Pride
FULL MEMBER
- Joined
- Aug 26, 2009
- Messages
- 1,850
- Reaction score
- -3
- Country
- Location
jane kese jeete hain log yaado k sahre mohsin
may tou kahin bar marta hn aik yaad ane per
Arey bhai is Mohsin ko koi ek baar mein hi nipta do...
Follow along with the video below to see how to install our site as a web app on your home screen.
Note: This feature may not be available in some browsers.
jane kese jeete hain log yaado k sahre mohsin
may tou kahin bar marta hn aik yaad ane per
Arey bhai is Mohsin ko koi ek baar mein hi nipta do...
aik he bar phla do mujhe
k phr koi hasrat na rahe
yun hasaraton ke daagh, muhobbat mein dho liye
khud dil se dil ki baat kahi, aur ro liye
Dukhi aatma...
ye kuch be sabr bonde the jo jalk parhe
warna kitne dariya sahilo ko naam nhi krte
Huda ji, pls tell me bonde and jalk's meaning?
Kahin wo miley tou usy kehna k loat ao
kisi ki batain,
Kisi ki yaadain,
kisi ki raatain
tum bin bohat adhuri hain,
Lot aao k koi tum bin pal pal,
har pal, har aaj or har kal tanha hai,
Loat aao k tumhare na hone se
kisi ki aankhon mei nami or zindagi mei kami bohat zyada hai,
Kahin mile to usay kehna k Lot aao,
Bus Ab Lot Aao
Mujhe mila wo tera hamnafas kahin door
tere khat ka har ek lafz bataya maine
teri minnaton ki teri yadon ki
wo fehrist batayi maine
usne dekha,muskuraya aur kaha mujhse
Meri jaan se kahna ki,
dil me mere bhi bahut jazbaat hai bayaan karne ko
par shayad kah na sakoon kabhi unse
tu mere yaar jaa aur bata usko
aaj watan hai mera yaar khatre mein
aur ye zindagi main meri uske naam kar di
Tu kar mera intzaar
Gar fir na mil saka
to dekh lena wo sarzameen jispe
tere paanv hain jahan pade
main hoon wahin
main hoon wahin by Pride
Kahin wo miley tou usy kehna k loat ao
kisi ki batain,
Kisi ki yaadain,
kisi ki raatain
tum bin bohat adhuri hain,
Lot aao k koi tum bin pal pal,
har pal, har aaj or har kal tanha hai,
Loat aao k tumhare na hone se
kisi ki aankhon mei nami or zindagi mei kami bohat zyada hai,
Kahin mile to usay kehna k Lot aao,
Bus Ab Lot Aao
us ko judaa hue bhii zamaanaa bahut huaa
ab kyaa kahe.n ye qissaa puraanaa bahut huaa
Dhalatii na thii kisii bhii jatan se shab-e-firaaq
ai marg-e-naagahaa.N teraa aanaa bahut huaa
ham Khuld se nikal to gaye hai.n par ai Khudaa
itane se vaaqaye kaa fasaanaa bahut huaa
ab ham hai.n aur saare zamaane kii dushmaanii
us se zaraa rabt ba.Dhaanaa bahut huaa
ab kyo.n na zindagii pe muhabbat ko vaar de.n
is aashiqii me.n jaan se jaanaa bahut huaa
ab tak to dil ka dil se taarruf na ho sakaa
maanaa ki us se milanaa milaanaa bahut huaa
kyaa kyaa na ham Kharaab hue hai.n magar ye dil
ai yaad-e-yaar teraa Thikaanaa bahut huaa
kahataa thaa naaseho.n se mere muu.Nh na aa_iio
phir kyaa thaa ek huu kaa bahaanaa bahut huaa
lo phir tere labo.n pe usii bevafaa kaa zikr
ahmad Faraz tujh se kahaa naa bahut huaa
Kuchh bhi ho....
Tamanna phir machal jaaye agar tum milne aa jaao
Ye Mausam bhi badal jaaye agar tum milne aa jaao
Tujh se Milne ki Sazaa den gay Tere Shaher ke log
Ye Wafaaon ka Silaa den gay Tere Shaher ke log
Kyaa Khabar thi Tere Milne pe Qayaamat hogi
Mujh ko Deewanaa bana den gay Tere Shaher ke log
Terii nazaron se Giraane ke liye Jaan-e-Hayaa
Mujh ko Mujrim bhi bana den gay Tere Shaher ke log
Keh ke Deewanaa Mujhe maar rahe hain Patthar
Aur kyaa is ke Siwaa den gay Tere Shaher ke log