What's new

Panama leak Case Proceedings - JIT Report, News, Updates And Discussion

Status
Not open for further replies.
Hmm.. Allah karay ke aisa hi ho..lekin kiya IK..PM ban sakta hai, 2018 main?

Waisy IK ka foreign funding wala case garbar hai... Banigala aur flat ke money yrail walay case main tu clean chit mil jayegi, for sure..but am worroed abt foreign funding case.. Us main CJ ke remarks bhi kuch achay nahi aarahay.. Aaj PTI ne shayad court ki jurisdiction bhi challenge kar di hai, us main..tu CJ ne PTI ke lawyer se...kaha ke kia..aap ke arguments siyasi qadd kaath ke hisab se hain?

Aisa koi ghatia qanoon hai, ke overseas Pakistanis paisa bhejain kisi party ko tou election commission allow nahi karti.. aur aik British Citizen apnay baap ko, jo ke unfortunately Pakistan ka wazeer e Azam bhi hai, 52 crore bhej de, tou koi masla nahi..
 
Pata nahi..ye sab kia chakkar hai? Lekin mujhe IK foreign funding case main phansta nazar aaraha hai :(
 
Sirf IK phansta tou masla nahi tha.. shayad poori party hi phans jaegi.. aur naam aur jhanda tabdeel kar ke doosray naam se aana parega..
 
Yeh solution nahi hoga.. Agar ek dafa adverse ruling aa gayi tu PTI aur uske members ki politics khatam...
Waisy samajh nahi aaraha.. Sab ko pata hai ke koi aisi foreign funding nahi horahi PTI ko... Sab se pehle tu MQM ko pakrein foreign funding par.. Lekin nahi.. Baqi sab halal... PTI haraam
 
Mazay ki baat yeh hai ke PTI ki foreign funding overseas Pakistani kartay hain.. jin ke baaray main pehlay din PMLN ke advocate ne kaha ke overseas Pakistanis ki hubbul watni mashkook hai..

Baqi, 1% ka masla hai, ke uss ke originators nahi pata chal rahay shayad..

mere khayal main minus 4 horaha hai..
 
1% ka kahin se pata chal jaye tu baat khatam hojaye..

-4 nahi horaha... Baqi tu plus horahay hain.. Atleast zardari tu wapis relevant horahay hain.. Altaf Hussain shayad wapis nahi aasaktay..lekin karachi op almost khatam hi hochuka hai.. Last few days main phir se police killings shuru hogayi hain.. I am really worried ke jaisy 95 ke baad phir purani situation wapis aagayi thee.. Whi na hojaye.. I dont think current army leadership has any focus on karachi and punjab operation.. Balke mujhe tu abhi tak unka focus samajh hi nahi aaya ke unka focus aakhir hai kahan?

Nawaz Sharif minus hosaktay hain. Lekin establishment Maryam Nawaz par agar agree kar jaye..,tu NS ke minus honay ka bhi faida nahi hoga
 
Yeh solution nahi hoga.. Agar ek dafa adverse ruling aa gayi tu PTI aur uske members ki politics khatam...
Waisy samajh nahi aaraha.. Sab ko pata hai ke koi aisi foreign funding nahi horahi PTI ko... Sab se pehle tu MQM ko pakrein foreign funding par.. Lekin nahi.. Baqi sab halal... PTI haraam
Funding agar koi foreign government kare to alag baat he.... who says ke non-resident Pakistanis cannot help a Pakistani party? Kya wo bahar rehne ki wajah se Pakkistani nahi rehte?
 
Overseas Pakistanis ke ilaawa shayad kuch foreigners ne bhi funding ki hai
 
Aik baat kahunga... is mulk me fair elections hona mushkil hain, bus ab dekhna ye he ke establishment kis ko lati he. At least noon to nahi aati
 
1% ka kahin se pata chal jaye tu baat khatam hojaye..

-4 nahi horaha... Baqi tu plus horahay hain.. Atleast zardari tu wapis relevant horahay hain.. Altaf Hussain shayad wapis nahi aasaktay..lekin karachi op almost khatam hi hochuka hai.. Last few days main phir se police killings shuru hogayi hain.. I am really worried ke jaisy 95 ke baad phir purani situation wapis aagayi thee.. Whi na hojaye.. I dont think current army leadership has any focus on karachi and punjab operation.. Balke mujhe tu abhi tak unka focus samajh hi nahi aaya ke unka focus aakhir hai kahan?

Nawaz Sharif minus hosaktay hain. Lekin establishment Maryam Nawaz par agar agree kar jaye..,tu NS ke minus honay ka bhi faida nahi hoga

PTI ka muaqqif bhi theek hai waisay.. Aitraaz 2011-12 ki funding pe hai.. jis ke audited statements 2013 ke elections se pehlay EC ko di gaeen, unhon ne clear kia aur phir party ko elections main hissa lene allow kia..

Abb PTI SC ko keh rahi hai ke yeh forum nahi hai..

EC ko keh rahi hai ke aap tou 2013 main clear karchukay thay.. phir dobara kyun sun rahay hain..

PTI thinks that since JIT is investigating PMLN, PMLN has opened frivolous cases so that the damage to its diminishing popularity can be controlled. PTI only wants that people focus on JIT. If people will hear about both the cases, they will say ke sab hi chor hain aur damage control hojaega..

Yeh baat main woh bata raha hun jo yahan fund raising kartay thay sahib (UAE main) unn ka kia muaqqif hai..
 
Kuch pata nahi.. Ke maryam bibi hi aajaye.. Yeh bhi bhtt possible hai
maryam to nahi aati jub tak NS ko clean chit nahi milti... kisi ne (shayad Mubashir Luqman ya Dr. Shahid) ne news di thi ke 2013 election ke liye USA ne malala ka naam tajweez kiya he
 
PTI ka muaqqif bhi theek hai waisay.. Aitraaz 2011-12 ki funding pe hai.. jis ke audited statements 2013 ke elections se pehlay EC ko di gaeen, unhon ne clear kia aur phir party ko elections main hissa lene allow kia..

Abb PTI SC ko keh rahi hai ke yeh forum nahi hai..

EC ko keh rahi hai ke aap tou 2013 main clear karchukay thay.. phir dobara kyun sun rahay hain..

PTI thinks that since JIT is investigating PMLN, PMLN has opened frivolous cases so that the damage to its diminishing popularity can be controlled. PTI only wants that people focus on JIT. If people will hear about both the cases, they will say ke sab hi chor hain aur damage control hojaega..

Yeh baat main woh bata raha hun jo yahan fund raising kartay thay sahib (UAE main) unn ka kia muaqqif hai..

Yeh sab baatein theek hai.. Lekin phir bhi jab PTI SC main jaa kar kahay gi ke ab aap yeh case nahi sunn saktay..tu logon main zuroor yeh perception jayega ke jaisy PML N courts se bhaag rahi hai, wohi PTI bhi karrahi hai..aur PML N ka maqsad bhi yehi dikhana hai... Infact agar PTI sab kuch SC main dikhaa dey..us se in dono parties main difference pata chalay ga aur PTI ki credibility barhay gi. Yeh sab bani gala aur offshore company walay case mian tu hosakta hai lekin shayad PTI ko bhi pata hai ke foreign funding case main garbar hai....chahy intentional na ho.. Lekin is liye hi woh technicalities ka sahara le rahay hain.. General public ko law ki samajh nahi aati..woh bas yeh dekhein ge ke PML N bhi courts se bhaag rahi hai aur PTI bhi
 
Status
Not open for further replies.

Pakistan Defence Latest Posts

Military Forum Latest Posts

Back
Top Bottom