Haan yeh theek kaha aap ne.. lekin Aijaz ul Ahsan tou abhi tak ghaib hain..
Even agar Basheeray ne bulwai hoti tab bhi masla nahi tha.. lekin basheera tou yeh kehta phir raha hai ke main ne thori rangers ko kisi ko roknay ka kaha hai.. woh tou ownership le hi nahi raha..
Abb legally speaking, Rangers hot waters main aagaee hai.. dekhain kia hota hai.. situation is complicated.. Ahsan Iqbal keh raha hai ke main jawab le kar rahunga ke kis ke kehnay par aisa hua.. uss ko Brig se bhi upar ka andesha hai..
.
Hmm.. Kaash J Ijaz ul Ahsan rangers ko khud bulwaa letay tu ye sab masla hona hi nahi tha.. Ye drama khatam hojaata..
Pata nahi...kiun kuch nahi karrahay J Ijaz ul Ahsan? Samajh nahi aaraha...
Basheeray tu baqaaida ailaan karrahay thay ..ke rangers se mera koi talluq nahi,, ye waqayi mujhe bhtt darpok lagtay hain... Ye kia faisla dein ge? Mujhe inn se tu koi umeed nahi..
Lkin baad...main inhon ne apnay verdict main...rangers bulaanay ki tareef bhi ki...ke govt ne rangers ko bulaa kar acha kiya..lolll.. Govt tu abhi tak poochti phir rahi hai ke ye kis ne kiya?
Basheeray tareef karrahay hain....govt ki..loll.. Basheeray bhi ajeeb hi hain.. Mujhe tu lagta hai ke inn bhi 62/63 lag sakti hai..loll..
Buhat ghussa karti hain aap tou bhaee.. Chhorain dawn leaks ko.. woh situation hi alag thi.. uss ko kis tarah deal karna tha, kafi logon ki raey different hai uss par..
Dekhain kia hota hai.. suna hai ke kal ki CC meeting main rangers wala issue discuss hua hai kafi extensively.. abb dekhtay hain ke chicken out karjatay hain maslehatan, ya government ko ignore kardetey hain.. abhi tak tou government ko ignore list main dala hua hai iss issue par..
Brig sahib ki bhi initial report hai.. PMLN tou keh rahi hai ke shayad koi aur involved hai bara.. muamlay ki teh tak pohanchnay ka azam kar rakha hai.. lolz..
Nahi.. Ghussa ki baat nahi.. Bas Mujhe aisy log nahi pasand..jo sahi baat par datt na sakein ya un main itni moral courage na ho ke apnay ya apni team ke actions ki ownership na le sakein..aur apnay subordinates par daal dein.. Its not good leadership quality..
Kher..aap ne theek kaha........chorein inhein.. Main bhi inhein ziada discuss kar ke apna mood nahi kharaab karna chahti...
Dekhtay hain ke rangers ke issue par kia hota hai ab?
PTI ko zaroor aana parega maidan main.. Aik seat walay ki petition aur 31 seats aur 7 senators walon ki petition main farq hoga kyun ke yeh baat Act ko reverse karnay ki hai.. balkay agar MQM aur others aajaein, tou aur bhi acha hai..
Lekin kyun ke IK bhi DQ horaha hai tou shayad PTI ka stake hai iss main.. lolz..
Ye aap ne theek kaha...PTI ko aana chahye maidan main.. Is se SC par farq paray ga... PTI ki petition ki value ziada hogi....kiun ke act ko reverse karna hai..tu ziada strength wali opposition ki baat main ziada dam hoga..
Lekin PTI tu kal tak yehi soch rahi thee ke high court jaayein ya SC? Athough ke sindh high court main PTI pehle hi challenge kar chuki hai..phir Islamabad high court jaanay ka kia faida? SC hi jaana chahye... Lekin shayad khud bhi daray huay hain..
Waisy kal SC bar ne bhi kaha hai ke woh ye bill challenge karein ge.. I hope ke ziada se ziada log challenge karein..