qsaark
SENIOR MEMBER
- Joined
- Sep 15, 2008
- Messages
- 2,638
- Reaction score
- 0
Sung by the Legendary Ustad Amanat Ali Khan. Ghazal was by Khwaja Haider Ali Aatish Lucknowi.
ye aarzuu thii, tujhe gul ke ruu-ba-ruu karte
ham aur bulbul-e-betaab guftguu karte
payaambar na mayassar hua, to Khuub huaa
zubaan-e-Ghair se kyaa sharaH-e-aarzuu karte
meri tarah se mah-o-mahar bhii haiN aavaara
kisii habiib kii ye bhi haiN justujuu karte
jo dekhtey terii zanjeer-e-zulf kaa aalam
aseer honey ki aazaad aarzuu kartey
na puuchh aalam-e-bargashta taala'aii Aatash
barastii aag, jo baraaN ki aarzuu karte
Read the following, my God.
jo dekhtey terii zanjeer-e-zulf kaa aalam
aseer honey ki aazaad aarzuu kartey
Last edited by a moderator: