What's new

Panama leak Case Proceedings - JIT Report, News, Updates And Discussion

Status
Not open for further replies.
lolll..

I think kafi ghussa main hain hum sab.. Lets wait for the decision. It will be a hard decision for NS as a judge said that 50% of the people will not be happy with this judgement. Approx. 50% seats in NA belong to PMLN.. Tou ishara tou PMLN ki taraf hi tha..

Baqi verdict tou isi haftay aajana chahiey.. aik din ke notice pe.. in shaa Allah kal aur parson dekhtay hain..

and don't worry about Dawn Leaks, aik do din main situation clear hojaegi.. in shaa Allah.

Aap ne shayd Mazhar Abbas ki tweet nahi dekhi.. Jo main ne yahan share ki thee..apni ek post main

Matlab verdict is week bhi nahi aaraha ... Judges pata nahi...kis cheez ka intezar karrahay hain.. Khud mid april ki date de kar....ab us se bhi peechay hatt chukay hain..... Har ek ne awaam ko bewaqoof banaana apna farz samajh rakha hai
 
. .

I am not trusting these media persons nowadays.. lets see kia hota hai iss week.

moral of the story is pakistan say zinda bhag.:pakistan:

hahahaha lolll
 
.
Uzair baloch koi chhota aadmi nahi hai..

aur baqi rahi baat military court main case chalnay ki, it is the responsibility of courts to send any case to military court based on the substance.

Uzair Baloch ek chala hua kartoos hai, ab....

Uzair baloch ko har koi disown kar chuka hai ab..jo uske facilitators thay..woh bhi

Aur aap ki yeh baat ke govt military court main case bhejti hai.,. Chalein... Ab tu chala gaya hai na...military court main uzair baloch ka case finally? Military courts main jo bhi cases jaatay hain..un main terrorists, facilitators sab ko saza milti hai... Tu ab jo ye uzair baloch ka case military court main chalay ga..tu logically us. K facilitators ko saza nahi milni chahye...like every other case in military court? Lekin humein pata hai ke is case main aisa kuch nahi hoga... Bawajood iske..ke yahan sindh police prosecutor nahi hogi..balke military ke log honge... Uss main tu govt ko bhi ilzaam nahi diyaa jasakta military court main..ke case sahi nahi banaaya..dr asim. Ki tarah.. Lekin hum sab jaantay hain ke uzair baloch ke facilitators ko kuch nahi hoga...aur koi deal hojaye gi..uzair baloch ke facilitators ko bachaanay ke liye....

Kia..is main bhi awaam qusoorwar hogi? Agar military courts se bhi uzair baloch ke facilitators bach jayein ge..tu is main bhi awaam ka qusoor hoga?
 
.
Bhai hukumraan awaam ki wajah se nahi hain they shud have been in jail by now, itni der sar phornay pe bhi yeh simple logic nahi samajh arahi tumhen ? awaam main itni awareness nahi hai specially in rural areas, ap ne choice hi nahi chori unkay liay.

Chalo aap jo samajhtay raho.. samajh ke upar koi pabandi nahi..

Waisay its a vicious circle.. HUkumraan ki wajah se awaam jahil aur jahil awaam ki wajah se jahil hukumraan..

Kia..is main bhi awaam qusoorwar hogi? Agar military courts se bhi uzair baloch ke facilitators bach jayein ge..tu is main bhi awaam ka qusoor hoga?

Aik facilitator hota hai jo terrorist of panah de, aur bomb blast karnay main uss ki jaantay boojhtay madad karay..

Military courts main case Uzair baloch pe sirf doosri agencies ke liey kaam karne ka hai jis main koi aur abb tak tou mulawis nahi paya gaga, baqi qatal aur bhatta khori ke jo ilzamaat hain, woh tou civil courts main hi chalaingay.
 
.
I am not trusting these media persons nowadays.. lets see kia hota hai iss week.

Honestly speaking... Mujhe is week verdict aanay ke koi asaar ab nazar nahi aarahay... Mujhe nahi lagta hai ke is week......verdict aayega... Abhi door hai verdict....

Aik facilitator hota hai jo terrorist of panah de, aur bomb blast karnay main uss ki jaantay boojhtay madad karay..

Military courts main case Uzair baloch pe sirf doosri agencies ke liey kaam karne ka hai jis main koi aur abb tak tou mulawis nahi paya gaga, baqi qatal aur bhatta khori ke jo ilzamaat hain, woh tou civil courts main hi chalaingay.

DG ISPR is addressing pressconference... Abhi dekha... Kaafi der se horahi hai shayad pressconference... Abhi tak tu shayad dawn leaks ka koi zikr nahi hai...
 
. . .
@PakSword

Abhi dawn leaks par ksi ne sawaal poocha ke...pehlay Ch nisar ne kaha tha...ke committee main ikhtelaf hai..aur kaha jaa raha tha...ke military reps ke dissenting notes hain.. Ab ch nisar keh rahay hain ke consensus hogaya hai..tu kia aap ke reps ne dissenting notes wapis le liye hain? Ya govt maan gayi? Uss par DG ISPR ne kaha...ke ye sawaal aap ne interior minister se kiun nahi poocha.? Phir kehnay lagay...ke committee ka jo mandate tha..us main consensus ka koi sawaal nahi tha... Us main findings aani hain...zimmedarin ka tayyun hoga..ke kon zimmedar hain........consensus ya no consensus ka sawaal nahi hai.. Ye uss commitee ka mandate hi nahi tha :rolleyes::rolleyes::rolleyes: ( ye baat bilkol mere sir par se guzar gayi ke woh kehna kia chah rahay thay?) Aur phir kehnay lagay ke interior minister ne jo 3-4 din ki deadline di hai..is ko woh zuroor poora karein ge InshaAllah... Matlab ke 3-4 din main report tu confirm aarahi hai..

Consensus zimmedaron par hi tu nahi tha,,ke kon zimmedar hain...is par hi tu ikhtelaf tha...lekin DG. ISPR ka ye kehna ke consensus ya no comsensus wali koi baat hi nahi hai ...is commitee ka yeh mandate hi nahi tha..... Ye kia matlab hua? :rolleyes:

Iska sirf ek hi matlab nikaala jasakta hai ke koi dissenting note nahi hai...aur Baji ka naam nikal diya gaya hai report se

Kisi aur ne doosra sawaal kia ke..dawn leaks ke zimmedaron par secret act ke tehet muqadma chaalyein ge...ya civilian courts main? In par unhon ne kaha .....ke pehle report aanay dein...iska jawab baad main... Kuch is tarah ka hi kaha tha..
 
Hamaray mulk main "Compromises" ka season kabhi khatam nahi hota, one after another
 
.
ke committee ka jo mandate tha..us main consensus ka koi sawaal nahi tha... Us main findings aani hain...zimmedarin ka tayyun hoga..

hmmm. theek hai.. shayad main ne bhi yehi kehna tha uss din.. khair.. abhi clear hojaegi situation.. 3-4 din main..

Kisi aur ne doosra sawaal kia ke..dawn leaks ke zimmedaron par secret act ke tehet muqadma chaalyein ge...ya civilian courts main? In par unhon ne kaha .....ke pehle report aanay dein...iska jawab baad main... Kuch is tarah ka hi kaha tha..

Pehlay report tou aanay dein.. main bhi tou yehi keh raha hun.. aap sab ghussay main mujhay daant rahay hain.. :lol:
 
.
hmmm. theek hai.. shayad main ne bhi yehi kehna tha uss din.. khair.. abhi clear hojaegi situation.. 3-4 din main..
Pehlay report tou aanay dein.. main bhi tou yehi keh raha hun.. aap sab ghussay main mujhay daant rahay hain.. :lol:

Hum tu dissenting notes na honay par ghussa karrahay thay.. Asal ghussa tu is baat par tha...baad main tu humein pata hai ke kuch nahi hona..dissenting notes asal issue tha ke baji ka naam aajaye...
. DG ISPR ka uss par jawab tu mere sir par se guzar gaya

Ye link mila hai... Is main dawn leaks se related question aur us par DG ISPR ka response hai... Plzz mujhe koi samjhaa dey...

http://www.zemtv.com/2017/04/17/dg-ispr-maj-gen-asif-gahfoor-response-on-dawn-leaks-question/

@PakSword @Guvera plzz samjhaa dein ke DG ISPR kia kehna chah rahay hain?
 
Last edited:
.
It seems like Dawn leaks case, the SC panel is also developing consensus, thus the inordinate delay.
 
.
Haan ahkar chala gaya na Monday bhi?

Nahi ahraha bhai Panama ka result. Behtar hai ke is thread ko mods bund hi kar dien.

Muq muqqa and matti pao type scene hogaya hai. Long live corruption.
 
. .
Status
Not open for further replies.

Latest posts

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom