ye..

Agar entry/exit ka control sambhaal bhi liya...hungama se bachnay ke liye..tu kia hogaya?

Ab us brigadier ki khair nahi.. Hosakta hai Govt..Bajwa sb se keh kar uss brigadier ko hatwaa dey.. Bajwa sb...will as usual oblige..........if asked by the govt...
 
.

Hamaray hisaab se acha kia.. buhat maza aaya jab dhakkay de kar nikala minister ko..

lekin legally tou ghalat kia naa.. I think koi legal cover hona chahiey tha.. Exit/ Entry control ki zimmedari police ki thi..

Kal kuchh sahafion ne ghair rasmi baat cheet ki thi Basheeray se.. unn se kaha ke aap media ko bhi nahi aanay de rahay.. tou Basheeray ne farmaya ke uss ne registrar ko kaha tha ke yeh kia horaha hai, media ko ijazat di jaey.. phir basheeray ne unn sahafion ko ghair rasmi tor par bataya ke registrar ne kaha hai ke rangers kisi ki nahi sunn rahay...

:lol:

Abhi tou muamla DG rangers ke paas hai.. dekhain kia hota hai.. legally tou Brig Sahib gaey..
 
Rangers ko journalists se kia masla hai? Journalists ko kiun nahi jaanay de rahay thay? Its an open hearing..and should remain as such.. Ye closed doors main hearing se sirf accused ko faida hoga...

Jahan tak legal cover ki baat hai.. I wish.. J Ijaz ul Ahsan was more pro active.. Woh rangers ko likh saktay thay ke aap security sambhaal lein..after what happened on first hearing of NS.. Ye masla hi khatam hojaata ..agar Ijaz ul Ahsan ne rangers bulwaayi hoti aur baad main ownership le letay.. Ijaz ul Ahsan ko rangers bulwaani chahye thee..to maintain peace there..

Ijazul Ahsan ne hi tu Wajid Zia ko..as prosecution witness...bannay ki bhi ijaazat di thee...woh khud tu pehle nahi aarahay thay but J Ijaz ul Ahsan allowed NAB to include Wajid Zia as prosecution witness..

Tu accountability court ke bahar..security aur peace maintain rakhna tu...us se bhtt ziada critical hai..ke agar proper security nahi hogi tu hearing hi nahi hosakay gi.. I think J Ijaz ul Ahsan should hv called rangers and then taken ownership of it... Ye sab drama hua hi na hota aur legal cover bhi mil jaata..

:lol:

Abhi tou muamla DG rangers ke paas hai.. dekhain kia hota hai.. legally tou Brig Sahib gaey..

DG Rangers bhi tu Bajwa sb ke under aatay hain... Wh un se keh saktay hain.. Ek brig sb..ko govt ke kehnay par embarrass karna..in ke liye mushkil nahi hoga..

After all..instead of personally taking ownership..Bajwa sb ne DG ISPR ko bhi tu difficult situation main daala tha ke ab aap khud jaa kar media ko press conference main face karein ..on tht tweet issue... Media ke sawaalon ke jawaabat aap hi dein.. Ye nahi ke..jaisy pehle tweet kia tha..waisy hi DG ISPR tweet wapis le lein..tweet kar ke....balke..media ke questions ko face karein..un ke jawaabat aap khud dein..jaisy DG ISPR ne pehle apni marzi se tweet kiya tha ke ab unki zimmedari thee ke wohi press conference mai jaa kar media ke questions..answer karein.. I think Bajwa sb should have shown leadership quality there..instead of making DG ISPR scapegoat..aur unhein difficult situation main na daaltay.. Infact ..agar Bajwa sb ne tweet wapis lenay ka faisla kiya hi tha tu Bajwa sb...khud face kartay media ko.. Ya koi vid message de dete..khud..pressconference na kartay.. Waisy bhi tu bajwa sb..vid message kabhi kabhi detay hain..kuch din pehle bhi diya tha..us waqt bhi kar letay... Lekin khud ownership leni chahye thee..us step ki....But he put DG ISPR in a really awkwward situation..

Iss tarah se hi..woh ab bhi rangers ke issue par karsaktay hain.. Govt ke kehnay par brig ya DG rangers ko hi hatwaa saktay hain
 
. . .
I have a little different opinion, the policy in case of Altaf and MQM tends to change along with military leadership, Kyani & Musharraf allowed Altaf to do nunga naach in karachi for as long as they were there in the office...as soon as Raheel Sharif came the policy changed and MQM along with Altaf has been cleaned up. What i am waiting for is the time when Army wud change their stance in case of Nawaz and that particular time is not too far.
agreed, but then we should not say that instance on MQM was tough ... It was tough due to past hisotry and mass murders ,,, NS tubber although is involved in murders but not at mass level ... He is much sophisticated criminal and white color crime like this are really difficult to handle ... So it is not that establishment is lenient with them but it is the reason that nature of crime is sophisticated and in democracy (army and SC are trying hard to practice democracy) you have to work under rules, but unfortunately, NS is considering this as a weakness of SC and establishment ...

Our post Raheel Sharief army and this judiciary is comparatively mature but unfortunately, our politicians (including IK to a certain level) are still behaving like kids ...
 
.
YE KUCH ZIYADA NHI HOGIA ...

Kiya? Is main ziada kiya hai?
Abhi tu pata bhi nahi hai ke govt ne brig ko hataany ki request ki bhi hai ya nahi.. Lekin main keh rahi hun ke agar govt..brig ko hataany ka kahay ...tu ye maan bhi saktay hain...
 
.
Rangers ko journalists se kia masla hai? Journalists ko kiun nahi jaanay de rahay thay? Its an open hearing..and should remain as such.. Ye closed doors main hearing se sirf accused ko faida hoga...

I think Rangers stopped everyone because they weren't able to control the entry of selected Media people.. I have heard ke media ke logon ko special cards issue karnay ka kaha gaya tha previous hearing main.. lekin cards issue huay ya nahi.. kuchh nahi pata.. abb agar rangers aisi situation main cards check karnay lag jati tou shayad hearing hi nahi honi thi.. aur shayad kuchh log dhakkam pail main nikal jatay aur andar hangama kartay..

Shayad iss liey Rangers ne nahi janay dia.. media ko bhi..

Jahan tak legal cover ki baat hai.. I wish.. J Ijaz ul Ahsan was more pro active.. Woh rangers ko likh saktay thay ke aap security sambhaal lein..after what happened on first hearing of NS.. Ye masla hi khatam hojaata ..agar Ijaz ul Ahsan ne rangers bulwaayi hoti aur baad main ownership le letay.. Ijaz ul Ahsan ko rangers bulwaani chahye thee..to maintain peace there..

Haan yeh theek kaha aap ne.. lekin Aijaz ul Ahsan tou abhi tak ghaib hain..

Even agar Basheeray ne bulwai hoti tab bhi masla nahi tha.. lekin basheera tou yeh kehta phir raha hai ke main ne thori rangers ko kisi ko roknay ka kaha hai.. woh tou ownership le hi nahi raha..

Abb legally speaking, Rangers hot waters main aagaee hai.. dekhain kia hota hai.. situation is complicated.. Ahsan Iqbal keh raha hai ke main jawab le kar rahunga ke kis ke kehnay par aisa hua.. uss ko Brig se bhi upar ka andesha hai..

DG Rangers bhi tu Bajwa sb ke under aatay hain... Wh un se keh saktay hain.. Ek brig sb..ko govt ke kehnay par embarrass karna..in ke liye mushkil nahi hoga..

After all..instead of personally taking ownership..Bajwa sb ne DG ISPR ko bhi tu difficult situation main daala tha ke ab aap khud jaa kar media ko press conference main face karein ..on tht tweet issue... Media ke sawaalon ke jawaabat aap hi dein.. Ye nahi ke..jaisy pehle tweet kia tha..waisy hi DG ISPR tweet wapis le lein..tweet kar ke....balke..media ke questions ko face karein..un ke jawaabat aap khud dein..jaisy DG ISPR ne pehle apni marzi se tweet kiya tha ke ab unki zimmedari thee ke wohi press conference mai jaa kar media ke questions..answer karein.. I think Bajwa sb should have shown leadership quality there..instead of making DG ISPR scapegoat..aur unhein difficult situation main na daaltay.. Infact ..agar Bajwa sb ne tweet wapis lenay ka faisla kiya hi tha tu Bajwa sb...khud face kartay media ko.. Ya koi vid message de dete..khud..pressconference na kartay.. Waisy bhi tu bajwa sb..vid message kabhi kabhi detay hain..kuch din pehle bhi diya tha..us waqt bhi kar letay... Lekin khud ownership leni chahye thee..us step ki....But he put DG ISPR in a really awkwward situation..

Iss tarah se hi..woh ab bhi rangers ke issue par karsaktay hain.. Govt ke kehnay par brig ya DG rangers ko hi hatwaa saktay hain

:lol:

Buhat ghussa karti hain aap tou bhaee.. Chhorain dawn leaks ko.. woh situation hi alag thi.. uss ko kis tarah deal karna tha, kafi logon ki raey different hai uss par..

Dekhain kia hota hai.. suna hai ke kal ki CC meeting main rangers wala issue discuss hua hai kafi extensively.. abb dekhtay hain ke chicken out karjatay hain maslehatan, ya government ko ignore kardetey hain.. abhi tak tou government ko ignore list main dala hua hai iss issue par..

Abhi tu pata bhi nahi hai ke govt ne brig ko hataany ki request ki bhi hai ya nahi..

Brig sahib ki bhi initial report hai.. PMLN tou keh rahi hai ke shayad koi aur involved hai bara.. muamlay ki teh tak pohanchnay ka azam kar rakha hai.. lolz..
 
.
Sir Karachi wale batatay hain k ye sab ek hi sikkay kay do rukh hain to fail hogayi na

Aap ek Karachi walay se hi baat kar rahay hain jo yahin pala barha hai, PSP will surprise many whenever elections will be held, MQM london or Pakistan ko ap keh saktay hain kisi hadh tak ek hi sikkay ke do rukh.
 
.
Sheikh Rashid challenged election bill in SC :yahoo::yahoo::yahoo: Aur ye case shayad Sheikh Rashid khud argue nahi karay ga.. He said tht i have filed petition through Farogh Nasim, sajeel, and some other lawyer.. So i think..inn main se hi koi casse argue karay ga? Achi baat hai ke top legal experts hi agar ye case argue karein.. Sheikh Rashid ko aisy cases ki itni knowledge nahi hai..

PTI abhi sochti hi rahay..ke us ne Islamabad high court jaana hai ya SC.. Sheikh Rashid ne challenge bhi kar diya.. Sheikh Rashid is the man..:enjoy:
 
.
Brig sahib ki bhi initial report hai.. PMLN tou keh rahi hai ke shayad koi aur involved hai bara.. muamlay ki teh tak pohanchnay ka azam kar rakha hai.. lolz..

Behtar hota ke ahsan iqbal samait do teen logon ko thappar bhi laga detay rangers ke log, salam pesh karta main Brig sahib ko.

Farogh Nasim is the right man to go with, acha qabil barrister hai, Good job Sheikh sahab...very pro-active i must say.
 
. .
Behtar hota ke ahsan iqbal samait do teen logon ko thappar bhi laga detay rangers ke log, salam pesh karta main Brig sahib ko.

Nahi yaar.. I think inn ko qanoon ko haath main nahi lena chahiey tha.. PMLN tou bethi hai koi cheez haath aye shor machanay ko..

PTI abhi sochti hi rahay..ke us ne Islamabad high court jaana hai ya SC.. Sheikh Rashid ne challenge bhi kar diya.. Sheikh Rashid is the man..:enjoy:

PTI ko zaroor aana parega maidan main.. Aik seat walay ki petition aur 31 seats aur 7 senators walon ki petition main farq hoga kyun ke yeh baat Act ko reverse karnay ki hai.. balkay agar MQM aur others aajaein, tou aur bhi acha hai..

Lekin kyun ke IK bhi DQ horaha hai tou shayad PTI ka stake hai iss main.. lolz..
 
.
Nahi yaar.. I think inn ko qanoon ko haath main nahi lena chahiey tha.. PMLN tou bethi hai koi cheez haath aye shor machanay ko..

oh yaar inho ne tu wesay bhi ab yehi tamasha karna hai bhalay ap qanoon hath main lo ya nahi lo, and trsut me abhi tak tu qanoon ko chuwa tak nahi hai rangers ne haath main lena tu durr ki baat, jis tarah karachi main Rangers ne MQM ke sitting MPA's or MNA's ko uthaya tha agar us tarah tackle kia hota tu cheekhain nikal jati professor ahsan iqbal sahib ki.

Lekin kyun ke IK bhi DQ horaha hai tou shayad PTI ka stake hai iss main.. lolz..

I think is muamlay main IK ki bachat hojaye, kuch din pehlay tak mera bhi khiyaal tha ke IK DQ honay laga hai but ab mera opinion thora different hai is muamlay main, i think he might escape disqualification by 2-1
 
.
Haan yeh theek kaha aap ne.. lekin Aijaz ul Ahsan tou abhi tak ghaib hain..

Even agar Basheeray ne bulwai hoti tab bhi masla nahi tha.. lekin basheera tou yeh kehta phir raha hai ke main ne thori rangers ko kisi ko roknay ka kaha hai.. woh tou ownership le hi nahi raha..

Abb legally speaking, Rangers hot waters main aagaee hai.. dekhain kia hota hai.. situation is complicated.. Ahsan Iqbal keh raha hai ke main jawab le kar rahunga ke kis ke kehnay par aisa hua.. uss ko Brig se bhi upar ka andesha hai..

.

Hmm.. Kaash J Ijaz ul Ahsan rangers ko khud bulwaa letay tu ye sab masla hona hi nahi tha.. Ye drama khatam hojaata..
Pata nahi...kiun kuch nahi karrahay J Ijaz ul Ahsan? Samajh nahi aaraha...

Basheeray tu baqaaida ailaan karrahay thay ..ke rangers se mera koi talluq nahi,, ye waqayi mujhe bhtt darpok lagtay hain... Ye kia faisla dein ge? Mujhe inn se tu koi umeed nahi..

Lkin baad...main inhon ne apnay verdict main...rangers bulaanay ki tareef bhi ki...ke govt ne rangers ko bulaa kar acha kiya..lolll.. Govt tu abhi tak poochti phir rahi hai ke ye kis ne kiya? :lol:
Basheeray tareef karrahay hain....govt ki..loll.. Basheeray bhi ajeeb hi hain.. Mujhe tu lagta hai ke inn bhi 62/63 lag sakti hai..loll..

:lol:

Buhat ghussa karti hain aap tou bhaee.. Chhorain dawn leaks ko.. woh situation hi alag thi.. uss ko kis tarah deal karna tha, kafi logon ki raey different hai uss par..

Dekhain kia hota hai.. suna hai ke kal ki CC meeting main rangers wala issue discuss hua hai kafi extensively.. abb dekhtay hain ke chicken out karjatay hain maslehatan, ya government ko ignore kardetey hain.. abhi tak tou government ko ignore list main dala hua hai iss issue par..

Brig sahib ki bhi initial report hai.. PMLN tou keh rahi hai ke shayad koi aur involved hai bara.. muamlay ki teh tak pohanchnay ka azam kar rakha hai.. lolz..

Nahi.. Ghussa ki baat nahi.. Bas Mujhe aisy log nahi pasand..jo sahi baat par datt na sakein ya un main itni moral courage na ho ke apnay ya apni team ke actions ki ownership na le sakein..aur apnay subordinates par daal dein.. Its not good leadership quality..

Kher..aap ne theek kaha........chorein inhein.. Main bhi inhein ziada discuss kar ke apna mood nahi kharaab karna chahti...

Dekhtay hain ke rangers ke issue par kia hota hai ab?

PTI ko zaroor aana parega maidan main.. Aik seat walay ki petition aur 31 seats aur 7 senators walon ki petition main farq hoga kyun ke yeh baat Act ko reverse karnay ki hai.. balkay agar MQM aur others aajaein, tou aur bhi acha hai..

Lekin kyun ke IK bhi DQ horaha hai tou shayad PTI ka stake hai iss main.. lolz..

Ye aap ne theek kaha...PTI ko aana chahye maidan main.. Is se SC par farq paray ga... PTI ki petition ki value ziada hogi....kiun ke act ko reverse karna hai..tu ziada strength wali opposition ki baat main ziada dam hoga..

Lekin PTI tu kal tak yehi soch rahi thee ke high court jaayein ya SC? Athough ke sindh high court main PTI pehle hi challenge kar chuki hai..phir Islamabad high court jaanay ka kia faida? SC hi jaana chahye... Lekin shayad khud bhi daray huay hain..

Waisy kal SC bar ne bhi kaha hai ke woh ye bill challenge karein ge.. I hope ke ziada se ziada log challenge karein..
 
Last edited:
.

Latest posts

Back
Top Bottom