What's new

Urdu & Hindi Poetry

Ae jazba-e-dil gar main chaahoon, har cheez muqabil aa jaaye.
Manzil ke liye do gaam chaloon, aur saamne manzil aa jaaye.

Kashti ko Khuda per chhoR bhi de, kashti ka Khuda Khuda hafiz hai;
Mushkil to nahien in maujoon mein, behta huva saahil aa jaaye.

Ae dil ki lagi chal yuon hi sahi, chalata to hoon unki mahfil mein;
Us vaqt mujhe chaunka dena, jab rang pe mahfil aa jaaye.

Ae rahbar-e-kamil chalane ko, tayar to hoon par yaad rahe;
Us vaqt mujhe bhaTka dena, jab saamne manzil aa jaaye.

Haan yaad mujhe tum kar lena, aavaz mujhe tum de lena;
Is rah-e-muhabbat mein koi, darpaish jo mushkil aa jaaye.

Ab kyun DhounDhoon vo chashm-e-karam, hone de sitam bala-e-sitam;
Main chaahta hoon ai jazba-e-Gham, mushkil pas-e-mushkil aa jaaye.

Is jazba-e-dil ke bare mein, ek mashvara tum se leta hoon;
Us vaqt mujhe kya lazim hai, jab tujh pe mera dil aa jaaye.

Ae barq-e-tajalli kya tu ne, mujhko bhi Moosa samjha hai;
Main toor nahien jo jal jahoon, jo chaahe muqabil aa jaaye.

Poet: Behzad Lucknawi
 
0d5a2a2e9683754d67eddf176a8b52df.jpg
 
Last edited:
Sajdoun Ke Ewaz Firdous Mile Ye Baat Mujhe Manzoor Nahi
Be-Loss Ebadat Karta Hun Bandaa Hun Tera Mazdoor Nahi
IQBAL
 
Bagi or Bagawat

Jab Bagi .......
Bagawat se bagi ho jaye
Tu bagi mar jata hai
Bagawat Zinda rahti hai

Bagawat ko tu zinda rah na hai ke

Abi tak titliya urna nahi bholi
Bache muskarana, khilkhilana nahi bholey
ab bi bago main phool kilte hai
aur ankhoo main khuwab utar te hai

Ye Khowab magar chain se jeena nahi dey te
Ke ye hi tu Bagawat ki bunyaad hai
Khowab, khushboo, aur Bache
Ye hi tu hamara Kaal hai

Or Jaab Tak Kaal baqi hai
Bagawat Zinda hai Ke
Bagawat 'Kaal' main jeeti hai
magar 'aaj' se hoti hai, 'mojood' se hoti hai

Aur Aaj koi phir titlioo ke per Kutarna chahata hai
Pholoo ki khushboo, Bachoo ki muskarahat
or hamare khowab chora na chahata hai
Apne 'wajood' ko Khuda manwana chahata hai

Magar 'Mojood' ki Bandagi kesi
Or Bandagi ho tu bagawat kesi
Bandagi tu moot hai bagi Ki
magar bagawat zinda rahti hai ......

aik bagi marta hai tu
dosra bagi payda hota hai
hazir se bagi
mojood se bagi ....

Wo muskaran chahata hai,bachoo ki tarha
Wo bikarna chahata hai, Khushboo ki tarha
Wo guzar jana chahata hai, aaj ki tarha
Magar aaj beetta hi nahi

Kaal aata q nahi ?
kaal q har baar aaj main badal jata hai
q har baar aaj ka bagi
aaj main maar jata hai .... ???

Bagawat hi q haar baar zinda rahti hai....??
Bagi hi q haar bar maar jata hai .....???
Please pardon me friend but 'azad shairi' is something I never understood (despite sincere efforts) and as a result couldn't appreciate. You can't teach an old dog new tricks, true for me, azad shairi just does not go into my brain.
 
485510_661308313983513_2376700116273214848_n.jpg

ساحر لدھیانوی کے جب لتا منگیشکر کے ساتھ اختلافات ہو گئے تو ساحر نے ایک نئی گلوکارہ "سدھا ملہوترہ" کی طرف بڑھانا شروع کیا۔ اسی دوران "سدھا ملہوترہ" سے ان کے عشق کی داستانیں عام ہونے لگیں اور دونوں شادی کرنے کے لئے آمادہ بھی ہو گئے۔ مگر "سدھا ملہوترہ" کے والدین اس شادی کےخلاف تھے۔ لہٰذا انہوں نے "سدھا" کی شادی کہیں دوسری جگہ طے کردی۔

"سدھا ملہوترہ" کی ضد پر ہی ساحر اس کی منگنی میں شریک ہوئے اور انہوں نے وہاں بھری محفل میں اپنی مشہور زمانہ نظم "خوبصورت موڑ (چلو اک بار پھر سے اجنبی بن جائیں ہم دونوں)" سنائی جسے سن کر "سدھا ملہوترہ" دلہن بنی زار وقطار روتی رہی

چلو اک بار پھر سے اجنبی بن جائیں ہم دونوں
نہ میں تم سے کوئی امید رکھوں دل نوازی کی
نہ تم میری طرف دیکھو غلط انداز نظروں سے
نہ میرے دل کی دھڑکن لڑکھڑائے میری باتوں سے
نہ ظاہر ہو تمہاری کشمکش کا راز نظروں سے
تمہیں بھی کوئی الجھن روکتی ہے پیش قدمی سے
مجھے بھی لوگ کہتے ہیں کہ یہ جلوے پرائے ہیں
مرے ہمراہ بھی رسوائیاں ہیں میرے ماضی کی
تمہارے ساتھ بھی گزری ہوئی راتوں کے سائے ہیں
تعارف روگ بن جائے تو ا س کا بھولنا بہتر
تعلق بوجھ بن جائے تو اس کا توڑنا اچھا
وہ افسانہ جسے انجام تک لانا ناممکن ہو
اسے ایک خوبصورت موڑ دیکر چھوڑنا اچھا
چلو اک بار پھر سے اجنبی بن جائیں ہم دونوں

 
Reposted as the previous post was not appearing in the tread due 2 [ IMG ]command / code issue ...

Kya koi bata sakta hai keh yeh shayr kis poet ka hai?-

Hai Suraj Tujhay Maloom Kahan Raat Ka Dukh,
Tu Kisi Roz Mere Ghar Mein Uttar Shaam K Baad...!

Poet: Farhat Abbas Shah

.2.JPG
 
Back
Top Bottom