What's new

Panama Case - Post Verdict Discussion and Updates

عدالت نے پہلے بھی جے آئی ٹی کی نگرانی کی، خواجہ حارث
اب ٹرائل کورٹ کی بھی نگرانی کی جارہی ہے ، خواجہ حارث
نگراں جج کا ٹرائل سے کوئی تعلق نہیں ہوتا،جسٹس کھوسہ

Tu NAB ko kon monitor karay ga ? ke NAB ne references theek banaye ya nahi?
 
.
نگراں جج کو اس بنچ کا حصہ نہیں ہونا چاہیے ، خواجہ حارث
ہم اس آبزرویشن کو کلیئر کردیں گے، جسٹس عظمت
عدالت پر بھروسہ کریں ، سڑکوں پر نہ کریں ، جسٹس عظمت
اگر ٹرائل میں زیادتی ہوئی تو سپریم کورٹ آپ کے ساتھ کھڑی ہوگی، جسٹس کھوسہ
سپریم کورٹ ہرشہری کے حقوق کے ساتھ کھڑی ہے ، جسٹس کھوسہ
نواز شریف کے حقوق متاثر ہوئے تھے تو اسی عدالت نے ریلیف دیا تھا، جسٹس کھوسہ
سپریم کورٹ نے کہا جے آئی ٹی نے دیانتداری سے کام کیا، خواجہ حارث
میرا کیس یہ ہے کہ جے آئی ٹی نے دیانتداری سے کام نہیں کیا، خواجہ حارث
جب میں جے آئی ٹی پر جرح کرونگا تو وہ سپریم کورٹ کا تعریفی پیراگراف رکھ دینگے،خواجہ حارث
ہمیں آپ کے خدشات کا علم ہے، جسٹس اعجاز افضل کا خواجہ حارث سے مکالمہ
آپ جے آئی ٹی کے تمام ارکان پر جرح کریں ، جسٹس اعجاز الاحسن
جے آئی ٹی کی عدالت کی تعریف رکاوٹ نہیں بنے گی، جسٹس اعجاز الاحسن
شفاف ٹرائل میرے موکل کا حق ہے، عدالت کو آبزرویشن دینا ہوگی، خواجہ حارث
نواز شریف کے وکیل خواجہ حارث کے دلائل مکمل

. .
نگراں جج کو اس بنچ کا حصہ نہیں ہونا چاہیے ، خواجہ حارث
ہم اس آبزرویشن کو کلیئر کردیں گے، جسٹس عظمت

جب میں جے آئی ٹی پر جرح کرونگا تو وہ سپریم کورٹ کا تعریفی پیراگراف رکھ دینگے،خواجہ حارث
ہمیں آپ کے خدشات کا علم ہے، جسٹس اعجاز افضل کا خواجہ حارث سے مکالمہ

شفاف ٹرائل میرے موکل کا حق ہے، عدالت کو آبزرویشن دینا ہوگی، خواجہ حارث

Mujhe tu JIT ki tareef wala para remove hota...aur monitoring judge ka role restrict hota naza aaraha hai..review main.. Judges shayad clearly likh dein ge ke monitoring judge..yeh yeh nahi karsaktay.....Shayad kisi na kisi hadd tak relief mil jaye NS ko... Agar JIT ki tareef wala para bhi remove hogaya..tu ye NS ki bhtt bari victory
 
.
hona wahe hey jo judges kaheengay aur hona wohi hey jo pehlay huwa hey ... is international certified choor ke zalalat :D
 
. . . .
JIT ke adalat main ghaseetay janay aur monitoring judge ka role kam honay ke imkaan pe...

Ajeeb hi hai..humaray mulk ka system bhi.. Jo jitna bara daakoo, fraud..aur badmaash....utnay hi us ke huqooq... Kia kisi aam mulzim ko itna fair trial milta hai? Aaj poochna chahye tha ke fair trial tu karrahay hain..NAB ke bulaanay par kiun nahi gaye? Apni safaayi kiun nahi di?

