What's new

MUSHAYARA

jha

ELITE MEMBER
Joined
Dec 19, 2009
Messages
10,962
Reaction score
-8
Country
India
Location
India
Lets start a mushayara

here is one

 
Last edited by a moderator:
.
yadish bakhair ehd e guzashta ki sohbatein
aik dor tha ajab k meray sath tum bhi thay
 
. .
Dabbey mein dabba dabbey mein Angoor
abi suna nahi mushayra par sunoo ga zaroor...:D
 
.
Bahi can some Indian member or other ehl e zauq please post a few poems of Kaifi Aazmi please.
Araz
 
.
Bahi can some Indian member or other ehl e zauq please post a few poems of Kaifi Aazmi please.
Araz

Lyricist : Kaifi Azmi
Singer : Mohammed Rafi

Kar Chale Ham Fida, Jan-o-tan Saathiyon..
Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon..

Kar Chale Ham Fida, Jan-o-tan Saathiyon,
Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon,
Kar Chale Ham Fida, Jan-o-tan Saathiyon,
Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon,

Saans Tham Thi Gayi, Nabz Jam Tho Gayi,
Phir Bhi Badathe Kadam Ko Na Rukh Ne Diya,
Kat Gaye Sar Hamaare, Tho Kuch Gam Nahin,
Sar Himalay Ka Hamne Na Jhuk Ne Diya,
Marte Marte Raha Baanq Pan Saathiyon,
Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon..
Kar Chale Ham Fida, Jan-o-tan Saathiyon,
Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon..

Zinda Rehene Ke Mausam, Bahut Hai Magar,
Jaan Dene Ki Rut Roz Aati Nahin,
Husn Aur Ishq Dono Ko Ruswa Kare,
Woh Jawaani Jo Khoon Mein Naahathi Nahin,
Aaj Dharti Bani Hai Dulhan Saathiyon,
Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon..
Kar Chale Ham Fida, Jan-o-tan Saathiyon,
Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon..

Raah Qurbaaniyon Ki Na Veeran Ho,
Tum Sajaathe Hi Rehna Naye Kaafile,
Fathe Ka Jashn Is Jashn Ke Baad Hein,
Zindagi Maut Se Mil Rahi Hai Gale,
Bandlo Apne Sar Se Kafan Saathiyon,
Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon..
Kar Chale Ham Fida, Jan-o-tan Saathiyon,
Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon..

Khench Do Apne Khoon Se Zameen Par Lakeer,
Is Tarah Aane Ne Paaye Na Raawan Koyi,
Thod Do Haath Agar Haath Utne Lage,
Chune Paaye Na Sita Ka Daaman Koyi,
Ram Bhi Tum, tumhi Lakshman Saathiyon,
Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon..
Kar Chale Ham Fida, Jan-o-tan Saathiyon,
Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon..
Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon..
Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon..
 
.
Kaifi Azmi

Aavaaraa sajde

ik yahii soz-e-nihaa.N kul meraa sarmaayaa hai
dosto mai.n kise ye soz-e-nihaa.N nazr karuu.N
ko_ii qaatil sar-e-maqtal nazar aataa hii nahii.n
kis ko dil nazr karuu.N aur kise jaa.N nazr karuu.N?

tum bhii mahaboob mere tum bhii ho dil_daar mere
aashnaa mujh se magar tum bhii nahii.n tum bhii nahii.n
Khatm hai tum pe masiihaa_nafasii chaaraagarii
meharam-e-dard-e-jigar tum bhii nahii.n tum bhii nahii.n

apanii laash aap uThaanaa ko_ii aasaan nahii.n
dast-o-baazuu mere naakaaraa hue jaate hai.n
jin se har daur me.n chamakii hai tumhaarii dahaliiz
aaj sajde vohii aavaaraa hue jaate hai.N

duur manzil thii magar aisii bhii kuchh duur na thii
leke phiratii rahii raste hii me.n vahashat mujh ko
ek zaKhm aisaa na khaayaa ke bahaar aa jaatii
daar tak leke gayaa shauq-e-shahaadat mujh ko

raah me.n TuuT gaye paa.Nv to maaluum huaa
juz mere aur meraa rah_numaa ko_ii nahii.n
ek ke baad Khudaa ek chalaa aataa thaa
kah diyaa aql ne tang aake 'Khudaa ko_ii nahii.n'

---------- Post added at 08:46 PM ---------- Previous post was at 08:45 PM ----------

Pahalaa salaam

ek rangiin jhijhak ek saadaa payaam
kaise bhuuluu.N kisii kaa vo pahalaa salaam
phuul ruKhsaar ke ras_masaane lage
haath uThaa qadam Dag_magaane lage
rang-saa Khaal-o-Khad se chhalakane lagaa
sar se rangiin aa.Nchal Dhalakane lagaa
ajanabiyat nigaahe.n churaane lagii
din dha.Dakane lagaa lahar aane lagii
saa.Ns me.n ik gulaabii girah pa.D ga_ii
ho.nTh tharraaye simaTe nazar ga.D ga_ii
rah gayaa umr bhar ke liye ye hijaab
kyo.n na sambhalaa huaa de sakaa mai.n javaab
kyo.n mai.n be-qasd be-azm be-vaastaa
duusarii samt ghabaraa ke takane lagaa

---------- Post added at 08:47 PM ---------- Previous post was at 08:46 PM ----------

Vatan ke liye

yahii tohafaa hai yahii nazaraanaa
mai.n jo aavaaraa nazar laayaa huu.N
rang me.n tere milaane ke liye
qataraa-e-Khuun-e-jigar laayaa huu.N
ai gulaabo.n ke vatan

pahale kab aayaa huu.N kuchh yaad nahii.n
lekin aayaa thaa qasam khaataa huu.N
phuul to phuul hai.n kaa.NTo.n pe tere
apane ho.NTo.n ke nishaa.N paataa huu.N
mere Khvaabo.n ke vatan

chuum lene de mujhe haath apane
jin se to.Dii hai.n ka_ii zanjiire.n
tuune badalaa hai mashiyat kaa mizaaj
tuune likhii hai.n na_ii taqdiire.n
inqalaabo.n ke vatan

phuul ke baad naye phuul khile.n
kabhii Khaalii na ho daaman teraa
roshanii roshanii terii raahe.n
chaa.Ndanii chaa.Ndanii aa.ngan teraa
maahataabo.n ke vatan

Contributed by Khursheed Ahmed
 
.
Kuch souch kar shama pey parwana jala ho ga,

Shahid isey jalney main jiney ka maza ho ga,

Jis waqat yea mahey tu ney boutle main bhari ho gi,

Saqi tera masti sey kia hall houwa ho ga,

Aur mehkhaney sey Masjid tuk paye gaye naqash-e-paun,

Ya zahid gaya ho ga, ya rindh gaya ho ga.
 
.
MASJID mein baith ke PEENE de GHALIB
ya woh jagah dikha de jahan KHUDA na ho...


this one is one of my favorites...
 
.
Bahut aziz hain meri ankhen ousey phir bi,

Kar gaya woh inhain purnam jatey jatey.
 
.
mari bhains nay laat to ap yaad aa gaye...

wah wa wah

mari bhains nay laat to ap yaad aa gaye...

or us k bad mein behosh ho gaya..

haye haye :cry:
 
.
Kudiyon wich koi Sassi Labda, Koi Labda Heer,
Assi ta yaaro Sahiba Labni, te kutne ohde Veer!!
 
.
Padna-likhna chad pare,
Nakal te rakh aas,
chak Rajai te So jaa bhagta,
Rabb karuga paas!!!




Fer ki hoyeya je tu hatha te mehndi la layi
Hun assi vi Sehra sajavange,
saanu pata si ki tu saadi kismat ch nahi,
hun teri choti bhen fasavange!!! :lol:
 
. .
Tokra k usne mujku kaha k mushkurao
mai hans dia k sawal uski kushi ka tha
manay khoya woh ju mera tha hi nai
usne khuya woh ju sirf usi ka tha.

:smitten:
 
.

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom