Farah Sohail
SENIOR MEMBER
- Joined
- Mar 2, 2012
- Messages
- 7,228
- Reaction score
- 4
- Country
- Location
Farq Kia parta Hai.. uss ka naam ajaey tou uss ka beta ya damaad PM ban jaeyga, balkay phir tou zaroor banega. Jahan awam ne gadhay ke gosht ke ewaz apna future bech dia ho, woh ye deserve karti hai. Army ko kyun bura bhala kahain... Woh vote thori daaltay hain. Aik hadd tak ensure karsaktay hain ke elections munsifana hon, iss se ziada kuchh mahi.
By the way, aakhri ittela ye thi ke compromise nahi hua hai. Yeh bhi hosakta hai ke ch. Nisar ka bluff ho. But I am with PA whatever they have decided in favor of Pakistan. I am 110% sure, that current PA leadership is dealing with the issues quite differently but effectively. And I am talking about the whole military leadership, not one or two individuals.
Pata hai...main bhtt sochnay aur analyse karnay ke baad ek conclusion par pohanchi hun.and this is not an emotional response but a well considered and well thought out opinion/belief now...
Woh ye ke..national security ke jo so called issues hotay hain..like memo case ya dawn leaks..in par army ki taraf se jo bhtt shor machaya jaata hai,,and they cry wolf..ye actually sirf backdoor deal ya phir army apna koi share lenay ke liye hype create kiaa jata hai.. Army ko background main apnay liye koi favorable deal chahye hoti hai..aur in national security issues ko use kiya jaata hai...apnay liye koi favor lenay ke liye... Army ka kabhi bhi ye maqsad nahi hota ke waqayi in par koi saza ho....bas they use it as a threat to politicians and then get a better bargain deal for themselves...chahy defence budget lena ho ya phir foreign policy main share chahye ho.. But these issues like memo gate and dawn leaks are only used as bargaining chip... Aur public itni bewaqoof hai ke jahan national security issue ko army ki taraf se hype kia jaata hai...hum samajhtay hain ke waqayi ye tu bhtt bari cheez hai..is par culprits ko saza honi chahye..lekin army ke liye woh sirf ek bargaining tool hota hai..
Politicians know this very well...tab hi tu woh army aur aisy national security issues create karnay se nahi dartay.. Politicians ko pata hai ye baat..isi liye...woh bhi army ko unka share de kar ya jo woh maang rahay hon...woh de kar araam se deal kar lete hain aur army ko woh mil jata hai jo woh chahtay hain... Actually sab public ko bewaqoof banaa kar apna apna faida dekhtay hain... Suna hai ke 2014 ke dharna main army ne foreign policy le kar NS se maamlat settle kar liye thay..although dharna was not natl security issue like memo case or dawn leaks..lekin maqsad kehnay ka yeh hai....ke bas...army ne koi na koi apna faida lena hota hai...ya woh kisi bhi situation ko apnay haqq main use kar letay hain...
Main ne dawn leaks, aur memo case par bhtt socha hai....ke in par koi action kiun nahi hua? Iska jawab ye hai ke army never wanted to take any action on these issues.. They used these issues as threat for politicians, for some time.....and then when they get something for themselves too, in this deal.....tu phir woh chapter close hojata hai.... Aur hum jaisi awaam bechari is umeed par hi rehtay hain ke natl security ke culprits ko saza milni chahye....hum nahi jaantay ke jis maqsad ke liye un issues ko hype kiya jaata hai..jab woh maqsad haasil hojata hai..tu un issues ko phir fauran hi dabaa diya jata hai...
Ye mera koi emotional response nahi hai...balke haqeeqat yehi hai... Iss liye main ne tu yehi sabaq seekha hai..ab aayenda kisi so called national security issue ko serious nahi lena.... Ek tarah se ye bhi noora kushti hi hoti hai.. Public ko bataaya jaata hai ke ye bhtt serious matter hai..its threat to country ...aur background main apnay liye share le liye jaata hai...aur maamla khatam kar diya jaata hai... Aur yahan tu public ki bhtt short term memory bhi hai..tu sab ko faida hota hai
@PakSword @The Accountant @Verve
Last edited: