It was a sarcastic comment.. Of course unn ko nishaan e ibrat bana dena chahiey.. What I wanted to say ke awaam inn logon ko power main latay rahaingay.. courts in ko pardon karti rahaingi.. chahay PA inn ke upar haath dalay ya na dalay.. Jitna inn ko aap marain gey, chahay fauj maray ya police ya koi aur idara, yeh aur ziada votes ke saath aaeingay, aur unhi voters ko lootaingay.. yehi qismat hai in voters ki unfortunately..
Aap ko lagta hai ke zardari ko agar latkaa diya jaaye..aur uske saath bilawal ko bhi...tu awaam inke haqq main aur inke liye sarkon par niklay gi ya mithaiyyan bantay gi? Ab aap bhutto ki misaal dein ge....lekin bhutto ke phir bhi kuch genuine followers bhi ghay..us ne kuch achay kaam bhi kiye thay..though i believe ke his negatives outweigh the positives much more...
Aap kahein ge ke bhutto ki wajah se aaj tak PPP power main aati hai... Tu main us par itna hi kahun gi ke..ab halaat bhtt badal chukay hain.. Ab sirf kisi ke marnay ki wajah se general oublic sympathise nahi karay gi..
Bhutto ke saath kiun ke martial law ke daur main phansi hui thee..iss liye bhi sympathy fa tor aaya tha.. Aaj agar is so called democratic setup main...army. Eshak military courts main hi....baray logon ko latkaa dey.....sab mithaiyyan hi baantein ge.. Ya atleast adaalatein hi disqualify kar dein ...
Lekin yahan tu ye haal hai ke PM ka case kia aagya.., adaalat tu faisla hi nahi de paa rahi... Pata nahi kis cheez ka intezar hai? Kab tak faisla likhtay rahein ge...
Zara si tu judges sharam karein ab.. Khud mid april ki date thee.... Ab bhi itnay itmenan se hain..ke kisi cheez ki koi jaldi nahi... Mujhe waqayi laggnay laga hai ke is saal ke end tak latkaayein ge....ya atleast 1-2 months aur delay karein ge .... Kh Asif ka woh statement theek tha... Koi sharam hoti hai, koi haya hoti hai...
. Kyun PA ko bura bhala kehtay hain hum sab?
Iss liye PA ko boltay hain...iss liye ke ye pretend kartay hain ke inhein mulk se bhtt mohabbat hai...aur ye iske khilaf kuch bardasht nahi karsaktay... Doosray instituitions tu pretend bhi nahi kartay.. Judiciary, NAB, police....ye hargiz aisa kuch pretend nahi kartay...iss liye inn se umeed bhi nahi hogi..
Agar aap ka COAS ye statement dey..ke ntl security breach hogayi...ya phir kahay gi ke for me...Pak is more imp than any individual or instituition, ya phir ye kahein ke anti state activitis par koi compromise nahi hoga..tu phir inn se umeed laganay main ghalti kis ki hai? Ya tu ye bhi doosray idaaron ki tarah chup hojayein...aur bari bari baatein na karein...hum bhi in se umeed nahi lagayein ge...baqi idaaron ki tarah
Lekin jab aap khud umeed dilatein.apnay statemnts ke through......aur phir jab log umeed bandh lein tu aap mazay se keh dein ke humara tu ye kaam hi nahi hai...tu phir aap ko statements denay ko kis ne kaha tha? Woh bhi awaam ki ghalti hai ke aap ne aisy statements diye???. Jab aap khud aisy statements dein...aur baad main haath jhar kar keh dein ke nahi...awaam bhugtay ..jo unhon ne kiya hai.. Aap bhi doosre idaaron ki tarah khamosh reh saktay thay...lekin nahi...aap jaan boojh kar umeed dilaa kar tortay hain... Tu phir awaam aap ko bura kehnay main justified bai..
Aap pretend karna chor dein..aur Allah ke waastay awaam ke jazbaat se khelna band karrin..politicians ki tarah...,aur bari bari baatein karna band karein..phir aap beshak hazaar NROs kar lein...kisi ko farq nahi paray ga..kiun ke kisi ne umeed aap se nahi bandhi hogi.... Lekin pehle umeed dilaa kar deal karna..is par tu phir bura bhala aap ko bola jaayega... Aur bilkol justified hai