Kafir
Mein bhi kafir, tu bhi kafir,
Phoolo’n ki khushboo bhi kafir,
Lafzo’n ka jadoo bhi kafir,
Ye bhi kafir woh bhi kafir,
Faiz bhi kafir, Manto kafir,
Noor Jehan ka gana kafir,
Mcdonald ka khana kafir,
Burger, coffee, coke bhi kafir,
Hansna biddat joke bhi kafir,
Tablay kafir dhol bhi kafir,
Pyar bharay do bol bhi kafir,
Sur bhi kafir taal bhi kafir,
Bhangra, luddi, dhamaal bhi kafir,
Daadra, thumri, bhairween kafir,
Kafi aur khayal bhi kafir,
Waris Shah ki heer bhi kafir,
Chahat ki zanjeer bhi kafir,
Zinda murda peer bhi kafir,
Nazar nayaz ki kheer bhi kafir,
Betay ka basta bhi kafir,
Beti ki gudiya bhi kafir,
Hansna rona kufr ka sauda,
Gham kafir khushiyan bhi kafir,
Jeans bhi, guitar bhi kafir,
Takhno’n sey neechay bandho to,
Apni ye shalwar bhi kafir,
Fun bhi aur fankar bhi kafir,
Jo meri dhamki na chhapai’n
Woh saray akhbaar bhi kafir,
University kay andar bhi kafir,
Darwin ke bandar bhi kafir,
Freud parhanay walay kafir,
Marx kay sab matwalay kafir,
Melay thailay kufr ka dhanda,
Ganay bajay saray phanda,
Mandir mein to buth hota hai,
Masjid ka bhi haal bura hai,
Kuchh masjid kay bahar kafir,
Kuchh masjid kay andar kafir,
Muslim mulk kay aksar kafir,
Kafir kafir mein bhi kafir,
kafir kafir tu bhi kafir….