Kuchh aiteraz hai, kuchh ikhtilaf
Gar aaj iss mushkil mein daal hi diya hai
Tau suno, suno keh mein aik jhoot hoon
Aik moon bolta, moon phat jhoot
Mein bhi aur tum bhi... jhoot
Yeh gird-o-nawah kai pech-o-kham
Yeh tajasus-e-dil-o-dimagh
Peer-o-alam, ustad-e-muhtaram
Yeh raasta dikhaney waley
Sab jhoot hein, jhoot hein, mein bhi aur tum bhi
Yeh baatein shayad samajh na paao
Keh nazar faqat shanas hai
Mustarid roshnee ko sach jaanney kee
Haqeeqat maanney kee
Alfaz kai madar mein alfaz hee alfaz hein
Alfaz kai is bhanwar mein alfaz kee talash hai
Alfaz sai tau soch hai
Yeh baatein shayad ab bhi samajh na aayen
Keh yeh alfaz bhee tau jhoot hee hein
Sab Jhoot hein, mein bhi aur tum bhi
Gar aaj iss raat nai parda chaak kar hee diya hai
Tau suno, suno - aur sun lo
Keh yeh raat iss dil sai zuban chahti hai
Yeh raat subah-e-tareek sai panah chahti hai
Har woh soch jo alfaz sai mashroot hai
Yeh raat uss soch kee karee saza chahti hai
Yeh raat har uss halat kee maut chahti hai
Jo ishq kai badlay khuda chahti hai
Yeh raat... IRTIQA chahti hai