What's new

Panama Case - Post Verdict Discussion and Updates

UnJust Qazi Faiz ke saamne NS naachta bhi paya gaya tou woh kahega ke NS tou namaz parh raha tha!

log kehte hai qayamat uss waqt tak nahi aegi jab tak log kaaba kay gird naachte tawaf na karen jese islam se pehle karte the..

iss qazi sahib ko country kay bahar outsource kardia jaye takay qayamat jaldi aye log insaaf to hota dekhenge
 
.
UnJust Qazi Faiz ke saamne NS naachta bhi paya gaya tou woh kahega ke NS tou namaz parh raha tha!

Main hairaan hun.. justice Qazi Faiz Isa itnay popular kiun hain? Log inhein bhtt daring judge samajhtay hain.. inohn ne aaj tak sirf quetta incident main Ch Nisar ke against verdict dyia tha.. woh hbi ek tarah se NS ko favor hi tha...

Klasra bhi bhtt fan hai Justice Qazi Faez Isa ke... pata nahi kiun? Dr Asim ko bhi relief dyia Qazi Faez Isa ne.. JIT members ki insult ki inhon ne aur Justice Dost Muhammad ne...

Inki baatein bari bari aur kaam kuch nahi.. iss lihaz se...Justice Ejaz Afzal was always better.. jab humein owh pasand nahi bhi thay but he was always clear... he was never a hypocrite... i now like Justice Ejaz Afzal more than Justice Sheikh Azmat.. because Justice Ejaz Afzal truly changed...aur unhon ne kabhi bhi bari bari baatein nahi ki.. unhon ne kahbi baray baray remarks mahi diye thay...we always had an idea ke woh kaisa verdict dein ge? Jab ke pehle Sheihk Azmat saeed remarks bhtt strict detay thay Justice Khosa se bhi ziada aur verdict opposite diya tha pehle..

Qazi Faez Isa ne kulsoom nawaz ke election nomination walay case main bhi yaad hai kaisy ajeeb remarks dyie thay? Justice Gulzar tu evidnece maang rahay thay lekin ye keh rahay thay ke election hogaya...ab awaam ka faisla maanein...aur is tarah ki ajeeb baatein ki theen.. aur phir Irfan Mangi par Qazi Faez Isa aur Justice Dost Muhammad ke remarks

Pata nahi logon ko Justice Qazi Faez Isa kiun itnay pasand hain?
 
Last edited:
. . . . .
Klasra really took Chairman NAB and prosecution to the cleaners in his program today.
 
. .
Shayad inn ka naam khoobsoorat hai.. iss liey..

Warna kaam tou Allah muaf karay......

@Farah Sohail

Loll.. waqayi samajh nahi aata ke Justice Qazi Faes Isa kiun itnay oppular hain? Log unhein kiun itna daring judge samajhtay hain?

Justice Khosa is my favorite, not just because of panama case... main ne Justice Khosa ke bhtt saaray verdicts parhay hian.. book tu unki parhi hia lekin kuvh verdicts online bhi parhay hain jaisy ek former federal minister Anwar Saifullah ka.. ex Ch NAB Jutsice Deedar Shah ka...in every verdict..related to corruption cases..he is always very strict... chahy kisi bhi party ka case ho.. unka sab ke liye ek hi standard hai...aur corruption se related cases main woh bhtt stricthian.. this is why he is my favorite.. main sirf panama case ki wajah se uninfan nahi hun... unka koi comparison nahi. Qazi Faez Isa jaisy judges tu unke passing bhi nahi.. lekin log pata nahi kiun....samajhtay hain ke Qazi Faez Isa bhtt independent aur daring judge hain..
waisy lagta hai ke shayad SC main panama judges ..baqi sab judges se better hi hain


Hmmmm... tu woh siasatpk main jo baat hui theee...woh sach thee.. ..ab sab samajh aagaya ke kal kiun aisy remarks diye thay unhon ne
 
.
waisy lagta hai ke shayad SC main panama judges ..baqi sab judges se better hi hain

Yes, all five judges seem to be better then the rest.

Mujhay waisay nahi lagta Hudaibiya ke khulnay ka chance hai..

Hmmmm... tu woh siasatpk main jo baat hui theee...woh sach thee.. ..ab sab samajh aagaya ke kal kiun aisy remarks diye thay unhon ne

Bajwa saab ki tou watt laga di iss judge ne... aisa lagta tha ke NS khud judge ki kursi pe baitha ho..
 
.
DPx7J2QX0AAvsC2.jpg:large

DPx7J1JWsAEuFUC.jpg:large
DPx7J1JX0AEi6BV.jpg:large
 
. .

After this I think it will be hard for any Judge to rule in favor of Sharifs on the reopening of Hudaibiya Case.
 
.
Yes, all five judges seem to be better then the rest.

Mujhay waisay nahi lagta Hudaibiya ke khulnay ka chance hai..
.

Waisy mujhe lagta hai ke hudaibya case khul jayega.. As I said earlier too...Justice Khosa ne koi raasta naih chora doosray judges ke liye.. all the questions judges were asking yesterday ke kaisy influence karsakti hia sharif family..iss case par...were all answered by Justice Khosa.. he also discussed process of selection of Chairman NAB... aur hudaibya case par tu inhon ne 14 paragraphs likhay hi hain..

NAB agar sirf itna bhi kar dey ke Justice Khosa ke 14 paragraphs judges ke saamnay parh dey tu hi bohatt hoga.. Justice Khosa ke 14 paragraphs ko NAB ko....is case ki proceedings ka part banaana chahye... phir bhtt mushkil hoga ..iss case ke judges ke liye Justice Khosa ke verdict ko reject karna aur agar karein ge tu khud bohatt ziada badnaam honge.. waisy mujhe NAB bhi is case main theek role play karti nazar nahi aarahi as Fawad Ch also said yesterday.

Bas woh itna kardein ke Justice Khosa ke 14 parapgraphs parh dein.. phir sab kaam hojayeega.. Justice Khosa ne hudaibya case reopen karaany k liye kaam bohat asaan kardiya hai..

Tu mujhe lagta hai ke eventually hudaibya case reopen tu hojayega .. pooray Pak ki nazrein iss case par hain warna ye SC judges bohatt badnaam honge...

SC se tu reopen hojayega hudaibya case.. saari garbar pihr accuontability court main hogi...jaisy basheera karraha hai.. wahan manage karein ge sharifs...accountability court ko...aur wahan se acquit honge...
 
Last edited:
.
NAB agar sirf itna bhi kar dey ke Justice Khosa ke 14 paragraphs judges ke saamnay parh dey tu hi bohatt hoga..
Prosecutor actually tried to refer to Panama verdict yesterday and Paji Faiz Essa said that the bench wasn't hearing Panama case..
 
.

Military Forum Latest Posts

Back
Top Bottom