What's new

Pakistani corner

Najanay teez barish mien kioyun..
Chatri liye howey kadhi hoi hey woh...
Apnay kamray mien jaag raha houn mien..
Apnay kamray mien so rehi hey woh..

Wada jab b uss sey kerta houn koi..
Ghoor se muhko deykhti hey woh..
Kehti hey tum kitnee achay ho Ahmed...
Bas aik yehi jhoot bolti hey woh...

Dil ajab gumbad k jis main ik kabutar bhi nahin
itna viran to murdaron ka muqaddar bhi nahin

Dabati jati hain mitti main badan ki kashtiyan
dekhane main ye zamin koi samandar bhi nahin

jitne hangame the sukhi tahaniyon se jhar gaye
per par phal bhi nahin angan main patthar bhi nahin

Khushk tahani par parinda hai ki patta hai ?Adeem?
ashiyana bhi nahin jis ka koi par bhi nahin

jitni pyari hain meri dharati jo zanjirain ?Adeem?
itana pyara to kisi dulhan ko zevar bhi nahin

Itni shaista guftugoo main, hum to sirf chulo bhar pani main-he doob saktay hain :omghaha:

I never knew you can read write Urdu. :D
 
Eshita-Mehboob-5.jpg

Uski Yaadon Ne Pagal Bana Rakha Hai,
Kahi Mar Na Jaaun Kafan Sila Rakha Hai,
Mera Dil Nikal Lena Dafnane Se Pehle,
Wo Na Dab Jaye Jise Dil Me Basa Rakha Hai.
Uski yadoun ney pagal bana rakha hey..
Sang har shakhs ney hathoun mien utha rakha hey..
Bach ke rehna Zibago bhai merey PDF jaani..
Uskey abu nay bada sa boli kuta b paal rakha hey..
 
Dil ajab gumbad k jis main ik kabutar bhi nahin
itna viran to murdaron ka muqaddar bhi nahin

Dabati jati hain mitti main badan ki kashtiyan
dekhane main ye zamin koi samandar bhi nahin

jitne hangame the sukhi tahaniyon se jhar gaye
per par phal bhi nahin angan main patthar bhi nahin

Khushk tahani par parinda hai ki patta hai ?Adeem?
ashiyana bhi nahin jis ka koi par bhi nahin

jitni pyari hain meri dharati jo zanjirain ?Adeem?
itana pyara to kisi dulhan ko zevar bhi nahin

Yaqeen nahien rakhta mien kisi kachay taluq per..
jo dagha totnay wala ho usko todd deyta houn..
Abhi tak wohi bachpan wohi tahreeb kari hey...
Kafs mien khool deyta houn parinday choud deyta houn..

Adeem Hashmi..
 
Uski yadoun ney pagal bana rakha hey..
Sang har shakhs ney hathoun mien utha rakha hey..
Bach ke rehna Zibago bhai merey PDF jaani..
Uskey abu nay bada sa boli kuta b paal rakha hey..

Uski Yaadon Ne Pagal Bana Rakha Hai,

Kahi Mar Na Jaaun Kafan Sila Rakha Hai,

To kiya janay ey dubai ki iffat

Mazi nay ham ko kiya kiya sikha rakha hay
 
There's in Pakistan.

On serious note.
You need to start writing. Your story "the enemy" was really good.
The Attack - operation maarkhoor

@Khafee @Ammara Chaudhry
My own poem...

Mien hawa mien paani achaal raha tha, rait se ghar bana raha tha..
Sahil pe beythey bachoun ki tarha khud hi khud se khel raha tha..
Bohat badhi baazi ho jesy koi youn hawa mien sika uchaal raha tha..
Mujhe se jeetney walay tu chalay gey Phir mien khud hi khud se haar raha tha..
 
Usay apne fardaa ki fikr thi, woh jo mera waqif-e-haal tha,
Woh jo us ki subah urooj thi, woh mera waqt-e-zawaal tha,
Mera dard woh kese janta, meri baat kese woh maanta,
Woh to khud fanaa ke safar pe tha usay rokna bhi muhaal tha,
Kahan jao ge mujhe chorr kr main yeh puch puch kar thak geya,
Woh jawab mujh ko na de saka, woh to khud saraapa sawaal tha,
Woh jo us ke saamne aa geya wohi roshni main nahaa geya,
Ajab us ki haibat-e-husn thi, ajab us ka rang-e-jamaal tha,
Woh mila to sadiyon ke baad bhi mere labb pr koi gilaa na tha,
Usay meri chup ne rulaa diya jise guftguu main kamaal tha,
Mere sath woh lag ke ro diya, mujhe “fakhri” itna woh keh saka,
Jise jaanta tha main zindagi woh to sirf weham-o-khayal tha..

@MaarKhoor @Khafee

(Long but awesome).
 
The last line. Bammmmm!
It's soooo good.

I also write sometimes.
 
Uski Yaadon Ne Pagal Bana Rakha Hai,

Kahi Mar Na Jaaun Kafan Sila Rakha Hai,

To kiya janay ey dubai ki iffat

Mazi nay ham ko kiya kiya sikha rakha hay
Dubai ki iffat nai really pagal bana rakha hai, q kay kafan silta nahi hai :p:
 
Usay apne fardaa ki fikr thi, woh jo mera waqif-e-haal tha,
Woh jo us ki subah urooj thi, woh mera waqt-e-zawaal tha,
Mera dard woh kese janta, meri baat kese woh maanta,
Woh to khud fanaa ke safar pe tha usay rokna bhi muhaal tha,
Kahan jao ge mujhe chorr kr main yeh puch puch kar thak geya,
Woh jawab mujh ko na de saka, woh to khud saraapa sawaal tha,
Woh jo us ke saamne aa geya wohi roshni main nahaa geya,
Ajab us ki haibat-e-husn thi, ajab us ka rang-e-jamaal tha,
Woh mila to sadiyon ke baad bhi mere labb pr koi gilaa na tha,
Usay meri chup ne rulaa diya jise guftguu main kamaal tha,
Mere sath woh lag ke ro diya, mujhe “fakhri” itna woh keh saka,
Jise jaanta tha main zindagi woh to sirf weham-o-khayal tha..

@MaarKhoor @Khafee

(Long but awesome).
Very nice poet name please if not Ammara

Ussi aik fard ke waste mere Dil mein Dard hai kis liye,
Meri zindagi ka mutalba wohi aik fard hai kis liye,

Tu Jo shehar mein hi muqeem hai to musafrat ki fiza hai Q,
Tera karwan Jo nahi gya to Hawa mein gard hai kis liye,

Na Jamal-o-hussnn ki bazam hai, na janun-o-ishq ka azam hai,
Sar-e-dashat rakas mein her ghari koi bad gard hai kis liye,

Tere hussnn se yeh pata chala, tujhe dekh kar yeh khabar hui,
Jahan rasta hi nahi koi, waha rah nurad hai kis liye

Jo likha hai mere naseeb mein kahin Tu ne parh to nahi liya,
Tere hath sard hai kis liye,, tera rang zard hai kis liye,

Wo Jo tark-e-rabt ka ehad tha kahin totne to nahi laga,
Tere Dil ke dard ko dekh ke mere Dil mein dard hai kis liye,

Koi waasta Jo nahi raha, teri aankh mein yeh nami hai Q,
Mere gham ki aaG ko dekh ker Teri "aah" sard hai kis liye...!
 
The Attack - operation maarkhoor

@Khafee @Ammara Chaudhry
My own poem...

Mien hawa mien paani achaal raha tha, rait se ghar bana raha tha..
Sahil pe beythey bachoun ki tarha khud hi khud se khel raha tha..
Bohat badhi baazi ho jesy koi youn hawa mien sika uchaal raha tha..
Mujhe se jeetney walay tu chalay gey Phir mien khud hi khud se haar raha tha..
Shadi shoda honay kay bawajood, apnay aap say kehlna achi baat nahi. My sympathies :rofl::rofl::rofl:
 
یوں ہی ہر پل آنسو بہانہ دل کا
تیری یادیں ہیں خزانہ دل کا

کوئی پیارسےگر پیش کرے
توہمیں آتا نہیں ٹھکرانادل کا

سوچےسمجھےبنا دل دےدیتا ہوں
میں ہوں بڑا انجانا دل کا

وہ غیر قانونی قبضہ جما بیٹھے
اب ناممکن ہے چھڑانادل کا

ایک بار ان کے کوچےمیں جاکر
مشکل ہو جاتا ہےلوٹ کرآنادل کا

ویسے تو وہ جانے والے نہیں
اب آپریشن پڑےگاکرانادل کا
 
یوں ہی ہر پل آنسو بہانہ دل کا
تیری یادیں ہیں خزانہ دل کا

کوئی پیارسےگر پیش کرے
توہمیں آتا نہیں ٹھکرانادل کا

سوچےسمجھےبنا دل دےدیتا ہوں
میں ہوں بڑا انجانا دل کا

وہ غیر قانونی قبضہ جما بیٹھے
اب ناممکن ہے چھڑانادل کا

ایک بار ان کے کوچےمیں جاکر
مشکل ہو جاتا ہےلوٹ کرآنادل کا

ویسے تو وہ جانے والے نہیں
اب آپریشن پڑےگاکرانادل کا
Yaar ek toe hijjay kartay kartay sobha hoa jate hai, oopar say font. Kuch toe khuda ka khauf kijiyae!
 
Back
Top Bottom