What's new

....:::Shair O Shaery:::....

aivaan-e-adaalat me.n
Fehmida Riyaz


aivaan-e-adaalat me.n
patharaa_ii hu_ii aa.Nkhe.n
patharaaye hue chehare
patharaa_ii hu_ii saa.Nse.n
chama.De kii zubaano.n par
patharaa_ii hu_ii baate.n

[aivaan = house/palace]

fariyaad kaTaghare me.n
ro ro ke ta.Dapatii thii
qaanuun ke rakhavaale
kal le ke gaye jis ko
ab us ko yahaa.N laaye.n
vo naash to dikhalaaye.n

[fariyaad = plea; naash = dead body]

patharaaye hue chehare
ek dam ko_ii dil dha.Dakaa
sholaa-saa kahii.n bha.Dakaa
jab tak ki ko_ii samajhe
lo phuut bahe dhaare
aavaaze.n mile baaham
aur guu.Nj uThe naare
maasuum-sii jaano.n ke
betaab javaano.n ke
kyaa shor lahuu kaa thaa
kyaa guu.Nj thii naaro.n me.n

aivaan-e-adaalat me.n
patharaaye hue kamare
dam rok ke sunate the
jab surKh salaam aayaa
maqatuul kaa naam aayaa
ghuu.Nsaa-saa lagaa dil par
aa.Nkho.n se lahuu phuuTaa
jiite raho dil vaalo
patthar to ko_ii TuuTaa

[maqatuul = the murder victim]
 
.
apane dost ke liye
Fehmida Riyaz


ye zard mausam ke Khushk patte
havaa jinhe.n le ga_ii u.Daakar
agar kabhii in ko dekh paao
to soch lenaa
ki in me.n har barg ke namuu me.n
ziyaa.N gayaa arq shaaKh-e-gul kaa
kabhii ye sar_sabz ko.npale.n the
kabhii ye shaadaab bhii rahe hai.n
khule huye ho.nTh kii tarah narm aur shaguftaa
bahut dino.n tak
ye sabz patte
havaa ke relo.n me.n bebasii se ta.Dap chuke hai.n
magar ab ye Khushk ho rahe hai.n
magar ye ab Khushk ho chuke hai.n
agar kabhii is taraf se guzaro
to dekh lenaa
barahanaa shaaKhe.n havaa ke dil me.n ga.Dii hu_ii hai.n
ye ab tumhaare liye nahii.n hai.n


[barg = leaf; namuu = growth; ziyaa.N = lessening]
[arq = sweat/essential juice; barahanaa = naked]
[shaaKh = branch]
 
.
har qadam guraizan tha, har nazar main wehshat thi,
maslihat parastoon ki rahbari qayamat thi,

manzil e tamanna tak kon sath deta ha,
gard e sae la hasil har safar ki kismat ha,

aap hi bigarta ha, ap man bhi jata ha,
is guraiz pehlu ki ye ajeeb adat ha,

us ne hal pucha to, yad hi na ata tha,
kis ko kis se shikwa ha, kis se kya shikayat ha,

dasht main hawaoun ki be rukhi ne mara ha,
sheher main zamany ki pooch gach se wehshat thi,

yoon to din daharat hi log loot jaty hain,
magar un nigahoon ki or hi syasat ha,

hijar ka zamana bhi kya ghazab zamana tha,
ankh main samandar tha, dheaan main wo surat thi,
 
.
yea zindagi bari hajeeb see
kabi beezar se kabi gulzaar se

 
Last edited by a moderator:
.
Aaj Muddaton baad Kitab-e-maazi ko jo mene khola.....!!
sookhe hue gulabo ki mehak mein tera he aks nazar aya...........
..
 
.
Kese Dor-E-Jahalat Mein G Rahe Hein Ham "MOMIN"
Yahan Aadam Ka Beta Khush Hota Hai,
Hawa Ki Beti Ko Benaqab Dekh Kar
 
.
dasht main hawaoun ki be rukhi ne mara ha,
sheher main zamany ki pooch gach se wehshat thi,
 
. .
Raat yunh dil mein teri khoee
hui yaad aayee
Jaise veeraaney mein chupkey
sey bahaar aa jaye
Jaisey sehra on mein howley se
chaley baadey naseem Jaisey beemaar ko bey wajhey
Qaraar aa jaaye

English Translation

Last night, your lost memories
crept into my heart
as spring arrives secretly into a
barren garden
as a cool morning breeze blows
slowly in a desert as a sick person feels well, for
no reason.

By Faiz Ahmed Faiz.
 
.
Andhera mangnay aaya tha roshni ki bhekh
Hum apna ghar na jalatay to aur kia kartay

________________________________________

ab main samjha tere rukhsar pe til ka mutlab,
dolat-e-husn pe darban bitha rakha hai.

________________________________________

Andhera mangnay aaya tha roshni ki bhekh
Hum apna ghar na jalatay to aur kia kartay
 
.
Dunya bhi mili hai - Ghame Dunya bhi mila hai
Woh kyun nahin Milta Jisse manga Khuda se !
 
.
:::: LAFZ jab tak wuzu nahi kartey ,,,
:::: HUM teri guftagu nahi kartey,,

Hoti hei laakho ghamo ki dawa neend bhi magar ,,,
Hotey hein aisey gham bhi ke soney nahi dete,,

TUMHARA saath mujhey chahye tasalsul se,,
thakan zamaano ki lamho me kab utarti hei,
 
.
Bari Mushkil Say Sulanay Lagi Hoon Apni Ankhon Ko Teray Khawab Ka Lalach Day Ker-
Aj Ik Bar Khawab Mein Ajao Mere Ankhon Ka Aitbar Reh Jaye-
 
.
Had E Inteha Say Bohot Agay Tumhein Chaha Hai-
Hum Nay Wafa Say Bohot Agay Tumhein Chaha Hai-
Jahan Say Lout Anay Ka Rasta Nai Milta-
Us Raah Say Bohot Agay Tumhein Chaha Hai-
Un Say Kaho Jin Ki Nigah Mein Mohabat Gunah E Azeem Hai-
Hum Nay Gunah Say Bohot Agay Tumhein Chaha Hai-
Mohabat Mein Harf Ba Harf Mujhay Mangna Nahi Ata-
Mein Nay Adab E Dua Say Bohot Agay Tumhein Chaha Hai-
 
.
Yh Manzilein Yeh Rastay- Mere Her Khushi Teray Wastay-
Yeh Sukoon Bhi Or Yeh Qarar Bhi- Mere Ashqi Teray Wastay-
Kabhi Gham Na Teray Qareeb Ho- Tujhay Her Khushi Naseeb Ho-
Mere Iltija Teray Wastay- Mere Her Dua Teray Wastay-
Mere Dherkanein Mera Pyar Tu- Mere Zindagi Mere Jaan Tu-
Sabhi Chahatein Teray Wastay- Mere Her Khushi Teray Wastay-
 
.

Latest posts

Back
Top Bottom