What's new

Urdu & Hindi Poetry

I dont think so it is allams iqbals nazam
Magar jo bhi hai
مجہے اس سے سید علی صاحب یاد آجاتے ہیں

iqbal%2001.jpg


Haina @HRK @IrbiS

Waqai ye Iqbal ki tu nahi laag rahi ....
 
Main ne dekha hai baharoN mein chaman ko jaltay,
Hai koi khwaab ki tabeer batanay wala?
 
From a famous song, not exactly a poem, but still is poetry

@Hyperion promise, aaj ke liye last bar tang...kya keron hypey, sharam ko bulla bulla ke thak gayi hoon, atti hi nahi hai :lol: okok kidding, last time :p:

"Jaata kahaan hai deewane
Sab kuch yahan hai sanam
Baaki ke saare fasaane
Jhoote hain teri kasam

Fifi, kuch tere dil mein fifi
kuch mere dil mein Fifi
Zamaana hai bura...

Saiyyad hai tu magar
Mujhko na yun tann ke dekh
Nadaan zara ek baar
Qaidi mera ban ke dekh
Maano maano meri baat

Jaata kahaan hai deewane
Sab kuch yahan hai sanam
Baaki ke saare fasaane
Jhoote hain teri kasam"

:D :lol:
 
Arzz kiya hai.........

Kutte the uske pyar me...fir Kamine ban gye.....

Kutte the uske pyar me...fir Kamine ban gye.......

Laat jab mari usne to fir hum DEVDASO ke Nagine ban gye......

Wah Wah....Vaaaauuuuuhhhhhhh!!!
 
Arzz kiya hai.........

Kutte the uske pyar me...fir Kamine ban gye.....

Kutte the uske pyar me...fir Kamine ban gye.......

Laat jab mari usne to fir hum DEVDASO ke Nagine ban gye......

Wah Wah....Vaaaauuuuuhhhhhhh!!!

BOOOOOO!! itni burri shayyari, isse acha roses are red and violets are blue wali poem lik dayte :D

kidding arpy :p: wah wah kya baat hai!
 
BOOOOOO!! itni burri shayyari, isse acha roses are red and violets are blue wali poem lik dayte :D

kidding arpy :p: wah wah kya baat hai!

Bolo to AAP ke liye bhi ek arz karu Mohtarma :D
 
Oh no...only if you promise to be nice in it. Lol Okay go for it :D

abhi abhi banayi hai....toh not sure...........

Uff uski ye ada...uske ye POST.......
Uff uski ye ada....uske ye POST......

Sabko dikhta hai @ZYXW me apna pyara DOST!!! :D

Shukriya :D
 
abhi abhi banayi hai....toh not sure...........

Uff uski ye ada...uske ye POST.......
Uff uski ye ada....uske ye POST......

Sabko dikhta hai @ZYXW me apna pyara DOST!!! :D

Shukriya :D

awwwwwwww :smitten: that was incredibly sweet arpy. Thank you :P I was nervous before reading it tbh, but very sweet and funny.
 
1375080495_108.jpg

یُوں بھی لگا کہ تیرے سوا ہے ہی کچھ نہیں
دُنیا پہ چھا گئی تری صورت کبھی کبھی
وہ جس کو دیکھ دیکھ کے جی تنگ آ گیا
اچھی بہت لگی وہی صُورت کبھی کبھی
سچائی تو ہے یہ کہ زمانے کے حُسن میں
یاد آئی ہی نہیں تری صُورت کبھی کبھی
دُنیا کی اور بات ہے، دُنیا تو غیر ہے
ہوتی ہے اپنے آپ سے وحشت کبھی کبھی
سارا ہی وقت، سارے جہاں کے لیے عدیم

اپنے لئے بھی چاہیئے فُرصت کبھی کبھی

------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
عدیم ہاشمی کا اصل نام فصیح الدین تھا اور وہ یکم اگست1946ء کو بھارت کے شہر ڈلہوزی میں پیدا ہوئے تھے۔ عدیم ہاشمی کا شمار اردو کے جدید شعرا میں ہوتا تھا۔ ان کے متعدد شعری مجموعے شائع ہوئے جن میں ترکش، مکالمہ، فاصلے ایسے بھی ہوں گے، میں نے کہا وصال، مجھے تم سے محبت ہے، چہرا تمہارا یاد رہتا ہے، کہو کتنی محبت ہے اور بہت نزدیک آتے جارہے ہو کے نام سرفہرست ہیں۔ انہوں نے پاکستان ٹیلی وژن کے لئے ایک ڈرامہ سیریل ’’آغوش‘‘ بھی تحریر کیا اور مشہور ڈرامہ سیریز گیسٹ ہائوس کے لئے بھی کچھ ڈرامے تحریر کئے۔عدیم ہاشمی 5 نومبر 2001ء کو امریکا کے شہر شکاگو میں وفات پاگئے اور وہیں پاکستانیوں کے قبرستان میں آسودۂ خاک ہوئے۔
 
Main Baghi Hun By Shams.wmv | Tune.pk
Main baghi hoan

is daur k rasm riwaajon se
in takhton se inn tajoon se,
jo zulm ki kokh se jante hain,
insani khoon se palte hain,
jo nafrat ki bunyadain hain
aur khooni khet ki khadein hain,
main baghi hoon main baghi hoon
jo chahe mujh pe zulm karo

wo jin k hont ki jambish se,
wo jin ki aankh ki larzish se,
qanoon badalte rehte hain,
aur mujhrim palte rehte hain,
in choroon k sardaron se
insaaf k pahre daron se
main baghi hoon main baghi hoon
jo chahe mujh pe zulm karo


mazhab k jo byopari hain,
wo sab se bari bemari hain,
wo jin k siwa sab kafir hain,
jo deen ka harf-e-akhir hain,
in jhute aur makkaron se
mazhab k thekedaron se
main baghi hoon main baghi hoon
jo chahe mujh pe zulm karo

mere hath main haq ka jhanda hai,
mere sir pe zulm ka phanda hai,
main marne se kab darta hoon,
main moat ki khatir zinda hoon,
mere khoon ka suraj chamke ga
to bacha bacha bole ga
main baghi hoon, main baghi hoon
jo chahe mujh pe zulm karo

Habib Jalib

@jamahir @MaarKhoor @unleashed @waz
 
Back
Top Bottom