Ab monitoring judge ka role bhi restrict hota nazar aaraha hai.. Atleast 28th july ke verdict main open ended tu tha..ke judge ki apni marzi hai.. Waisy tu abb tak unhon ne bhi kuch nahin kiy..a..lekin umeed tu thee..ke shayad aagay chal kar kuch karein.. Lekin abb tu lagta hai ke monitoring judge ke role par strict parameters aa jayein ge ke yeh karsaktay hain aur ye nahi.. Infact agar verdict main na bhi aaye..judges ne apna mind tu bataa hi diya hai ke monitoring judge ziada kuch nahi karein ge.. Daakoo fikr na karein

Although ..i noticed tht Justice Ijaz ul Ahsan was silent on this debate regd monitoring judge.. He didnt comment on it at all.. I think ..atleast ye unhon ne acha kiya ke apna POV nahi bataaya.. But jab SC hi apnay verdict main clear parameters define kar dey gi..uske baad..agar woh kabhi kuch karna bhi chahein ge tu nahi karsakein ge..

Sirf sharif family ke hi huqooq hain.. Aam public ke koi huqooq nahi hain...?
 
I think monitoring judge ka role pehlay bhi kam tha.. Aap ko shayad yaad ho hum ne iss par pehlay bhi baat ki thi.. ke justice aijaz ul ahsan kyun active nazar nahi aarahay, ke yeh na lagay ke he is preparing the references instead of monitoring the NAB proceedings.

Yeh sirf kh. haris ko bataya gaya hai ke monitoring judge ka role kam hai iss pooray muamlay main.. yeh aur baat hai ke agar SC yeh remark nahi deti tou Justice Aijaz ul Ahsan thori sakht monitoring bhi kar letey tou kisi ko pata nahi chalna tha.. lekin yeh remark de kar kafi ghalti ki hai.. abb tou halki si bhi sakht monitoring hogi tou Shar family shor daal degi..

rahi baat ke kis ke kitnay huqooq hain, tou bilkul sahi baat hai.. abhi itnay references kisi aur party ke kisi aadmi par hotay (aam aadmi ki baat tou rehnay dain) tou jail main hotay woh sahib.

Aam public ke koi huqooq nahi hain...?

Aam public ka haq yeh hai ke woh ganda paani piye, aur moj manaye..

aur agar koi bhooka ghareeb double roti chori kartay pakra jaey tou usay kam az kam 14 saal qaid e ba mushaqqat ki saza ho..
 
.
I think monitoring judge ka role pehlay bhi kam tha.. Aap ko shayad yaad ho hum ne iss par pehlay bhi baat ki thi.. ke justice aijaz ul ahsan kyun active nazar nahi aarahay, ke yeh na lagay ke he is preparing the references instead of monitoring the NAB proceedings.

.

@bold abhi tak NAB proceedings ko kahan monitor kiya gaya hai? Abhi tu kuch bhi nahi hua

Aur iss paragraph ka kia matlab hai?

The Hon’ble Chief Justice of Pakistan is requested to nominate an Hon’ble Judge of this Court to supervise and monitor implementation of this judgment in letter and spirit and oversee the proceedings conducted by the NAB and the Accountability Court in the above matters.

NAB proceedings aur accountability court ki proceedings ko monitor karnay ka khud verdict main likha hai...aur abb keh rahay hain ke kuch nahi karein ge..monitoring judge? Trial par asar andaaz nahi honge... Kiun?

Ab role ko restrict kiun karrahay hain? Sharif family ke huqooq mustaasir na hon!! Anr awaam ke hotay rahein..

Though J Ijaz ul Ahsan today didnt comment at all ..on role of monitoring judge..lekin baqi judges ne hi itnay remarks de diye ke kuch nahi karein ge..monitoring judge.....tu waqayi kuch nahi karna paray ga..agar baad main woh sochtay bhi...kuch karnay ka ....

