What's new

Panama leak Case Proceedings - JIT Report, News, Updates And Discussion

Status
Not open for further replies.
SBP walay ko tou main janta hun.. woh shayad mujhay nahi jaantay hongay.. I met him a few times in early 2000s.. when I was working in an Audit firm and he was in NBP.. He completed CA from Ernst & Young I believe..

He was a kind of guy, who used to pick a figure in the balance sheet and tell his team that you need to investigate.. and always they found something.. Very sharp, strict and hardworking guy he is.. All of this according to people who worked with him.. When I met him, he inspired me very much with his skills and his rigid stance on certain issues, where he should have been strict...

Anyway, I am telling you about the days when I was in my early 20s and started my career.. and he was a VP.. uss age main log waisay hi impress hojatay hain.. Those who knew him used to tell others that his integrity couldn't be challenged. abb last 10 years main kia hogaya koi nahi janta.. Agar yeh wohi purana wala Amir Aziz hai, aur yeh tahayya karlay corruption unearth karne ka, tou sirf iss banday ko SC 5 junior resources audit firm se deday yeh nikaal laega sab kuchh..

Regarding SECP and NAB.. aik do din main bataunga.. Ummeed hai achay hi hongay..

Yeh Baghial kyun "Ban" hogaey? kisi ko idea?

Aap Aamer Aziz ki baat karrahay hain? Wohi hain na SBP ke? Waisy tu Haroon Rashid bhi keh rahay thay ke unke baaray main sunaa hai ke sakht aadmi hain.. Waisy tu ab mujhe Haron Rashood bhi kabhi kabhi noon leagui lagtay hain..crisis main hamesha support kartay hain PML N ko, subtly... Lekin Amir Aziz ke baaray main hi kal woh keh rahay thay ke suna hai ke sakht aadmi hain ..

Wajid Zia kaisy hain? Kuch pata hai? Honest honay ke saath..kia sakht bhi hiain?? Suna hai ke BB murder investigations main bhi thay...lekin woh tu abhi tak inconclusive hai..uska tu koi result nahi nikla..

Baghial bhai ka mujhe bi nahi pata ke kiun ban hogaye? Kal hi yahan dekha ke ban hogaye...
 
Dawn Leaks pe kuchh likhnay se mujhay sharam aati hai TBH..

Aap bhi mayoos hogaye..dawn leaks par...? Waisy main ne bhi ab us par ziada sochna chor diya hai.. Phir bhi aadat se majboor hun...ke phir khyal aajata hai ..is national security breach aur uske culprits ka...lekin kafi hadd tak sabar kar liya hai dawn leaks par..main ne bhi...

Rauf Klasra ki izzat barhti ja rahi hai meri nazar main..

Rauf Klasra ki izzat tu hamesha se thee hi.. Although i dont agree with his foreign policy views..lekin unki integrity par koi sawal nahi uthaa sakta..

Kal advocate ne tu saari limits hi cross kar dein.. Advocate ko IK ko..is tarah point out karnay ki koi zuroorat nahi thee.. IK ko point out karna yaad aagaya..lekin PML N walay jo Justice Khosa ke saath karrahay hain..unke baaray main jo baatein karrahay hain..woh nazar nahi aarahi unhein? Ke Justice Khosa ko kis yarah target karrahay hian? Kia kia nahi keh rahay? Aur woh jo hearing ke dauran bhi kehtay thay ke hum lonay ke chanay hain? Lekin advocate ne jo kal kaha..ke ek leader qoum ko gumraah karraha hai...jhoot bol raha hai... Advocate ne seriously saari limits cross kar dein kal...
 
Aap Aamer Aziz ki baat karrahay hain? Wohi hain na SBP ke? Waisy tu Haroon Rashid bhi keh rahay thay ke unke baaray main sunaa hai ke sakht aadmi hain.. Waisy tu ab mujhe Haron Rashood bhi kabhi kabhi noon leagui lagtay hain..crisis main hamesha support kartay hain PML N ko, subtly... Lekin Amir Aziz ke baaray main hi kal woh keh rahay thay ke suna hai ke sakht aadmi hain ..

Wajid Zia kaisy hain? Kuch pata hai? Honest honay ke saath..kia sakht bhi hiain?? Suna hai ke BB murder investigations main bhi thay...lekin woh tu abhi tak inconclusive hai..uska tu koi result nahi nikla..

Baghial bhai ka mujhe bi nahi pata ke kiun ban hogaye? Kal hi yahan dekha ke ban hogaye...

Haan main Amir bhai ki hi baat kar raha hun.. I think yeh wohi hain jo NBP main hotay thay early 2000s main..

Wajid Zia is an honest man.. BB murder case main tou suraagh hi nahi mil saka kuchh bhi.. Even foreign investigators bhi namuraad wapis gaey... iss main unn ka kia qasoor..

Aap bhi mayoos hogaye..dawn leaks par...? Waisy main ne bhi ab us par ziada sochna chor diya hai.. Phir bhi aadat se majboor hun...ke phir khyal aajata hai ..is national security breach aur uske culprits ka...lekin kafi hadd tak sabar kar liya hai dawn leaks par..main ne bhi...

Fawad Hasan Fawad ko chahay latka dain.. jab tak Maryam ko nahi pakrain ge.. yeh farman apply hoga:

تم سے پہلے کی قومیں اسی لئے برباد ہوگئیں کہ جب کوئی بڑا آدمی جرم کرتا تو اس کو چھوڑ دیتے اور جب معمولی آدمی جرم کرتا تو وہ سزا پاتا۔

Haan main Amir bhai ki hi baat kar raha hun.. I think yeh wohi hain jo NBP main hotay thay early 2000s main..

Wajid Zia is an honest man.. BB murder case main tou suraagh hi nahi mil saka kuchh bhi.. Even foreign investigators bhi namuraad wapis gaey... iss main unn ka kia qasoor..

BB murder main suragh lagana koi itna bhi mushkil nahi hai.. Sab se pehlay tu Zardari par shak jana chahye tha.. Sab se zoada faida tu zardari ka hi hua hai.. Lekin is angle se tu shayad kabhi investigatiion..kisi ne nahi ki

Waisy Wajid Zia kia apnay bosses ko no keh saktay hain? Kisi article main kuch din pehle jab JIT nahi bani thee...tab parha tha ke he is honest but weak... Ab hosakta hai ke kisi ne waisy hi jealousy main ye kaha ho... Pata nahi... I hope he is courageous and bold too, because he being the head of JIT, matters most

Waisy ISI aur MI ke wohi members hain, jo dawn leaks main thay.. I hope ke atleast yahan woh fair aur transparent role play karein

Fawad Hasan Fawad ko chahay latka dain.. jab tak Maryam ko nahi pakrain ge.. yeh farman apply hoga:

تم سے پہلے کی قومیں اسی لئے برباد ہوگئیں کہ جب کوئی بڑا آدمی جرم کرتا تو اس کو چھوڑ دیتے اور جب معمولی آدمی جرم کرتا تو وہ سزا پاتا۔

Yeh baat aap mujh se keh rahay hain?? :( :( main tu pehle din se keh rahi hun ke baji maryam ko saza zuroor milni chahye dawn leaks par.. Treason par maaf nahi karna chahye
 
Kal advocate ne tu saari limits hi cross kar dein.. Advocate ko IK ko..is tarah point out karnay ki koi zuroorat nahi thee.. IK ko point out karna yaad aagaya..lekin PML N walay jo Justice Khosa ke saath karrahay hain..unke baaray main jo baatein karrahay hain..woh nazar nahi aarahi unhein? Ke Justice Khosa ko kis yarah target karrahay hian? Kia kia nahi keh rahay? Aur woh jo hearing ke dauran bhi kehtay thay ke hum lonay ke chanay hain? Lekin advocate ne jo kal kaha..ke ek leader qoum ko gumraah karraha hai...jhoot bol raha hai... Advocate ne seriously saari limits cross kar dein kal...

Yeh shakhs bilkul bhi judge bannay ke qabil nahi TBH.. We have followed him since the proceedings started in January and till now he couldn't prove his impartiality..

Abb kia keh saktay hain..
 
Pakora judge bhi is jaisy hi hain bilkol.... Inn logon ko verdict ke baad se ab tak..jo Justice Khosa ke khilaf horaha hai..PML N ko taraf se.....woh bilkol nazar nahi aaraha? Aur IK ko keh rahay hain ke qoum ko gumrah karraha hai.. Kafi insulting words use kiye IK ke liye.. Nawaz Sharif ka koi jhoot abhi gak nazar nahi aaya lekin IK ko jhoota keh diya

Pakora judge ne kaha ke humein media aur social media ko qaboo karna aata nai...aakhir inhein kis cheez ka khouff hai?? Ye dono koi ajeeb hi cheez hain

Justicr Ijazul Ahsan bhi tu inke saath hain lekin unhein tu koi bura nahi keh raha.. He is a sane and balanced person.. Pata nahi...kahan..in dono ke darmyan phans gaye woh?
 
Waisy Wajid Zia kia apnay bosses ko no keh saktay hain? Kisi article main kuch din pehle jab JIT nahi bani thee...tab parha tha ke he is honest but weak... Ab hosakta hai ke kisi ne waisy hi jealousy main ye kaha ho... Pata nahi... I hope he is courageous and bold too, because he being the head of JIT, matters most

I think he is courageous too.. Lekin yeh pressure bhi koi halka phulka pressure nahi hai... I don't know kaun kaun surkhroo hokar niklay gaa..

Inn ko aur inn sabb ki families ko Pakistan main hi rehna hai.. aur sachi baat hai mujhay agli Government Mohtarma Maryam Nawaz ki lag rahi hai..

BB murder main suragh lagana koi itna bhi mushkil nahi hai.. Sab se pehlay tu Zardari par shak jana chahye tha.. Sab se zoada faida tu zardari ka hi hua hai.. Lekin is angle se tu shayad kabhi investigatiion..kisi ne nahi ki

Sirf shak se kuch nahi kia jasakta naa.. jitnay bhi gawahaan thay woh tou mar gaey.. Khair BB ke murder case se kisi bhi cheez ka mawazna karna mushkil hai..

Waisy ISI aur MI ke wohi members hain, jo dawn leaks main thay.. I hope ke atleast yahan woh fair aur transparent role play karein

TBH mujhay FIA aur SBP walon se ziada ummeed hai..

Yeh baat aap mujh se keh rahay hain?? :( :( main tu pehle din se keh rahi hun ke baji maryam ko saza zuroor milni chahye dawn leaks par.. Treason par maaf nahi karna chahye

Nahi unn sab ko point out kar raha hun jo har waqt hi positive rehtay hain, aur rehnay ki naseehat bhi kartay hain..

Nabi (SAW) se ziada ilm Allah SWT ki makhlooqaat main kisi ko bhi nahi tha, aur na hoga.. agar unhon ne qaum ki barbadi ke kuch usool bataey hain tou main aur aap aur yeh poora defence.pk subah yoga kar ke achay ki ummeed karay, ye na mumkinaat main se hai...

Pakora judge bhi is jaisy hi hain bilkol.... Inn logon ko verdict ke baad se ab tak..jo Justice Khosa ke khilaf horaha hai..PML N ko taraf se.....woh bilkol nazar nahi aaraha? Aur IK ko keh rahay hain ke qoum ko gumrah karraha hai.. Kafi insulting words use kiye IK ke liye.. Nawaz Sharif ka koi jhoot abhi gak nazar nahi aaya lekin IK ko jhoota keh diya

Pakora judge ne kaha ke humein media aur social media ko qaboo karna aata nai...aakhir inhein kis cheez ka khouff hai?? Ye dono koi ajeeb hi cheez hain

Justicr Ijazul Ahsan bhi tu inke saath hain lekin unhein tu koi bura nahi keh raha.. He is a sane and balanced person.. Pata nahi...kahan..in dono ke darmyan phans gaye woh?

Sab ka aik din aana hai, inn ka bhi aayega.. jab yeh sab se baray munsif ke saamnay pesh hongay..

Social media ko tou inn ka baap bhi control nahi karsakta.. NS ko inka baap hai, poora zor laga chuka hai.. woh kuch nahi karsaka tou yeh kia piddi aur kia piddi ka shorba..
 
TBH mujhay FIA aur SBP walon se ziada ummeed hai..

Mujhe bhi jab se pata chala hai ke dawn leaks main bhi ISI aur MI ke yehi log thay...ek ajeeb si feeeling horahi hai... Athough ke hosakta hai ke waqayi achi reputation ke bhi honge... Arif Hameed Bhatti bhi keh rahay thay ke in dono ki reputation achi hai bhtt... Aur dawn leaks main compromise shayad inhon ne apnay level par na kiya ho... Woh upar ke level ki baat hogi..lekin i hope ke yahan aisa bhi kuch na ho

Nahi unn sab ko point out kar raha hun jo har waqt hi positive rehtay hain, aur rehnay ki naseehat bhi kartay hain..

Nabi (SAW) se ziada ilm Allah SWT ki makhlooqaat main kisi ko bhi nahi tha, aur na hoga.. agar unhon ne qaum ki barbadi ke kuch usool bataey hain tou main aur aap aur yeh poora defence.pk subah yoga kar ke achay ki ummeed karay, ye na mumkinaat main se hai...

Ye baat bilkol sahi ki hai aap ne... Main bhi bhtt dafa ye Hadith point out karchuki hoon.. Aur ye hadith saaray NROs ke opposite philosophy paish karti hai.. Is hadith se saaf pata chalta ka iske mafhoom ke mutabiq..NROs qoumon ki tabahi ki wajah hain

@PakSword
 
IK ko kia hona hai.. uss ne aisi be izzatiaan kafi baar sahi hai.. I first voted for him in 2002 (and that was my first election after becoming eligible)... mere halqay se uss ne 29 votes liey thay shayad.. jeetnay wala MQM ka ummedwar over 100,000 votes le ke kaamyaab hua tha..

Aaj Altaf Hussain kahan hai aur IK kahan.. Allah jisay chahay izzat de.. Yeh judge waghaira.. chhotay motay opportunists.. 4,5 crore main biknay walay.. uss shakhs ka muqabla karaingay.. jo 300 million pounds chhor kar aagaya..
 
Sab ka aik din aana hai, inn ka bhi aayega.. jab yeh sab se baray munsif ke saamnay pesh hongay..

Social media ko tou inn ka baap bhi control nahi karsakta.. NS ko inka baap hai, poora zor laga chuka hai.. woh kuch nahi karsaka tou yeh kia piddi aur kia piddi ka shorba..

In teen judges main se sirf Justice Ijazul Ahsan se hi umeed hai... Wh balanced aadmi hain.. Kal unhon ne govt instituitions ke heads ke against baat ki.. Baqi tu IK aur media ke peechay paray huay thay.. Main tu heraan houn ke baqi dono ne JIT ke liye honest log bhi kaisy aur kis dil se choose kiye?? Lekin ye bhi hosakta hai ke agar doubtful kog choose kartay tu inka bias bhtt ziada open hojata
 
Last edited:
Mujhe bhi jab se pata chala hai ke dawn leaks main bhi ISI aur MI ke yehi log thay...ek ajeeb si feeeling horahi hai... Athough ke hosakta hai ke waqayi achi reputation ke bhi honge... Arif Hameed Bhatti bhi keh rahay thay ke in dono ki reputation achi hai bhtt... Aur dawn leaks main compromise shayad inhon ne apnay level par na kiya ho... Woh upar ke level ki baat hogi..lekin i hope ke yahan aisa bhi kuch na ho

I know, both of them are extremely good officers.. jabhi tou aaj tak ummeed laga kar betha hun ke mujhay report dekhni hai sirf..

Khair as you said.. ke agar upar ke level pe compro hojaey tou PA main tou koi aik inch idhar udhar nahi hosakta.. wahan integrity se ziada order pe amal karna ziada zaroori hai..

Abhi main jazbaat main koi baat likh dunga aur ban hojaunga.. iss liey iss topic ko tou rehnay hi dain..
 
IK ko kia hona hai.. uss ne aisi be izzatiaan kafi baar sahi hai.. I first voted for him in 2002 (and that was my first election after becoming eligible)... mere halqay se uss ne 29 votes liey thay shayad.. jeetnay wala MQM ka ummedwar over 100,000 votes le ke kaamyaab hua tha..

Aaj Altaf Hussain kahan hai aur IK kahan.. Allah jisay chahay izzat de.. Yeh judge waghaira.. chhotay motay opportunists.. 4,5 crore main biknay walay.. uss shakhs ka muqabla karaingay.. jo 300 million pounds chhor kar aagaya..

Sab se bari baat ke IK ko tu chorein..inhein apnay colleagues ki izzat ka bhi khyal nahi.. Kal keh rahay thay ke aasman giray ya zameen..hum qanoon ke mutabiq faisla karein ge.. Hm popular faisla nahi karein ge..hum ne aaiin aur qanoon ke mutabiq faisla senay ka half uthaya hai... Ye popular faisla karnay wali baat kis ko target karrahay thay? Justice Khosa aur Justice Gulzar ko, obviously.. Kia yeh kehna chah rahay thy ke baqi dono ne ghair aayiini aur ghir qanooni faisla diya..popular faisla diya sirf? Justice Khosa aur Gulzar ne tu jaisy ghair aaiinii faislay denay ka half uthaya hai..ye tu yehi kehna chah rahay thay shayad
 
Kyun? Inhain yaqeen hai ke inn ka NS ke khilaaf faisla popular nahi hoga? Kyun popular nahi hoga? 50% log tou usay hi vote detey hain.. phir kyun popular nahi hoga? IK aur Jamaat e Islami ya Sh. Rasheed ko tou kul mila ke bhi 25% se kam vota partay hain.. tou popular faisla tou inn ka apna hua..

Aur popular faisla tou woh hua jis pe Qaumi Assembly main over 60% log inn ke faislay ke haq main taqreerain karaingay?

I don't know yeh log kyun keh rahay hain aisa.. Acha yaad aaya.. shayad iss liey keh rahay hain ke parhi likhi awaam jo ke faisla parh kar samajh sakti hai.. uss main tou popular nahi hoga.. waqai nahi hoga..

Juhala ko tou waisay bhi farq nahi parta.. faisla kuchh bhi aaye unhon ne tou PMLN ko hi vote dena hai..

Bad tareen judge kehlaeingay aap dekh lijiey ga.. history ke badtareen.. Bhutto ko phansi dene walay judge bhi peechay reh jaeingay iss se..
 
Aray aap ko pata hai..ke noonies Justice Khosa ke baaray main kia keh rahay hain?loll woh aisi baatein karrahay hain ke Justice Khosa jamhooriyat ke dushman hain..inhein har jamhoori wazir e azam bura lagta hai :lol::lol:
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top Bottom