What's new

meri piyari zuban.......!

. .
Uss ne Mohsin kaha hai Imran nahi:hitwall:


تھنڈر بھائ آپ اپنا سر مت توڑو میں کبھی نھیں بدلوں گا۔آپ کی دعا سے
:enjoy:
 
.
Yar kiyon paisey barbaad kertey hu..... ashiq tu becharey pehley he qaid hotey hein apni hasraton ki yadon mein:coffee:

یہ محبت وغیرہ جیسے کام میری حکومت میں ان کی اجازت نھیں ھو گی۔ابھی کر لو جتنی کرنی ھے۔میری حکومت میں ڈائرکٹ شادی ھو گی
:P
 
.
Har Thokar Ne Meri Mujhko
Chalna Sikha Diya

Mere Aankho Ke Aansuo Ne
Mujhe Khul Ke Hasna Sikha Diya

Samundar Ki Lehro Ne.....
.....Mujhe Ghir Kar
Phir Se Ubarna Sikha Diya
Baarish Ki Boondo Ne
Zameen Pe Rehna Sikha Diya

Phoolo Ne Toot Kar Bhi
Mehakna Sikha Diya
Tara Toot Jane Par Bhi
Kisi Ke Kaam Aata Hai
Zindagi Ki Sachaiyo Ne
Mujhe Chalte Rehna Sikha Diya

Woh Fakeer Jo Do Roti Ke Liye
Taras Jaata Hai
Majbooriyo Mein Jazbaaton Ka
Had Se Guzarna Sikha Diya

Aage Yuh To Karvaan Chalte Rahega .........
........Waqt Ne Aankhon Ki Nami Ke Saath-Saath
Muskuraane Ka Hunar Sikha Diya
Gile-Shikwe Se Kuch Nahi Haasil "Khwaish"
Waqt Ne Halaat Se Ladna Sikha Diya
 
.
لبوں *پہ ا س کے کبھی بد عا نہیں *ہوتی
بس ایک ماں ہے جو مجھ سے خفا نہیں*ہوتی
:smitten:
 
.
32d6271421ceffbee0f15a42a6978510.jpg


Fikr Main Bachoon Ki Kuch Is Terha Ghul Jati Hai Maa
Nojawaan Hotay Huwe Budhe Nazar Aati Hai Maa


Rooh Kai Rishtay Ki Yeah Gehrayean To Daikheye
Choot Lagti Hai Humaray Aur Chillati Hai Maa

Kab Zarurat Ho Merai Bachay Ku Itna Sooch Kar
Jaagti Rehti Hain Aankhain Aur Soo Jati Hai Maa


Hudiyoon Ka Ras Pila kar Apnay Dil Kai Chain Ku
Kitnee Hi Ratoon Mai Khali Pait Soo Jati Hai Maa

Janai Kitne Barf Si Ratoon Mai Aysa Bhi Hua
Bacha To Hai Gelay Main Soo Jati hai Maa

Jab Khilonai Ku Machalta Hai Koie Ghurbat Ka Phool
Aansoon Kai Saaz Par Bachay Ku Bhailati Hai Maa

Fiker Kai Shamshaan Mai Aakhir Chitaoon Ki Terha
Jaisai Sookhi Lakreyaan, Is Terha Jal Jati Hai Maa

Apnay Aanchal Sai Gulabi Aansuoon Ku Poonch Kar
Dair Tak Gurbat Pai Apne Ashk Barsati Hai Maa

Samnai Bachoon Kai Kush Rahti Hai Her Ik Haal Main
Raat Ku Chup Chup Kai Lakin Ashk Bersati Hai Maa


Haan Jism To Hota Hai
Magar Jaan Nahi Hoti
Wo Ghar Bhi Koi Ghar Hai
Jahan Maa Nahi Hoti
:angel:

Phailay Bachoon Ku Kheelati Hai Sukoon-o-Chain Sai
Baad Mai Jo Kuch Bacha Oh Shouk Sai Khati Hai Maa

Mangti Hi Kuch Nahi Apnai Leye ALLAH Sai
Apnai Bachoon Kai Leye Daman Ku Phailati Hai Maa

Gar Javan Baiti Ho Ghar Main Aur Koie Rishta Na Ho
Ek Naye Ehsas Ki Suli Pai Char Jati Hai Maa

Har Eebadat Har Mohabbat Mai Nihan Hai Ek Gharz
Be-Gharz, Be-Loos, Har Khidmat Ku Kar Jati Hai Maa

Bazuwoon Mai Kheench Kai Aajaye Gi Jaisai Kayenat
Apnai Bachay Kai Leye Bahoon Ku Phailati Hai Maa

Zindagani Kai Safar Mai Gardishoon Ki Dhoop Mai
Jab Koie Saya Nahi Milta To Yaad Aati Hai Maa

Pyar Khaitai Hain Kisai Aur Mamta Kya Cheez Hai
Koie Un Bachoon Sai Poocheye Jin Ki Mar Jati Hai Maa

Safa-e-Hasti Pai Likhti Hai Usool-e-Zindagi
Is Liye Ek Muktab-e-Islam Khailati Hai Maa

Us Nai Duniyan Ku Deye Masoom Rahber Ise Leye
Azmatoon Mai Sani-e-Quran Khailati Hai Maa

Ghar Sai Jab Pardesh Ja Ta Hai Koie Noor-e-Nazar
Haath Main Qur'an Lai Kar Dar Pai Aajati Hai Maa

Dai Kai Bachay Ku Zamanat Main Raza-e-Pak Ki
Peechay Peechay Sar Jhookaye Door Tak Jaati Hai Maa

Kanpti Aawaz Sai Khaiti Hai Baita "Ulwida"
Samnai Jab Tak Rahe Haatoon Ku Lehrati Hai Maa

Jab Perayshani Mai Ghar Jatai Hain Hum Pardesh Main
Aansuwoon Ku Poonch Nai Khawaboon Main Aajati Hai Maa

Dair Ho Jati Hai Ghar Aanai Main Aksar Jab Hamain
Rait Per Machle Ho Jaisay Aisay Ghabrati Hai Maa

Martai Dam Tak Aasaka Bacha Na Ghar Pardesh Sai
Apni Donoo Putliyaan Chokhat Pai Rakh Jati Hai Maa

Baad Mar Janai Kai Phir Baite Ki Khidmat Kai Leye
Bhaise Beti Ka Badal Kar Ghar Main Aajati Hai Maa

Door Ho Jati Hai Sari Omer Ki Us Dum Thakan
Bayha Kar Kai Betay Ka Jab Ghar Bahu Lati Hai Maa:smitten::smitten::smitten:......

Allah Humari maao'n ko humesha apni rehmato'n key saye mein rakhey...Ameen
 
. .
Aur Leta Rahe jo Baro Ki Dua
Is Ke Dono Jahan Iska Ka Haami KHUDA


QADAR MAAN BA-P KI AGAR KOI JAAN LE
APNI JANNAT KO DUNIYA MAIN PEHCHAN LE
:angel:
 
.
جب آسماں پھوار کی جل تھل سے جلترنگ
مہکار بانٹتا ہو فضاء میں دھنک دھنک

وہ دن جو روشنی میں اُجالے اُجال دے
جیسے کلر پرزم سے جھانکیں چھنک چھنک

دیکھو ہرے شجر کی کسی سرد شاخ میں
جب برگ برگ تالیاں باجیں کھنک کھنک

بہتے سُروں میں گاتی ہوا جھوُم جھوُم اُٹھے
حیران پُھول دیکھتے جائیں پلک پلک

پھر کائنات ٹوٹ کے بکھرے ستارہ وار
اک حرف کے وصال سے رقصاں چھنک چھنک

اس دلرُبا سَمے کا سواگت رچائے دل
پرنام کر رہا ہے زمیں کو فلک فلک

اک عین عائشہ کے لیے من کہی دُعا
برسوں زمانوں دل سے اُٹھے گی دھڑک دھڑک




:)از عمران خان
 
.
Gam chhupaate rahe muskuraate rahe
mahafilo.n mahafilo.n gun_gunaate rahe

aa.Nsuo.n se likhii dil kii tahariir ko
phuul kii pattiyo.n se sajaate rahe

Gazale.n kumhalaa ga_ii.n nazme.n murjhaa ga_ii.n
giit sa.Nvalaa gaye saaz chup ho gaye

phir bhii ahal-e-chaman kitane Khush_zauq the
naGmaa-e-fasl-e-gul gun_gunaate rahe

terii saa.Nso.n kii Khushbuu labo.n kii mahak
jaane kaise havaaye.n u.Daa laa_ii.n thii

vaqt kaa har qadam bhii bahakataa rahaa
zaqt le paa.Nv bhii Dag_magaate rahe


Bashir Badr
 
.
Gazab kiyaa, tere vaade pe aitabaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa i.ntezaar kiyaa

ha.Nsaa ha.Nsaa ke shab-e-vasl ashk-baar kiyaa
tasalliyaa.N mujhe de-de ke beqaraar kiyaa

ham aise mahv-e-nazaaraa na the jo hosh aataa
magar tumhaare taGaaful ne hoshiyaar kiyaa

fasaana-e-shab-e-Gam un ko ek kahaanii thhii
kuchh aitabaar kiyaa aur kuchh naa-aitabaar kiyaa

ye kisane jalvaa hamaare sar-e-mazaar kiyaa
ki dil se shor uThaa, haa_e! beqaraar kiyaa

ta.Dap phir ai dil-e-naadaa.N, ki Gair kahate hai.n
aaKhir kuchh na banii, sabr iKhtiyaar kiyaa


Daag Dehlvi
 
. . . .

Latest posts

Pakistan Defence Latest Posts

Pakistan Affairs Latest Posts

Country Latest Posts

Back
Top Bottom