What's new

Panama Case - Post Verdict Discussion and Updates

Haan hai..tu....

Fake docs par forgery ke ilzaam main baji ko saza hona..

Phir wohi jail aur saza.. bhool jaein..

Ideally, fake docs pe SC ko saza deni chahiey thi.. kia saza di SC ne? Uss ka tou reference banta hi nahi tha.. woh tou undisputed fact tha..

abb samajh aayee ke kyun saza nahi hosakti.. agar honi hoti tou hochuki hoti..
 
.

Spot on !
 
Kon se fake docs par aap keh rahay hain? Woh jo forensic expert ne kaha tha,,,ke fake docs hain.. Nahi..uss par SC saza nahi de sakti thee... Justice Khosa ne ..apnay panama verdict main bhi likha tha..ke hum yahan SC main constituitional qualification ya disqualification dekh rahay hain.. Baaki criminal aspect ko accountability court dekhay gi...jaisy benazir case main tha.. Unhon ne apnay verdict main bhi benazir case ka reverence diya tha..

Review main bhi Justice Khosa ne ye cheez explain ki thee aur kaha tha ke fake docs wala issue criminal issue hai..is liye usay accounntability court par chora hai....SC trial court nahi... Tu woh jo fake docs jo trust deed thee..jiski forensic expert ne jaali kaha tha....woh accountability court ne hi dekhna hai..

Rahi UAE govtt ke docs..tu SC...tu NS ki qualification ya disqualification dekh rahi thee... Maryam ya hasan, hussain ke jhoot sabit ho bhi gaye thay UAE govt ke letters se...tu woh tu national assembly ke members hi nahi thay..SC unke jhoot sabit kar ke bhi kiya kar keti? SC unko disqualify kaisy karti jab ke woh national assembly ke member hi nahi hain..? T un par tu 62/63 bhi apply nahi hosakta tha

Is liye maryam, hasan aur hussain se related cheezon ko accountability court par chora..SC ne..
 
Submitting a fake document in SC by anyone is itself an offence.. You don't need to be a member of assemblies to be indicted.

Aik judge ne bhi yehi remarks diey that during review, ke hum samajh rahay thay ke review request to petitioners ki taraf se aayegi.. lekin hairat hai ke review request aap ki taraf se aarahi hai..
 
Fake degree's pe Parliamentarian's ko saza nahi di kia aaj tak SC ne ? or forgery kis ko kehtay hain ?
 
.
Submitting a fake document in SC by anyone is itself an offence.. You don't need to be a member of assemblies to be indicted.

Aik judge ne bhi yehi remarks diey that during review, ke hum samajh rahay thay ke review request to petitioners ki taraf se aayegi.. lekin hairat hai ke review request aap ki taraf se aarahi hai..

Hmmm.. Pata nahi..iss par direct saza hosakti hai ya uss par bhi trial hota hai? Justice Khosa tu har criminal case main aksar accused ko bari kartay huay kehtay hain ke jhootay gawahon ki wajah se mujrim bach jaatay hain... Agar direct saza hosakti..tu woh un jhootay gawahon ko ..normal cases main bhi kiun khud saza nahi detay? Chalein sharif family ke case main tu hum samajh bhi lein ke agar SC darr gayi ..ya un par lenient rahay ...lekin Justice Khosa ke almost har case main roz ye remarks aatay hain ke...jhootay gawahon ki wajah se mulzim bari hojatay hain..aur ilzaam hum par aata hai.. Phir tu unhein..directly..un jhootay gawahon ko bhi saza deni chahye... Shayad law main hi koi lacuna ho?

Sheikh Azmat Saeed ne ye remarks diye thay... Ke hum samajh rahay thay ke review request petitioners ki taraf se aayegi... Shayad review main chalay hi jaana chahye tha petitioners ko....
 
Nahi.. law main koi lacuna nahi.. SC ne apni power use hi nahi ki..

Justice Khosa jo kartay hain bilkul theek kartay hain... lekin yahan gawahon ka masla nahi tha.. yahan aik se ziada docs jali "Sabit" hogaey thay..

Remember Financial Investigation Agency's letter to JIT in which they said that Maryam is the sole beneficial owner of offshore companies? Uss ke baad kisi gawah ki zaroorat reh jati hai? On top of that, a forensic expert firm also termed the agreement between Hasan and Maryam as backdated.. because the font was not commercially available at the time of signing that contract..

So FIA's letter pluc forensic firm's expert opinion... both were more than enough to send Ms. Maryam behind the bars.. What was the need of sending it as reference? What more investigation and fact finding a lower court will do to CONFIRM what was established in SC?

Daramay lagaey huay hain aur kuchh nahi..

===============================================

Mujhay yaad hai ke NS aur Baji ke lawyers ne tou darr ke maaray aik doosray par ilzaam daalna shuru kardia tha ke yeh docs main ne nahi uss ne diey.. ya uss ne nahi falan ne diey.. mera koi taaluq nahi..

inn logon ko darr tha ke agar SC law apply karday tou inn ki practice bhi khatray main parr sakti hai..
 
Kabhi kabhi main sochti hun ke shayad behtar hota ke Justice Khosa aur Justice Gulzar bhi pehle disqualify na kartay..balke unke pass bhi JIT report aajati... Anr uske baad hi woh ek saath faisla dete.. Unke pass agar ye JIT report aajati tu woh shayad ziada sakht faisla de dete..

If we remember during review hearing..jab safdar ka zikr aaya ke us par kiun references banayr..uska koi talluq nahi..tu Justice Khosa ne remarks diye thay ke safdar ka bhi kuch na kuch takluq tu hai.. Maryam pehle SC main kehti rahi ke flats se unka talluq nahi lekin JIT report main sabit hogaya hai ke flats ki ownership maryam ki thee.. Even Ejaz Afzal ne bhi kaha tha..

Lekin ab kiun ke review petition hai..aur review ka scope bhtt limited hota hai tu verdict main mazeed koi addition nahi hosakta.. Infact mujhe tu lagta hai ke shayad J Khosa aur Gulzar..apna additional note bhi na likhein...sirf verdict par sign kardein. Kiun ke woh JIT report ke baad bench ka part nahi thay... Anr JIT ki basis par jo bhi faisla aaya hai..Justice Khosa aur Gulzar hosakta hai..ke us verdict ka part na hi banein... J Khosa ne pehle bhi kaha tha ke theek hai..aap in 3 judges ko hi convince karein..

Ya hosakta hai ke Justice Khosa ka ek bhtt hi generalised sa brief note aajaye..without going in any detail..of the case..like his additional note in Yousuf Raza Gilani case..where he only talked abt morality.. Anyways.. I am not expecting any detailed remarks or verdict from either J Khosa or Gulzar in review..

Acha waisy qatri letter ko bhi tu J Khosa ne pehle jhoot keh diya tha....saaf saaf keh diya tha ke yeh jhoot hai.. Phir us par saza kiun nahi di? Mujhe lagta hai ke kuch na kuch hai..zuroor... Ye cheezein shayad trial court hi jaani hoti hun..
 
.
Acha waisy qatri letter ko bhi tu J Khosa ne pehle jhoot keh diya tha....saaf saaf keh diya tha ke yeh jhoot hai.. Phir us par saza kiun nahi di? Mujhe lagta hai ke kuch na kuch hai..zuroor... Ye cheezein shayad trial court hi jaani hoti hun.

Justice Khosa ne iss liey kaha ke uss waqt circumstantial evidences us khat ke contents ke jhoot honay ki taraf ishara kar rahay thay. Direct evidence koi nahi tha. Doosri baat yeh ke khat asli Tha, uss ka content ghalat Tha. For example, the letter was written by the person who signed it. It was written on the date which was mentioned on the letter. Also the letter was provided by Qatari.

Lekin trust agreement was backdated and the contents were proved to be false. Yeh up to 7 years wala pakka case Tha...
 
.
@PakSword

Sir aap ki pohanch door door tak hai...ap mera ek sawal ka jawab maloom kardenge?

Raddul Fassad - Fassad ki definition sirf ye hai k jab koi physically kisi ko nuqsan pohchaye goli bandooq se... isme maashi or samaji mamlaat nahi atay?
 
.
I am watching Iftikhar Ch's interview right now... He is saying that ...accountability court has no jurisdiction to grant bail to accused.. Accountability court can only issue arrest warrants..but not bail... Bail can only be granted by high courts and SC... He quoted SC's verdict in 2000..which clearly said tht only HC and SC can grant bails...but not accountability court.. Iftikhar Ch says ke ye jo judge ne..aaj Maryam aur Captain safdar ko bail di hai..ye illegal hai..ye unka kaam hi nahi tha..
Also, he says tht indictment cant be done in absentia... It is also illegal.. Agar aisa hua tu ..is se accused ko faida milay ga..

Ye basheera pakka pakka....poori tarah mila hua hai....sharifs se...ye har tarah se sharif family ko faida pohanchaana chah raha hai..
 
. .
Aur monitoring judge kia kar rahay hain? :lol:

Pata nahi.. Mujhe tu abhi tak monitoring judge ka maqsad hi samajh nahi aaya...ke woh kiun aur kis liye hain? Main ye tu nahi kehti ke J Ijaz ul Ahsan ..dil se sharifs ke saath milay huay hain..jaisy ye basheera....lekin waqayi samajh nahi aaraha ke..J Ijaz ul Ahsan kia karrahay hain? Woh ab kia chahtay hain? J Ijazul Ahsan pehle tu aisy nahi thay.. Woh ye kiun check nahi karrahay hain ke law aur procedure correctly follow horaha hai ya nahi? Atleast itna tu karsaktay hain.. Samajh nahi aaraha bilkol ... J Ijaz ul Ahsan ko ho kiya gaya hai? Aisy tu nahi thay..achay bhalay thay..... Ye tu dekh lein ke absentia main indoctment illegal hai aur ye ke accountability court bail nahi de sakti.. Ye dono chezein illegal hain.. Inko tu dekh lein ke iska faida accused ko hoga.. Kia karrahay hain J Ijazul Ahsan?
 
.
Aur monitoring judge kia kar rahay hain? :lol:

Bhai Jan muaf kardo yaar... Ghalti hogaee

Insan to khata ka putla hai. Per aap kio maafi mang rahe hain Raddul Fassad ke liye?

Bura jaldi maan lete hain. Ek chota sawaal tha
 
.
Iftikhar Ch says ke ye jo judge ne..aaj Maryam aur Captain safdar ko bail di hai..ye illegal hai..ye unka kaam hi nahi tha..

Enter the Dragon...fast asleep.

I'm sure the monitoring judge monitored the event with usual zeal and fervour, lol. After banana ministry of interior, we witness banana judicial system, lol, state of hilarity within a state of hilarity. Proof that anything is possible if enough wheeler dealers get involved.

Also, he says tht indictment cant be done in absentia... It is also illegal.. Agar aisa hua tu ..is se accused ko faida milay ga..

Accuseds ko har har nuktay aur har har isharay ka faida diya gaya hay aur deya jaa raha haay, in letter and spirit, by SCP itself and now lower court...how can the monitoring judge do something when they themselves have left some of their own dirty work up to the accountability court.

Meanwhile the Dragon, as in PTI, is fast asleep during the day and wakes up in the evening to have a fixed dual with one anchor or the other across the media spectrum.

Who has tied their hands that they cannot approach the monitoring judge through a petition sighting blatant malpractice of accountability court judge or even a constitutional petition highlighting the serious transgression of authority as pointed out by an ex CJP Ch Iftikhar.
 
.
Back
Top Bottom