What's new

Panama leak Case Proceedings - JIT Report, News, Updates And Discussion

Status
Not open for further replies.
Chairman NAB agar mujhay kabhi mil gaya tou main usay apnay haath ki bani huee Nihari khilaunga... lollll..

Waisy aap ka khyal hai ke us ne yeh sab kisi ke kehnay par kiya hai... Mujhe lagta hai ke bewaqoofi main kiya hai..shah se ziada shah ka wafadar ban kar

Waisy suna hai ke aaj kal kaafi shufflings karrahay hain woh NAB main officers ki.l. Apna future tu shayad unhein nazar aaraha hai panama case ke faislay main.lke ab unhein jaana hi hoga.. Lekin shayad woh sharif aur zardaris ke loyal officers top posts par bithaa kar jayein ge
 
.
Flats was bought in 2006... he was not holding any office than

Judges ne kaha proof lao ke flats 2006 main khareeday thay.. :) kuchh nahi diya gaya..

Bhai if you have any links to Shareef family, mera aik paighaam pohncha dena unn ko.. mujhay bohat shoq hai ke main apna sar fakhar se buland kar ke chal sakun aur keh sakun ke mera PM chor nahi hai.. iss liey merey PM ko chahiey ke jo jo SC ne maanga woh docs SC ke hawalay karday.. plzzz.

Waisy aap ka khyal hai ke us ne yeh sab kisi ke kehnay par kiya hai... Mujhe lagta hai ke bewaqoofi main kiya hai..shah se ziada shah ka wafadar ban kar

Bilkul kehnay par kia hai.. 100 % kehnay par kia hai.. :)
 
. .
Agar buhat ziada hua tou SC yeh keh sakti hai ke "aap Baddiyanat hain".. Baqi mujhay tou sachi baat hai commission main jata dikhai de raha hai yeh case.. lekin Chairman NAB ki wajah se NS ko suspend karna parega SC ko..

Agar SC kuch na karay...sirf hearing ke dauran walay remarks hi likh de..tab bhi election commission main 62/63 ka case ban jayega shayad....

Waisy jitna delay horaha hai faisla... Ab mujhe lagta hai ke shayad, shayad commission ki taraf baat na jaye..aur available material par hi faisla de dein.. Justice Khosa ne jo kaha hai ke 99% evidence unverified hain..aur hum dono taraf ki evidence ko ek hi standard se dekhein ge.. Mera khyal hai ke woh khud hi in. Documents ko dekh kar faisla karein ge.. Shayad commission ki taraf na bhi jayein..... Warna pehle hi din short order main commission ka keh dete aur nawaz sharif ko suspend kar dete..ke aap ki mojoodgi main sahi inquiry nahi hosakti. Ye bhtt asaan hota unn ke liye.....agar unhon ne ye faisla socha hota..tu pehle hi din short order de dete...

Lekin jo unhon ne kaha hai ke hum case ko har zaawye se dekhein ge tu mujhe lagta hai shayad direct verdict bhi de dien, jo samajh aaye unhein... Aur ishaq dar ka hudaibia wala case reopen kar dein..bas..
 
. .
Bilkul kehnay par kia hai.. 100 % kehnay par kia hai.. :)

Is it news or your assumption? Kiun ke mujhe lagta hai ke kabhi kabhi log....shah se ziada shah ke wafadar bannay k chakkar main..bhi marwaa detay hain..... Apni taraf se favor karrahy hotay hain lekin blunder kar jaatay hain
 
Agar commission main chala gaya na yeh case, aur mojuda SC ke judges par mushtamil commission hua, tou na sirf NS disqualify hoga, balkay jail bhi jaega.. Plus, Ishaq Dar bhi jail jaega aur Maryam London jaegi hamesha ke liey... Iss case ka commission itna khatarnaak hoga... Lekin only after suspension of NS..

Waisay main sahaafi tou nahi hun lekin shhoti moti ulti seedhi khabrain kaheen na kaheen se pata chalti rehti hain..