Ohhh no!!!!!! Sharif family ki tu har tarah se victory hai.. Judges pehle hi keh chukay hain ke hum ne ehtiyaat se verdict likha ke huqooq mutaasir na hon.. Af bhi woh yehi keh rahay hain..balke ..us se kuch ziada hi relief de rahay hain..apnay pehle faislay se ziada.. Monitoring judge ka role restrict kar ke..aur shayad JIT ki tareef walay para ko keh dein ge ke humara matlab woh nahi tha .. Aaj Ejaz AFzal ne kaha hai ke hum ne yeh nahi kaha ke JIT report na aabl e tardeed sach hai.. Kh Haris kept saying ke ..aap ne JIT ki tareef ki hai..jab un par jirah karein ge accountanility court main..t woh SC ki tareef le aayein ge.. Mujhe iss par observation chahye.. I think iss par judges zuror clarification de dein ge...

Jitna relief sharif family ko ab mil sakta tha..woh mil jayega.. Obviously disqualification tu reverse honi nahi thee..
 
.
Aam public ka haq yeh hai ke woh ganda paani piye, aur moj manaye.. aur agar koi bhooka ghareeb double roti chori kartay pakra jaey tou usay kam az kam 14 saal qaid e ba mushaqqat ki saza ho..

Aaam admi jab tak Bhutto ko zinda rakhega or Sharifon ke agay bhangray dalega woh isi tarah kuttay ki zindagi jiay ga or kuttay ki maut marega, im sorry for being harsh but its a sad reality.
 
. .
Abb mujhe lagta hai ke PTI aur Sheikh Rashid ko bhi review main jaana chahye tha..aur judges ke saamnay rona daalna chahye tha ke aap ne inn ke saath bhtt narmi barti... Maryam ko forged docs par direct aap jail main bhejien.. Ishaq Dar ko disqualify karein.. Abb judges ne sirf one sided arguments sunay hain... Sirf ek side ka rona itnay din se sunn rahay hain..court se bahar bhi..aur court ke andar bhi.. Jab ke PTI tu bilkol relax ho chuki hai.. Victory sign banaa kar..ek jalsa kar ke khatam.. Atleast sheikh rashid hudaibya par chala gaya hai.. Is se thori si umeed baqi hai.. review petition main agar PTI bhi chali jaati ya sheikh rashid bhi..tu judges ke pass dono sides ke arguments hotay..
 
.
The Hon’ble Chief Justice of Pakistan is requested to nominate an Hon’ble Judge of this Court to supervise and monitor implementation of this judgment in letter and spirit and oversee the proceedings conducted by the NAB and the Accountability Court in the above matters.

Aap iss para ko letter and spirit main parh rahi hain.. nahi parhain.. :lol: yeh mazak samajh kar bhool jaein..

Waisay oversee ka matlab halki phulki nazar rakhna hota hai aaj kal ke judges ki nazar main.. woh rakh rahay hain SC ke mutabiq jis main agar koi 50% garbar kar ke reference banaey tou registrar uss ko dekh kar kahay ke iss main siqam hai... aur uss ke baad doosray reference main 45% garbar ho tou accept karlay.. iss se yeh bhi lagega hum bewaqoof awam ko ke monitoring horahi hai.. aur SC ka registrar apna kaam poora kar raha hai..

Wah kia kehnay..

:dance3:

inn ke saath bhtt narmi barti... Maryam ko forged docs par direct aap jail main bhejien..
:yahoo::yahoo::yahoo:

Yeh main kitnay din se keh raha hun ke verdict buhat halka hai?

Aaam admi jab tak Bhutto ko zinda rakhega or Sharifon ke agay bhangray dalega woh isi tarah kuttay ki zindagi jiay ga or kuttay ki maut marega, im sorry for being harsh but its a sad reality.

Why sorry?

Jis ke saath kuttay wali horahi ho woh bura nahi mana raha tou bhai jan aap ke kehnay pe tou bura manana banta hi nahi hai.. :lol:
 
.

Pakistan Defence Latest Posts

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom