What's new

Naswar Corner

Status
Not open for further replies.
. . .
Tu Watan Ki Aabro Hai , Tu Watan Ka Hai Sahaarah

yeh hawaon k musafir , yeh samundaron k raahi
meray sir bakaf mujhahid , meray sar shikan sipahi

yeh tera yaqeen mehkam , teri himmaton ki jaan hai
teray bazo'uon ki kuwwat teray azm ka nishaan hai

tu hi raah , tu hi manzil , tu hi meer e karwaan hai
yeh zameen teri hai , yeh jahaan tera jahaan hai

tu watan ka pasbaan hai , teray haath main hai shaahi

teri abro'uon ki junbash teri ankh ka ishaarah
teray dushmano ki aafat , teray qehar ka ishaarah

tu watan ki aabro hai , tu watan ka hai sahaarah
iss aabro se chamka iss dais ka sitaarah

yehi bankapan hai tera , yehi teri kaj-kalaahi

. .
Ye dil na umeed to nahi nakaam hi to hai,
Lambi hai ghum ki shaam par shaam hi to hai

Har Shaam Ye Sawaal, Muhabbat Se Kia Mila ?

Har Shaam Ye Jawaab K Har Shaam Ro Paray.

Tu Watan Ki Aabro Hai , Tu Watan Ka Hai Sahaarah

yeh hawaon k musafir , yeh samundaron k raahi
meray sir bakaf mujhahid , meray sar shikan sipahi

yeh tera yaqeen mehkam , teri himmaton ki jaan hai
teray bazo'uon ki kuwwat teray azm ka nishaan hai

tu hi raah , tu hi manzil , tu hi meer e karwaan hai
yeh zameen teri hai , yeh jahaan tera jahaan hai

tu watan ka pasbaan hai , teray haath main hai shaahi
meray sir bakaf mujhahid , meray sar shikan sipahi

teri abro'uon ki junbash teri ankh ka ishaarah
teray dushmano ki aafat , teray qehar ka ishaarah

tu watan ki aabro hai , tu watan ka hai sahaarah
iss aabro se chamka iss dais ka sitaarah

yehi bankapan hai tera , yehi teri kaj-kalaahi
meray sir bakaf mujhahid , meray sar shikan sipahi

Sabak Parh Phir Sadaqat Ka, Adalat Ka, Shujaat Ka -

Lia Jaye Ga Tujh Sey Kaam Duniya Ki Imamat Ka !!!

(Allama Iqbal )
 
. .
Khainch leti hai mujhe shayad muhabbat tumhari warna,
main kai baar milaa hoon aakhri baar tumsey

Dar Badar Ki Saza Se Darte Hain,
Khushk Patte Hawa Se Darte Hain,

Aandhiyon Se Kabhi Mohabbat Thi,
Ab To Baad-E-Saba Se Darte Hain,

Nafraton Ne Woh Lazzatain Bakhshien,
Chahaton Ki Bala Se Dartay Hain,

Logon Ke Karam Hain Itne,
FARAZ
Zindagi Ki Dua Se Dartay Hain.
 
.
Chaliye aaj SIGNATURE se shuroo kertey hein:

Qadam Qadam pay Yahan par Zameer Biktay Hain ~
Meray Azeem Watan Tujh pay Rehm Aata Hai ~

Sarkar, itnay gham-geen kiyon?

If the tone of day is "gham-zada-pan" then one from a street poet on plight of our society!

Sajda bhi karo muflisi mein to gunaah kehte hain,
ameeri mein qatl bhi hunar ho jata hai..

Adab... adab..... :pop:
 
. . . .

I want to buy this cricket bat yar but its too facking expensive!! Can you imagine a piece of wood costing you around GBP 200? :angry:

Iss liye I am gham zada :lol:
 
. . .
Status
Not open for further replies.

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom