What's new

Panama leak Case Proceedings - JIT Report, News, Updates And Discussion

Status
Not open for further replies.
Farah when Pajama leaks verdict coming ?

Allah hi behtar jaanta hai.. Sunnay main tu aaraha hai ke ab next week aajayega.....lekin..jo halaat aur asaar chal rahay hain...us main tu lagta ye hai ke shayad humari zindagi main na aaye verdict

When Mayam safder came back from UK deal was done that time she still runing media cell from PM house .i Will not support Army next time all they do beat drums then make a deal unless army have this kind of attitude more leaks will happen in future .When ppl know they can get away with this then they will do it .

@bold... Seriously army deserves it... Now i really want baji to become our next PM, and want to see army generals saluting her... Pehlay i wanted sazaa for baji....but now i genuinely want her to become our PM...
 
.
Agar kuch saalon ke liye civilian technocratic setup aajaye...jis main ruthless accountabilit ho...atleast instituitions ko reform kar diya jaaye..like NAB, FIA, police..foreign funding ko check kiya jaaye to political parties....uske baad elections karaye jayein..this to me, seems to be the only workable ootion for Pakistan... Warna tu Pakistan kahan jaa raha hai? Ye hum sab jaantay hain....

Not workable anymore...

Any laws passed in that technocrat govt. period will be unconstitutional and hence will not be implementable in the longer run..
 
.
Allah hi behtar jaanta hai.. Sunnay main tu aaraha hai ke ab next week aajayega.....lekin..jo halaat aur asaar chal rahay hain...us main tu lagta ye hai ke shayad humari zindagi main na aaye verdict

@bold... Seriously army deserves it... Now i really want baji to become our next PM, and want to see army generals saluting her... Pehlay i wanted sazaa for baji....but now i genuinely want her to become our PM...
Gen learned nothing from history one word for them jooton ki kami .
 
.
Not workable anymore...

Any laws passed in that technocrat govt. period will be unconstitutional and hence will not be implementable in the longer run..

Chalein...phir sab instituitions ko chahye ke..haath par haath dhar ke beth jayein...sab ko maafiyan detay rahein..kiun ke hum sab dil ke bhtt achay aur naram hain....aur phir agartala conspiracy ko maaf karnay ke baad jo consequences huay thay....,,unka dobara intezar karein...aur phir koi east pakistan tragedy ho jaye tu phir rotay rahein...

Gen learned nothing from history one word for them jooton ki kami .

I want to campaign for baji..in the next elections....
 
.
i Will not support Army next time

Seriously army deserves it...

Army koi elections main khari hoti hai? Maloom nahi kyun itni umeedain hain aap logon ko..

Aur Army kyun deserve karti hai? Kia Pakistan ko bachanay ki zimmedari sirf army ki hai? poora away ka aawa bigra hua hai aur sirf Army ki responsibility hai Pakistan bachana.. PA agar war main sahi perform na karsaki, tou zaroor qasurwar tehrana aap log..

Elections theek na hon tou PA qasoorwar kyun ke unhon ne zimmedari poori nahi ki
Corruption tou Army qasoorwar kyun ke unhon ne zimmedari poori nahi ki
Civilian govt. khabar leak karday tou army zimmedar kyun ke unhon ne zimmedari poori nahi ki
Adlia ulloo ke pathay type faislay de, tou Army zimmedar kyun ke unhon ne zimmedari poori nahi ki
Illiteracy barh jaey tou Army zimmedar
Tijarti khasara barh jaey tou Army ne zimmedari poori nahi ki

Vote PMLN aur PPPP aur MQM ko dain sab log, aur qasoorwar Army ho, kyunke unhon ne zimmedari poori nahi ki.. wah wah kia logic hai bhaee..

Chalein...phir sab instituitions ko chahye ke..haath par haath dhar ke beth jayein...sab ko maafiyan detay rahein..kiun ke hum sab dil ke bhtt achay aur naram hain....aur phir agartala conspiracy ko maaf karnay ke baad jo consequences huay thay....,,unka dobara intezar karein...aur phir koi east pakistan tragedy ho jaye tu phir rotay rahein...

Main tou kehta hun ke Martial Law lagadein, sab ko latkadain, lekin latkana aisay hai ke inn ki auladain bhi na bach paein.. warna phir 10 saal baad hum sab isi tarha ro rahay hongay..
 
.
Army koi elections main khari hoti hai? Maloom nahi kyun itni umeedain hain aap logon ko..

Aur Army kyun deserve karti hai? Kia Pakistan ko bachanay ki zimmedari sirf army ki hai? poora away ka aawa bigra hua hai aur sirf Army ki responsibility hai Pakistan bachana.. PA agar war main sahi perform na karsaki, tou zaroor qasurwar tehrana aap log..

Elections theek na hon tou PA qasoorwar kyun ke unhon ne zimmedari poori nahi ki
Corruption tou Army qasoorwar kyun ke unhon ne zimmedari poori nahi ki
Civilian govt. khabar leak karday tou army zimmedar kyun ke unhon ne zimmedari poori nahi ki
Adlia ulloo ke pathay type faislay de, tou Army zimmedar kyun ke unhon ne zimmedari poori nahi ki
Illiteracy barh jaey tou Army zimmedar
Tijarti khasara barh jaey tou Army ne zimmedari poori nahi ki

Vote PMLN aur PPPP aur MQM ko dain sab log, aur qasoorwar Army ho, kyunke unhon ne zimmedari poori nahi ki.. wah wah kia logic hai bhaee..

Yeh sab chorein.. Ye bataayein ke dawn leaks par national security ke bhashan kis ne diye thay? Politicians..ne...army ne...ya phir awaam ne? Pehle topi drama hua..ke breach of national security hogayi...qayaamat aagayi...hum bhi samjhay ke waqayi koi qayamat aagayi... Hjmari ghalti ke hum ne inki baaton par bharosa kiya, aur samjha ke shayad ye seriously aisa samajh rahay hain.... Phir baat hui ke dissenting notes hain..govt clean chit derahi hailekin army nahi maan rahi...woh bhtt sach ke alambardaar hain... National security par koi compromise nahi hoga... Ye sab kis ne kaha tha? Awaam ne kaha tha? Politicians ne kaha tha..ya army ne kaha tha?

Jo aap umeedon wali baat karrahy hain..umeed bandhnay ki ghalti iss liye hogayi thee ke ye khud aisay statements detay hain..jin se ghalat fehmi hoti hai.. Army chief ne kuch din pehle hi kaha tha ke..for me.. Pakistan is more important than any individual or instituition.. Obviously woh panama aur dawn leaks ke context main hi kaha tha... Tu kaafi arsa tak topi drama hua ke dissenting notes zuroor honge....koi compromise nahi hoga.. Lekin ye statement ke Pak is more imp than any individual...kis ne diya tha? tu is statement ke baad umeed lagana ghalat tha? Hum phir samjhay ke shayad iss dafa ye waqayi serious hain..tab hi tu ye statement diyaa hai...hum ne umeed lagaa li... Shayad ye khud aisi baatein na kartay tu shayad umeed bhi ziada na hoti... 2 din pehle ISPR press release aayi ke no compromise on any anti state activity...uske ek din baad dawn leaks par consensus ki khush khabri mil gayi..

Mera issue ye hai ke ye public ke emotions ke saath kheltay hain..just like politicians.. Lekin politicians kuch ziada expose hochukay hain.. Pehle army khud kehti hai ke breach of natl security hogaya...phir kehtay hain ke Pak is more imp than any individual...phir kehtay hain ke no compromise on anti state activity.. Jab public in se umeed bandh leti hai in...inke apnay statements ki wajah se....ke shayad waqayi ye serious hain...phir achanak kaaya palatti hai...aur pata chalta hai ke koi backdoor deal hogayi aur raaton raat..baji ka naam report se nikal gaya...jis par kaafi arse se so called stand liya hua tha..

Mera issue ye hai ke public ke emotions se na khelein..politicians ki tarah...
 
Last edited:
.
Aik misaal deta hun.. ghar main aik chowkidaar rakha kisi ne.. uss ko larnay ki bharpoor tarbiat di ke woh ghar ke logon ko bahir se aanay walay dakuon se bacha sakay.. woh darwazay pe chowkanna betha rehta hai apna danda le ke.. ghar ko apna samajhta hai..

Ghar ka malik apni biwi se har waqt larta rehta hai.. bachay aapas main lartay hain.. aik din ghar ka malik kehta hai ke ussay shak hai ke uss ka apna beta bahir dakuon se mila hua hai aur kisi bhi raat daku ghar aaeingay.. tum aisa karna ke daku ko goli mar dena.. chowkidaar ko buhat ghussa aata hai, woh kehta hai ke pehlay tou main zara aapke larkay ki khabar leta hun.. lekin ghar ka malik usay mana kardeta hai.. chowkidaar kehta hai, theek hai, lekin aap ne mujhay sirf danda le ke dia hua hai, danday se goli nahi nikalti.. kam az kam mujhay gun tou dilwado.. aur chowkidaar yeh bhi kehta hai ke woh uss larkay ki harkat ke baaray main sab ko bataeyga..

iss baat par malik kehta hai.. bhaee agar gun chahiey tou kisi ko yeh baat pata nahi chalni chahiey kyun ke iss se bari badnami hogi.. chowkidaar apna sar pakar kar beth jata hai ke ghar iss ka jisay bachanay ke liey main gun maang raha hun tou yeh shart rakh raha hai.. abb uss ke paas do raastay hain, ya tou woh khud larkay ko achi tarha kootay aur malik agar beech bachao karane aaye tou usay bhi do do jootay maray.. lekin woh kehta hai ke iss waqt bahir ke dakuon se ghar ko bachana zaroori hai, tou woh gun ki deal par razi hojata hai.. malik ki aqal pe matam zaroor karta hai woh lekin..

kisi din malik ka doosra larka chowkidaar se kehta hai ke tum qasoorwar ho kyunke tum ne hamari sahih tarbiat nahi ki.. chowkidaar unn sab pe lanat bhejta hai ke aaway ka aawa hi bigra hua hai, apni tankhuwah lo aur ghar ki hifazat karke rozi halal karo bas..

@Farah Sohail
 
Sorry ...i am not convinced by this example....

I am never a blind supporter of any individual or instituition.. Haqeeqat itni hi talkh hai..jo main ne kahi... Army is no different from politicians... Army bhi awaam ke jazbaat se waisy hi kheltay hain jaisy politicians.. Bas ye farq hai ke politicians ziada expose hochukay hain...

Aap ki umeed laganay wali baat ka main apni previous post main bhi jawab de chuki hun ke army pehle khud aisy statements deti hai..jos se umeed bandh lein aur phir rataon raat deal kar lete hain.. Dawn leaks par pehle khud statements diya...phir deal kar li
 
.
Yeh sab chorein.. Ye bataayein ke dawn leaks par national security ke bhashan kis ne diye thay? Politicians..ne...army ne...ya phir awaam ne? Pehle topi drama hua..ke breach of national security hogayi...qayaamat aagayi...hum bhi samjhay ke waqayi koi qayamat aagayi... Hjmari ghalti ke hum ne inki baaton par bharosa kiya, aur samjha ke shayad ye seriously aisa samajh rahay hain.... Phir baat hui ke dissenting notes hain..govt clean chit derahi hailekin army nahi maan rahi...woh bhtt sach ke alambardaar hain... National security par koi compromise nahi hoga... Ye sab kis ne kaha tha? Awaam ne kaha tha? Politicians ne kaha tha..ya army ne kaha tha?

Tou DawnLeaks ki report tou aanay dain.. abhi report kahan aayee hai? mehez chand khabron pe hum ne kehna shuru kardia hai??

hosakta hai it was a bluff? Ch. Nisar ke upar uss ki apni biwi bharosa nahi karti aap aur main kyun karain?

Sorry ...i am not convinced by this example....

