Aapki aur meri supreme court ne kaha hai ke elections theek thay.. thori si irregularities theen.. Main tou SC ki baat manunga..
Chalain thori der ke liey maan letey hain election system was not working up to the standard, kia Jamaat e Islami, ya Imran Khan ne PM banna tha? We must accept that NS was the most popular leader in 2013, and probably still is.. Abb keh dain qasoor Army ka hai iss main..
NRO uss waqt kia gaya tha jab aap ki awam Musharraf ke khilaaf sarkon pe aagaee thee.. Uska survive karna mushkil hogaya tha.. Despite so many bad qualities, Musharaf was dealing with economic issues quite efectively.. But it was your and my awaam jo sarkon pe aagaee aur theek thaak banday marnay lagay.. NRO tou hona hi tha.. aap ki awam chahti thi ke benazir aur nawaz shareef ko apnay upar sawar karain.. aur aisa hi hua.. abb gham kaisa.. they got what they deserved..
As I said earlier, NRO nahi hona tha agar awam nahi chahti..
Yes, awaam international players ke haathon kheltay hain. aap ki parties ki funding poori duniya se hoti hai, aur sadly, aapki awaam OLX ki tarah qeemay walay nanon ke liey bikti hai.. aik din kisi hukumraan ke khilaaf ehtijaaj karna ho, uss ki qeemat aik naan..
Duniya main sab se ziada international players ke liey awaam ko control karna jitna Pakistan main easy hai shayad ethopia jaisay mulk main bhi nahi hoga.. Hamaray tou pait bharay log bhi biktay hain..
Iss main PA ka qasoor hai? Aap ka education department hai, jaein ehtejaaj karain..
Aapke aur mere dimaagh main baat tou yehi hai ke Martial Law lagna chahiey.. main tou iska 100% supporter hun.. kyunke muamlaat isi tarha chaltay rahaingay agar nahi laga tou.. main tou openly yeh baat karta hun ke Pakistan ke masail ka hal Martial law hai.. koi manay ya na manay.. lekin aaj hukumranon ne woh chance bhi nahi rehnay diya.. now the country can't survive with all those embargoes that come with Martial Law..
Koi tareeqa nahi hai... koi bhi tareeqa nahi hai.. Technocrats ki government kon laega? PA? phir awaam sarkon pe hogi do saal ke baad qeemay walay naan khanay ke baad tou phir koi NRO kar ke barracks main wapis jana parega..
Achi deals nazar nahi aateen.. Iss liey count karna itna asaan nahi hota.. Mostly related to foreign affairs and defense budget.. You need money to survive against one of the largest importers of arms... If government says that they will cut the military spending, Army has to come in with something to get something...
Aap ke barabar main Rafael ki deals horahi hain.. aur aap ke wazeer e khazana Asian Dev Bank ke board of directors main se hain.. aap ki spending ka bara zareeya soodi qarzay hain, jinhain aap ke wazeer e khazana bari aasani se kamzr case bana ke reject karwasaktay hain... aap ko continuous funding chahiey.. to fight with insurgents, to keep minimum deterrence etc.
aap nahi chahti hongi NRO... more than 75% awam tou yehi chahti thee aur unhon ne pichlay 10 saalon main unhi ko muntakhib kia jin ko woh chahtay hain.. sorry but you can't close your eyes and say that awam tou buhat achi hai lekin yeh hukumraan unkay upar kaheen aur se zabardasti musallat kardiey jatay hain.. I don't buy this argument..
Awaam jisay chahti hai, jis se muhabbat karti hai, usi ko lati hai.. 10-20% dhandli se results tabdeel nahi hotay.