What's new

Panama Case - Post Verdict Discussion and Updates

.
Na karein :( achi achi baat karein... Daraayein nahi..

Andar se tu main bhi tab tak daari rahun gi..jab tak monitoring judge ki proceedings shuru nahi hongi.. Uske baad tasalli hogi..warna ek darr tu laga rahay ga jab tak woh shuru nahi hotein.. Bas 21st ke baad dekhtay hain ke kia hota hai?

Bas....Baji aur abba ji....ko adiala jail jaana hi hoga.. Us se kam kuch nahi...

Monitoring judge ke kam shuru na karnay se cheezain delay hosakti hain, but mujhay DQ ki reversal ka dar hai.. bhalay reversal main 2-3 years lag jaein..
 
.
Hogi Qatari key ghar :whistle:
#AchaSorry :devil:

Arey hamid mir ki tabiyat theek hy?
Apney idarey kay khilaf bol diya :D
@The Sandman @Hell hound @Farah Sohail @Moonlight @Arsalan

Hamid Mir kabhi kabhi neutral bannay ki koshish karta hai..ke jab asal waqt aaye..ta. Ye qoumi idaaron (esp army) ke against bolay tu ye zahir karay ke main tu bhtt credible houn..sach bolta hun..apnay idaray ke khilaf bhi bolta hai.. But ye sab ek hi team ka part hain.. He is even more dangerous than other geo anchors
 
. .
Monitoring judge ke kam shuru na karnay se cheezain delay hosakti hain, but mujhay DQ ki reversal ka dar hai.. bhalay reversal main 2-3 years lag jaein..

DQ reverse nahi hosakti... Bhool jayein ye tu aap...

Abhi review ke liye kuch weeks reh gaye hain.. Mujhe tu lagta hai ke review main bhi nahi jayein ge.. Aaj Rana Sanaullah ne bhi kaha hai ke review main jaanay ka faida nahi.. Inhein pata hai ke review dismiss hojayega...

Aap ka khyal hai ke jo pichlay 3-4 days main judges ko jo kuch kaha hai, NS ne..uske baad woh DQ ka decision reverse karein ge.. Infact aur detailed verdict dein ge aur NS ke saaray sawaaloun ke jawab bhi.. Is liye ye review main bhi nahi jayega

Aur constituitional ammendment ka bhi koi faida nahi hoga..uski bhi fikr na karein.. H bhi gayi tu yahan apply nahi hogi..warna judges dismiss kardein ge..citing mala fide intent of the ammendment

Waisy tu aaj Raza Rabbani ne bhi kaha hai ke main ne constituition main ammendment ka kuch nahi kaha tha..

Bas ab ye dekhna hai ke monitoring judge kab se kaam shuru kartay hain? 6 weeks uske baad tu nahi? Lekin nahi..6 weeks from judgment kaha tha.. Tu lagta hai ke monitoring judge ke pass 2 weeks honge ..sab kuch theek karnay ke liye
 
.
Hamid Mir kabhi kabhi neutral bannay ki koshish karta hai..ke jab asal waqt aaye..ta. Ye qoumi idaaron (esp army) ke against bolay tu ye zahir karay ke main tu bhtt credible houn..sach bolta hun..apnay idaray ke khilaf bhi bolta hai.. But ye sab ek hi team ka part hain.. He is even more dangerous than other geo anchors
Pata hy par iski videos sey baboon beghairats ko mirchain ziyada lagti hain :D

Waisy tu aaj Raza Rabbani ne bhi kaha hai ke main ne constituition main ammendment ka kuch nahi kaha tha..
Intehai fazol admi hy wo uski baat par mat jana wo fauj ki nafrat mein kuch bhi karney ko tayar hy

میاں تیرے جا نثار

پنڈ، مراثی، تے فنکار

اسلام آباد تے پنڈی وچ

5 تو لے 6 ہزار

گلگت،آزاد،تےکے پی والے

پیسے لے کے سب فرار

عزتاں کما کے وفاق دے وچوں

جہلم آ کے وی ہویا حوار

بچہ ٹائر تھلے دے کے

گجراتیاں دا تو شکر گزار

گوجرانوالا جیرا مان سی تینوں

پٹواری پنہ تیرا سب بیکار

مریدکے نوں تو کامونکی آنا

من جاؤ تاحیات نااہل سرکار

کھوتےویچ لاہوریاں نو تو

اج میٹرو نوں تو واجان مار

داتا دی پاک دھرتی دے وچ

بس نہ مزید گند کھیلار

پاکستان مقدم سب نوں

پر تینوں مقدم ذات تے کاروبار

Oh bhains :rofl:
 
.
DQ reverse nahi hosakti... Bhool jayein ye tu aap...

Abhi review ke liye kuch weeks reh gaye hain.. Mujhe tu lagta hai ke review main bhi nahi jayein ge.. Aaj Rana Sanaullah ne bhi kaha hai ke review main jaanay ka faida nahi.. Inhein pata hai ke review dismiss hojayega...

Aap ka khyal hai ke jo pichlay 3-4 days main judges ko jo kuch kaha hai, NS ne..uske baad woh DQ ka decision reverse karein ge.. Infact aur detailed verdict dein ge aur NS ke saaray sawaaloun ke jawab bhi.. Is liye ye review main bhi nahi jayega

Aur constituitional ammendment ka bhi koi faida nahi hoga..uski bhi fikr na karein.. H bhi gayi tu yahan apply nahi hogi..warna judges dismiss kardein ge..citing mala fide intent of the ammendment

Waisy tu aaj Raza Rabbani ne bhi kaha hai ke main ne constituition main ammendment ka kuch nahi kaha tha..

Bas ab ye dekhna hai ke monitoring judge kab se kaam shuru kartay hain? 6 weeks uske baad tu nahi? Lekin nahi..6 weeks from judgment kaha tha.. Tu lagta hai ke monitoring judge ke pass 2 weeks honge ..sab kuch theek karnay ke liye

Nahi, I am not fearing reversal of decision by judges. I am fearing for the constitutional changes that will enable him to stand for the next elections..
 
. .
Yeh jo aap keh rahi hain na ke constitutional amendment ka bhi koi faida nahi.. agar ppp in ke saath mil jaey tou kafi burai la sakta hai NS.. @Farah Sohail
 
Ye nahi hosakta.. Judiciary kisi bhi ammendment ko strike down karsakti hai...esp jab uska maqsad ek insan ko bachaana ho.. Aaj kal SC main almost sab achay hi judges hain.. Aur is ne tu ab tak poori judiciary ko hi apnay against kar liya hoga..esp last 3-4 days main jitna is ne judges ko target kiya hai.. Apnay liye hi mushkilaat barhayi hain.. Good
 
.
Intehai fazol admi hy wo uski baat par mat jana wo fauj ki nafrat mein kuch bhi karney ko tayar hy

Yes, PPPP is ready to do anything, they are just waiting for the right offer.

Agar Surrey Palace aur Swiss Accounts ka future dao pe nahi laga hota tou shayad PPPP kuchh nahi karti, lekin agar unhon ne iss baar NS ka saath nahi dia tou agli baari unn ki.. Aur IK yeh baat bol bhi chuka hai..

Ye nahi hosakta.. Judiciary kisi bhi ammendment ko strike down karsakti hai...esp jab uska maqsad ek insan ko bachaana ho.. Aaj kal SC main almost sab achay hi judges hain.. Aur is ne tu ab tak poori judiciary ko hi apnay against kar liya hoga..esp last 3-4 days main jitna is ne judges ko target kiya hai.. Apnay liye hi mushkilaat barhayi hain.. Good

What about in 2-3 years once current judges will retire?
 
.
Yeh jo aap keh rahi hain na ke constitutional amendment ka bhi koi faida nahi.. agar ppp in ke saath mil jaey tou kafi burai la sakta hai NS.. @Farah Sohail

PPP mil gayi tu ziada se ziada constituition ammenment karsaktay hain..iske baad tu SC ka kaam shuru hoga.. Aur aap PTI factor kiun bhool jatay hain? Aaj bhi kaha hai ke hum aisa kuch nahi karnay dein ge.. Agar inhon ne 62/63 main ammendment kar bhi li, PPP ke saath mil kar..woh challenge hojayegi SC main.. Uske baad SC ka kaam shuru.. SC kisi bhi ammendment ko strike down karsakti hai.. Is liye main keh rahi hoon ke ammendment ka koi faida nahi... Is ne jo last 3-4 days main kia hai..aur khud kaha hai ke hum is liye ammendment karein ge..tu SC ko kia samajh nahi aayega ke ye kiun kiya hai? SC araam se uraa dey gi, aisi kisi bhi ammendment ko

What about in 2-3 years once current judges will retire?

Kon se 2-3 yrs? 2019 main tu Justice Khosa, CJ banein ge...uske baad..Justice Gulzar, till 2022....phir Justice Umar Ata Bandial...phir suna hai ke Justice Qazi Faiz Isa banein ge.. Akhir bhaag kar kahan jayega ye NS? Tab tak tu InshaAllah adiyala jail main betha hoga ye.. InshaAllah ..next election se pehle ye aur poori family adiala jail main hogi..
 
Sirf Chief Justice se tou kuchh nahi hota na.. larger bench sunay gi aur maloom nahi kaun kaun aglay 2-3 years main kis kis ki jaga lega..

Beherhaal, I hope ke aisa na ho.. lekin mujhay bass khauf hai aik.
 
2019 main Justice Khosa CJ honge..tu benches kon banayega? Justice Khosa.. Phir 2022 tak Justice Gulzar honge tu woh benches form karein ge.. Phir Justice Umar Ataba Bandial, phir Qazi faiz Isa.. Yehi tu main keh rahi hoon..ke bhaagnay ke liye koi raasta nahi hai.. Justice Saqib Nisar ke hotay huay tu ye bach nahi saka.. Justice Khosa aajyein ge..tu woh kia aesy wesay judges ko SC main laayein ge? Mera khyal hai ke scruitny aur tight hogi.. Phir Justice Gulzar aur baqi sab..

Waisy is sab ki nobat hi nahi aayegi,ll inshaAllah next election se pehle adiyala jail main hoga..agar monitoring judge ne sahi waqt par kaam shuru kar diya tu
 
. .

Pakistan Defence Latest Posts

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom