What's new

Whatever

.
nice one
btw yar ye tumhain yad hain itni sari poems ya phir cpy paste ho reha hai . if u really do remember all these then i must say u have a great memory :tup:

I don't think k jiya ko yeh sb yaad hain it's obvious that she has these poems in his system's hard drive... :)
 
.
main Khayaal huuN kisii aur kaa, mujhe sochataa koii aur hai
sareaaiinaa meraa aks hai, paseaaiinaa koii aur hai

main kisii ke dastetalab men huuN, to kisii ke harfeduaa men huuN
main nasiib huuN kisii aur kaa, mujhe maaNgataa koii aur hai

kabhii lauT aayeN to na puuchhanaa, sirf dekhanaa baDe Gaur se
jinhen raaste men Khabar huii ki ye raastaa koii aur hai

ajab aitabaarbaaitabaarii ke daramiyaaN hai zindagii
main kariib huuN kisii aur ke, mujhe jaanataa koii aur hai

vahii munsifon kii rivaayaten, vahii faisalon kii ibaaraten
meraa jurm to koii aur thaa, par merii sazaa koii aur hai

terii roshanii merii KhaddoKhaal se muKhtalif to nahiin magar
tuu qariib aa tujhe dekh luuN, tuu vahii hai yaa koii aur hai

my favourit :smitten:
 
. .
apne ehsas se mujhe sandal kar do”
main sadiyon se adura hoon mukamal kar do

na tumhain hosh rahay aur na mujay hosh rahay
is kadar tooot ke cahoo mujay pagal kar doo

tum hatehli ko mere pyaar ki mehndi se rango
apni ankhon main mere NAAM ka KAJAL kar doo

is ke saye main mere khowab dekh uthain gaay
mere cahre peh cahmakata howa anchal kar do

dhoop he dhoop hoon main toot ke barso mujh par
is kadar barsoo meri roooh main jaaal thal kar doo

jaysay sehraoon main har saam howa cahlti hai
is tahrah mujh main cahlo aur mujay thal kar doo

tum chupa lo mera dil-e-awat main apne Dil ki
aur mujay meri nigaoon se bhi aojal kar do

maslah hoon to nigain na charoo mujh se
apni chahat se toja se mujhay hal kar do

apne gum se kaho har wakat mere saath rahay
aik ahsaan karo is ko musalsal kar doo

mujh peh cahaa jaoo kisi aaag ki sorat janaaan
aur meri zaaat ko sookha howa jangal kar doo
 
.
main Khayaal huuN kisii aur kaa, mujhe sochataa koii aur hai
sareaaiinaa meraa aks hai, paseaaiinaa koii aur hai

main kisii ke dastetalab men huuN, to kisii ke harfeduaa men huuN
main nasiib huuN kisii aur kaa, mujhe maaNgataa koii aur hai

kabhii lauT aayeN to na puuchhanaa, sirf dekhanaa baDe Gaur se
jinhen raaste men Khabar huii ki ye raastaa koii aur hai

ajab aitabaarbaaitabaarii ke daramiyaaN hai zindagii
main kariib huuN kisii aur ke, mujhe jaanataa koii aur hai

vahii munsifon kii rivaayaten, vahii faisalon kii ibaaraten
meraa jurm to koii aur thaa, par merii sazaa koii aur hai

terii roshanii merii KhaddoKhaal se muKhtalif to nahiin magar
tuu qariib aa tujhe dekh luuN, tuu vahii hai yaa koii aur hai

my favourit :smitten:

Very nice poem... jiya tm ney kitni shayari kitaabein parh li hon gi wese ab tak ?? kabi apna shair bi kaha hai ??
 
. .
Very nice poem... jiya tm ney kitni shayari kitaabein parh li hon gi wese ab tak ?? kabi apna shair bi kaha hai ??

main shairi nahi kar sakty i know for this u need complete knowledge of urdu .......... and wesay i love to wite a novel but abhi tak us ma b nakam :cry::cry:
 
. .
i liked poetry myself once ..... but u know science subjects make u a little non literary type of prson
 
.
main shairi nahi kar sakty i know for this u need complete knowledge of urdu .......... and wesay i love to wite a novel but abhi tak us ma b nakam :cry::cry:

Aur I will love to make a film par Pakistan mein industry hi nahi hai :cry: :cry:
 
.
thora different mulahiza kijiya


Dhoop hi Dhoop ho, iss tarhan toot kar barsoo mujh per
main to sehra hon mujhy piyaar ka badal kar do

iske saaye mein mere khwab mahak uthenge
mere chahre pe umeedon bhara aanchal kardo

apne honton se koi mohr lagao mujh per
ek nazar pyar se dekho mujhey ghayal kardo

Apne ehsaas se choo ke mujhe sandal ker do
main k sadiyon se adhura hoon mukammal ker do

:)
 
. .
i liked poetry myself once ..... but u know science subjects make u a little non literary type of prson

Jo log boring subjects parhtey hain I guess they are more attracted towards things like poetry and music, guitars etc etc. just for entertainment and change of taste I guess
 
. .
Back
Top Bottom