@PakSword kia khyal hai..aap ka..is par?
Lekin judicial commission agar apni findings kisi diff bench ke saamnay rakhta hai..tu us par phir hearing hoti hai... Ab agar 5 member bench ke pass wapis jaata hai tu phir hearing kis cheez par dobara hogi? Yehi implementation bench dono sides ko sunn rahi hai..NAB, FIA ko bhi sunay gi, Attorner gen ko bhi sunay gi..phir 5 member bench kis cheez ki hearing karay gi?
Ye judicial commission wali baat tab ziada theek na lagti..agar jaisy hi JIT report aayi thee..ye implementation bench dissolve hojata...aur 5 member bench ko refer kar deta ye case aur phir hearing start hoti dono sides ki?
Acha.. my question.. jab judicial commission apni investigation/ inquiry complete karleta hai tou kia hota hai? Woh verdict nahi sunata.. balkay report ko submit karta hai uss authority ko jis ne commission banaya hota hai.. Similarly, yeh 3 member bench khoob chhaan phatak karnay ke baad apni findings aur attestation ke baad 5 member bench ko aik report submit karegi.. ke the order has been implemented with the following suggestions.. uss main disqualification wali baat bhi hogi.. mujhay lagta hai ke commission ki tarah yeh advise karegi ke based on the implementation of court order we have noted:
PM should be/ shouldn't be disqualified.
Criminal proceedings should be started against PM..
Uss ke neechay har judge ke individual notes hongay.. Aur yeh implementation bench ka verdict arsaal hojaega 5 member bench ko..
Uss ke baad 5 member bench dobara resume karegi hearing.. jo ke kafi short hearing hogi.. Agar farz karain, implementation bench decide karti hai ke PM ko disqualify nahi hona chahiey, lekin verdict split hai aur Aijaz ul Ahsan apna dissenting note detey hain, tou 5 member bench dobara sab kuchh dekhay ga aur decide karega.. obviously, jis ne dissent kia hoga woh automatically majority main aajaega.. lekin for example, agar Justice Khosa ka baqi dono judges ke remarks parh kar, aur evidences ko dekh kar irada ban jata hai ke PM disqualify nahi hona chahiey, and Pakora/ Advocate are right.. tou majority judgement disqualify honay ka nahi hoga..
Aik din ki hearing hogi.. jis main PM ko yeh moqa diya jaega ke implementation bench ke verdict ko challenge karain.. (jo ke next to impossible hoga) in fact uss waqt tak PM haar maan chuka hoga..
Aur court order min ye bhi likha tha ke implementtion bench periodic ya final JIT report par...disqualification ka matter dekhay gi..matlab us ne hi verdict dena tha..implementation bench ne?
Haan bilkul likha tha.. implementation bench ko agar interim report main hi aisay shawahid mil jatay aur woh decide karti ke lets call defense, phir tou aisa hi hona tha.. lekin hona wohi tha.. ke implementation bench apni recommendations deti.. disqualification pe.. phir 5 member bench ke paas jateen recommendations..
Yeh sirf implementation bench hai, hamain iss ko SC ki normal bench se tashbeeh nahi deni chahiey.. its like a judicial commission..
Abb tak meri chhoti si aqal main yehi baat aayee hai..