What's new

Panama leak Case Proceedings - JIT Report, News, Updates And Discussion

Status
Not open for further replies.
I think JIT members will be changed.. sooner than later.. I hope I am wrong.

Aisa hona tu nahi chahye.. Agar sharif family ki reservations ki wajah se bench ne JIT members change kiye...tu PTI accept karay gi? Aur phir is bench ki kiya rahi sahi credibility reh jayegi ?
 
.
Aisa hona tu nahi chahye.. Agar sharif family ki reservations ki wajah se bench ne JIT members change kiye...tu PTI accept karay gi? Aur phir is bench ki kiya rahi sahi credibility reh jayegi ?

PTI ke accept karnay na karnay se kia farq parta hai.. Advocate ka faisla hoga yeh tou..

JIT lagta hai kuchh ziada hi acha kaam kar rahi hai..
 
.
PTI ke accept karnay na karnay se kia farq parta hai.. Advocate ka faisla hoga yeh tou..

JIT lagta hai kuchh ziada hi acha kaam kar rahi hai..

Mera khyal hai ke advocate ke liye bhi is hadd tak jana thora mushkil hoga ke PTI ki har request reject kar dein.. JIT reoprt public karnay ki bhi....aur sharf family ki unreasonable demand bhi accept kar lein jab ke kal woh khud JIT ki tareef kar chukay hain aur keh chukay hain ke humein wajid Zia aur unki team par aitemaad hai... I think..if advocate accepts this demand of sharif family...tu phir PTI ko apni petition wapis le leni chahye....

Kaash..is bench main Justice Gulzar hi hotay.. Justice Khosa beshak na hotay..ke unko PML N accept nahi karti kabhi bhi.. Lekin atleast Justice Gulzar zuroor hotay...so tht this was a balanced bench aur humein bhi is bench par bharosa hota.. Ab tu jo advocate chahtay hain, woh hota hai
 
. . .
Hussain Nawaz ko abhi aitmaad hi nahi JIT Members per!!

"Raja ji!! Is Hussain Nawaz nu chukk lo"
 
.
PTI ke accept karnay na karnay se kia farq parta hai.. Advocate ka faisla hoga yeh tou..

JIT lagta hai kuchh ziada hi acha kaam kar rahi hai..

Waisay I want to see your reaction if Advocate and Pakora decide to replace the current JIT members from SBP and SECP with the ones selected by Ishaq Dollar.. :lol:
 
.
Hussain Nawaz ko abhi aitmaad hi nahi JIT Members per!!

"Raja ji!! Is Hussain Nawaz nu chukk lo"

If PMLN are arguing that Hussain Nawaz can't be called by JIT, then who the heck is to object to it?

Waisay I want to see your reaction if Advocate and Pakora decide to replace the current JIT members from SBP and SECP with the ones selected by Ishaq Dollar.. :lol:

Firing squad? :D
 
.
Waisay I want to see your reaction if Advocate and Pakora decide to replace the current JIT members from SBP and SECP with the ones selected by Ishaq Dollar.. :lol:

Mera khyal hai ke advocate aur pakora ke liye bhi is limit tak jana mushkil hoga, Sharif family ko bachany ke liye.. Kiun ke JIT members...advocate aur pakora ne hi choose kiye hain.. Justice Khosa aur Gulzar ko bhi blame nahi karsaktay yahan par..ke unhon ne shohrat ke liye in members ko choose kiya tha... Ab kiya...apnay hi selected logon ko replace karsaktay hain?

Ch Ghulam Hussain ne aaj bataya hai ke England main jo Qazi family thee..unhon ne JIT ko khud voluntarily contact kiya hai ke hum statement dena chahtay hain JIT ko...he tells ke pehle Qazi family aayegi JIT main, phir Ishaq Dar aur phir baad main sharif family ko bulayein ge..aur yeh next report se pehle hoga sab
 
Last edited:
.
Ch Ghulam Hussain ne aaj bataya hai ke England main jo Qazi family thee..unhon ne JIT ko khud voluntarily contact kiya hai ke hum statement dena chahtay hain JIT ko...

Acha.. good. Aaj ka program bhi dekhna parega..

Lagta hai Aamir Aziz is at full throttle. lollll.

Biased aadmi hain Aamir bhai.

Firing squad? :D

Bomb blast... :lol:
 
.
Acha.. good. Aaj ka program bhi dekhna parega..

Lagta hai Aamir Aziz is at full throttle. lollll.

Biased aadmi hain Aamir bhai.

Bomb blast... :lol:

Mera khyal hai ke Chairman NAB ko head karna chahye JIT ko... Us main danyal aziz aur talal ch ko bhi chahein tu include kar lein.. PML N ..sirf is JIT par hi khush hosakti hai.. Aur haan.. Javed Hashmi ko bhool gaye hum log ..usay bhi include kar lein, as witness.. Javed Hashmi bataa dein ge ke Justice Khosa aur Gulzar ne unhein khud kaha tha ke IK ne humein judicial martial law lagany ko kaha tha....is liye unhon ne PM ke against faisla diya
 
Last edited:
.
Mera khyal hai ke Chairman NAB ko head karna chahye JIT ko...

:lol:

Us main danyal aziz aur talla ch ko bhi chahein tu include kar lein..

:omghaha:

Aur haan.. Javed Hashmi ko bhool gaye hum log ..usay bhi include kar lein as witness..

:rofl:

This was the reaction I wanted to see..

Khair, on a serious note, I think PMLN will say that the documents are not available in different jurisdictions as the law doesn't require to keep the record beyond certain number of years.
 
.
This was the reaction I wanted to see..

Main sach keh rahi hun.. Javed Hashmi se pooch lein beshak.. Woh bataa dein ge ke Justice Khosa aur Gulzar judicial martial law ke plan ka part thay.. Lekin sach ke alambardar logon ke IK ki makrooh sazish kamyaab nahi honay di.. Aur haq, insaf aur sach ki zinda misaal Advocate aur pakora judge ne IK ki judicial martial law ki sazish ko nakaam banaa diya..aur us plan ko dhabardoos kar diya.. Advocate aur pakora judge ko jamhooryat ke liye azeem khidmaat par presidential award dena chahye...

Khair, on a serious note, I think PMLN will say that the documents are not available in different jurisdictions as the law doesn't require to keep the record beyond certain number of years.

Yeh argument tu Talal Ch ne bhi kal geo ke ek prog main di hai ..jo aap keh rahay hain..

Infact Ch Ghulam Hussain ne yeh bhi abhi bataya hai ke Salman Akram Raja is trying to find legal clauses..ke Hasan aur Hussain Nawaz tu Pakistani citizens nahi hain..tu woh JIT ke samnay nahi pesh hosaktay... Aur phir advocate aur pakora judge ko tu aap jaantay hi hain.. Woh shohrat ke liye qanoon tu bech nahi saktay ......aur sharif family, jo unke hisab se waqayi bhtt sharif hai...unke huqooq par daaka nahi daal saktay.. Tu unka reaction tu Salman Akram Raja ki request par kiya hoga.....aap khud samajhdaar hain
 
.
Main sach keh rahi hun.. Javed Hashmi se pooch lein beshak.. Woh bataa dein ge ke Justice Khosa aur Gulzar judicial martial law ke plan ka part thay.. Lekin sach ke alambardar logon ke IK ki makrooh sazish kamyaab nahi honay di.. Aur haq, insaf aur sach ki zinda misaal Advocate aur pakora judge ne IK ki judicial martial law ki sazish ko nakaam banaa diya..aur us plan ko dhabardoos kar diya.. Advocate aur pakora judge ko jamhooryat ke liye azeem khidmaat par presidential award dena chahye...

Lolllll...

Javed Hashmi tou achay aadmi hain.. Unn ka dimagh thora kharab hogaya hai.. bass aur kuchh bhi nahi...

Uss dimagh kharabi main unhon ne PTI ke tickets 3 crore main bechnay ki koshish ki thi.. iss main unn ka koi qasoor nahi.. Dr. ka dimaghi kamzori ka certificate hai unn ke paas.. woh azeem siasatdaan hain.. unn ki dimaghi halat ki wajah se hum unn pe shak nahi karsaktay..
 
Waqayi..becharay masoom aadmi hain... Tickets 3 crore main bechnay ki koshish ki..tu kiya ghalat kiya? Unki bhi tu family hai.. Unki rozi roti ka khyal kon karay ga? Aap tu bas....unki family ke peechay parr gaye hain..

Aur ab agar har koi aa kar inhein apnay secrets bataa deta hai ke kon kis plan ka part hai... Tu sach bolnay par inhein kaisy blame karsaktay hain? Jo jo jamhooryat ke khilaf sazish karta hai..woh sab Javed Hashmi ko aa kar bataatay zuroor hain..ab in masoom aadmi ko aap phir bura samajhtay hain? Justice Khosa aur Gulzar ki bhi sari phone recordings aur saari secret meetings jo plan kartay honge..woh sab news sirf aur sirf Javed Hashmi ke pass hi hogi ... Koi dekhay na dekhay.. Hashmi tu dekhay ga
 
.
Status
Not open for further replies.

Military Forum Latest Posts

Country Latest Posts

Back
Top Bottom