I am never a blind supporter of any individual or instituition.. Haqeeqat itni hi talkh hai..jo main ne kahi... Army is no different from politicians... Army bhi awaam ke jazbaat se waisy hi kheltay hain jaisy politicians.. Bas ye farq hai ke politicians ziada expose hochukay hain...

Aap ki umeed laganay wali baat ka main apni previous post main bhi jawab de chuki hun ke army pehle khud aisy statements deti hai..jos se umeed bandh lein aur phir rataon raat deal kar lete hain.. Dawn leaks par pehle khud statements diya...phir deal kar li

Theek hai, but ummeed sab se lagain.. sirf Army se na lagaein..

Adlia se bhi ummeed lagaein, NAB se bhi ummeed lagaein, police se bhi ummeed lagaein.. inn sab ki utni hi zimmedari hai jitni Army ki..

aur agar aap kehti hain ke baqion se ummeed nahi lagai jasakti because yeh sab bikau maal hai, tou maan lain, Pakistan main 90% bikau rehtay hain.. Aur jab aap maan laingi tou aap ko ehsaas hoga ke sab theek hai... sab acha hai.. awam ke saath bilkul theek hota hai.. jaisi awam waisay hukumraan.
 
.
Tou DawnLeaks ki report tou aanay dain.. abhi report kahan aayee hai? mehez chand khabron pe hum ne kehna shuru kardia hai??

hosakta hai it was a bluff? Ch. Nisar ke upar uss ki apni biwi bharosa nahi karti aap aur main kyun karain?

Itna bara bluff...aur woh bhi pressconfernce main? Agar ch nisar sirf ye kehtay ke dawn leaks ki report 1-2 din main aajayegi...tu doubts hosaktay thay ke pata nahi....kia report aayegi? Ab tu unhon ne saaf keh diya ke consensus hogaya hai..jab ke pehle ch nisar ne hi kaha tha ke split hai... Ab wohi ch nisar keh rahay hain ke consensus hogaya...iska kia matlab hai? Aur aaj nawai waqt ke front page main bhi ye story hai ke maryam nawaz ko clean chit de di gayi hai....
 
. .
Theek hai, but ummeed sab se lagain.. sirf Army se na lagaein..

Adlia se bhi ummeed lagaein, NAB se bhi ummeed lagaein, police se bhi ummeed lagaein.. inn sab ki utni hi zimmedari hai jitni Army ki..

aur agar aap kehti hain ke baqion se ummeed nahi lagai jasakti because yeh sab bikau maal hai, tou maan lain, Pakistan main 90% bikau rehtay hain.. Aur jab aap maan laingi tou aap ko ehsaas hoga ke sab theek hai... sab acha hai.. awam ke saath bilkul theek hota hai.. jaisi awam waisay hukumraan.

Theek hai... Maan liya.. Pakistan main ab kisi se koi umeed nahi lagayi jaasakti... Aur iss ki behtari ke koi chances nahi hain... Sirf badtar hi hosakta hai yahan par...behtari nahi

2 maheenay hogaye....yahan ek adaalat ka faisla nahi aa paa raha... Away ka aawa hi bigra hua hai...

Kahin bahar hi jaa kar settle hi hona chahye....iss mulk ka tu koi future nazar nahi aaraha

nawai waqt? wohi jo inkay funds se chalta hai? report aane dain, aur panama ke faislay ka wait karain..

Sirf nawai waqt nahi....har jagah yehi khabar hai.. Even sabir shakir ne bhi kaha hai ke koi dissenting notes nahi hain aur sab ke signatures hochukay hain
 
.
I am never a blind supporter of any individual or instituition..

I am also not a supporter of any individual or institution.. but.. main khuwabon ki duniya main bhi nahi rehta.. pooray mulk main laqanooniat hai, aur Army se Army act ke tehet karwai karnay ka kaha jaraha hai..

Jab woh Dr. Asim ko uthatay hain, tou hukumat case sahi nahi larti.. jab woh baqion ko ghaib kartay hain, tou assemblies main shor machta hai.. civil society bahir aajati hai ke yeh ghalat hai aur woh ghalat hai..

Phir kahunga.. aap kisi aisay mulk main nahi rehteen jahan qanoon ka bol bala ho.. aap aik aisay milk main rehti hain jahan qanoon bhi qanoon ko follow nahi karta... jahan qatari letters ko utha ke bahir nahi phenka jata...

tou expectation bhi usi mulk ke hisaab se rakhain.. PA ne tou buhat resist kia dawn leaks pe.. koi aur idara hota tou pehlay 3 din main clean chit mil chuki hoti.. itna tou credit dain.. ke aik idaray ne NS ke khilaaf 6 months resist kia.. jahan qanooni idaray 3 din main dher hojatay hain..

Habib Jalib ki yeh nazam kafi sahih akasi karti hai situation ki

اب گناہ و ثواب بکتے ہیں
مان لیجئے جناب بکتے ہیں

پہلے پہل غریب بکتے تھے
اب تو عزت مآب بکتے ہیں

شیخ، واعظ، وزیر اور شاعر
سب یہاں پر جناب بکتے ہیں

دور تھا انقلاب آتے تھے
آج کل انقلاب بکتے ہیں
 
.
I am also not a supporter of any individual or institution.. but.. main khuwabon ki duniya main bhi nahi rehta.. pooray mulk main laqanooniat hai, aur Army se Army act ke tehet karwai karnay ka kaha jaraha hai..

Jab woh Dr. Asim ko uthatay hain, tou hukumat case sahi nahi larti.. jab woh baqion ko ghaib kartay hain, tou assemblies main shor machta hai.. civil society bahir aajati hai ke yeh ghalat hai aur woh ghalat hai..

PA ne tou buhat resist kia dawn leaks pe.. koi aur idara hota tou pehlay 3 din main clean chit mil chuki hoti.. itna tou credit dain.. ke aik idaray ne NS ke khilaaf 6 months resist kia.. jahan qanooni idaray 3 din main dher hojatay hain..

@bold.. Aur jab aur jisay chahtay hain...military court main le jaatay hain...like uzair baloch... Dr asim ko pakartay hain...usay chor diya jaata hai...kisi ko aitraz nahi hota.. Jisko waqayi saza dena chahtay hain..military court le jaatay hain ... Uzair baloch ko tu phansi hojayegi...lekin us se jo qatal karwaa rahay thay..unhein ab bhi for sure, choot mil jayegi,.,military court se...

Acha aap yehi keh rahay hain ke govt case sahi nahi banaati? Theek hai uzair baloch tu military court aagaya hai na? Ab govt ka koi amal dakhal nahi... Ab dekhtay hain ke uske jo facilitators thay..unka military court main trial hota hai ya nahi? Aap aur main jantay hain ke iska kia jawab hoga! Yehi ke uzair baloch ke facilitators ko military court bhi nahi poochay ga....aur woh azaad hi rahein ge...Kiun ke yahan baray logon ka koi kuch nahi bigar sakta chahy civilian ocourt ho...jahan govt ne case banaana hai ya phir military court

Rahi dawn leaks par 6 months resist karnay ki baat.. Hosakta hai ke shayad ab army ko 6 months baad...ab unki pasand ki deal mil gayi hogi...ab tak negotiations chal rahi hongi...is liye itna time laga
 
.
Ab dekhtay hain ke uske jo facilitators thay..unka military court main trial hota hai ya nahi?

Kyun ke uss ke facilitators aap ke aik pooray soobay kay chaheetay hain.. respected politicians. bilkul nahi hona chahiey unhain kuchh..

Rahi dawn leaks par 6 months resist karnay ki baat.. Shayad army ko 6 months baad...ab unki pasand ki deal mil gayi hogi...ab tak negotiations chal rahi hongi...shayad...

Pehlay tou I am still not believing ke koi compromise hua hai.. agar deal huee bhi hai tou Pakistan ke haq main hi hua hoga kuchh..

Doosray idaron ki tarah personal benefit nahi lia hoga generals ne.. yeh tou maanti hain na aap? Judges ki tarah Mercedes nahi le li hogi kisi aik judge ne..
 
.
Status
Not open for further replies.

Latest posts

Pakistan Defence Latest Posts

Country Latest Posts

Back
Top Bottom