Aik yeh NAB chairman wali baat aur aik woh Arshad Shareef wali baat.. woh buhat hi terhi hai.. uss ki khoj main laga hua hun aaj kal.. kaheen se koi pakki khabar nahi mil rahi.. @Farah Sohail
 
.
Aap aaj bhtt din baad nazar aaye?

Waisy..wheres @Emmie ? Havent seen him since many many days... Woh tu hearing ke ending days main bhi nahi thay..kahan hain?

hum bas silent observer banay huay hain aaj kal, appky analysis sy mehzooz hotay rehtay hain :D

@Emmie Sir tou ab faislay walay din hi namodaar hongy lagta hai :D
 
.
Agar commission main chala gaya na yeh case, aur mojuda SC ke judges par mushtamil commission hua, tou na sirf NS disqualify hoga, balkay jail bhi jaega.. Plus, Ishaq Dar bhi jail jaega aur Maryam London jaegi hamesha ke liey... Iss case ka commission itna khatarnaak hoga... Lekin only after suspension of NS..
..

Agar commission bana tu mujhe lagta hai ke jo judges is bench ka hissa hain..woh tu commission main nahi hongr... Commission main is bench ke ilaawa koi aur SC k judges honge... Aur agar commission bana. ..tu i hope ke phir us commission main Justice Qazi Faiz Isaa zuroor hon... He is a very daring and bold judge... Aaj kal woh sindh govt ke peechay paray huay hain, loll.. He is even Rauf Klasra's fav judge.. Yeh theek hain ke agar banaa hi..tab Allah karay Justice Qazi Faiz Isa usay head karein...

Ek commission na bannay ki wajah ye bhi nazar aati hai ke jab Attorney General ne kaha tha ke session court bhej dein ye case...tab Justice Khosa ne remarks diye thay ke aap ko lagta hai ke jo cheezein SC ko provide nahi ki gayeen..woh session court ko ki jaayein gi? Tu mujhe lagta hai ke judges ki spch hogi ke bas jo milna tha..mil gaya...ab is main se hi faisla karo... Ye log aur kuch provide nahi karein ge... Aur ye karsaktay hain ke ..Ishaq dar ka hudaibia mills wala case reopen kar dein

Waisay main sahaafi tou nahi hun lekin shhoti moti ulti seedhi khabrain kaheen na kaheen se pata chalti rehti hain..

Aik yeh NAB chairman wali baat aur aik woh Arshad Shareef wali baat.. woh buhat hi terhi hai.. uss ki khoj main laga hua hun aaj kal.. kaheen se koi pakki khabar nahi mil rahi.. @Farah Sohail

Waisy waqayi...woh Arshad Sharf wali baat waqayi bhtt terhi hai.. Us ke baaray main koi ka hi khabar hai tu wohi share kar dein..ke ye kia chakkar tha? Jis par koi ISPR ka koi respponse bhi nahi aayi...warna har choti se choti khabar par response aajat hai..aur ye itni bari khabar? Woh bhi ek mainstream anchor ne di? Koi urti urti kachi khabar hi share karein???
 
.
Ek commission na bannay ki wajah ye bhi nazar aati hai ke jab Attorney General ne kaha tha ke session court bhej dein ye case...tab Justice Khosa ne remarks diye thay ke aap ko lagta hai ke jo cheezein SC ko provide nahi ki gayeen..woh session court ko ki jaayein gi? Tu mujhe lagta hai ke judges ki spch hogi ke bas jo milna tha..mil gaya...ab is main se hi faisla karo... Ye log aur kuch provide nahi karein ge... Aur ye karsaktay hain ke ..Ishaq dar ka hudaibia mills wala case reopen kar dein

Commission tou sirf mossack fonseca ke docs ko verify karnay ke liey banega.. Sirf woh agar verify hogaey, aur Ishaq Dar walay bayaan ke saath jo raseedain lagi huee hain woh consider karleen (jo ke zaroor hongi consider) tou poora tabbar mae susralion (Ishaq daar waghairahum) gaya kaam se... uss se pehlay inn ka naam ECL main daalna zaroori hoga..
 
.
hum bas silent observer banay huay hain aaj kal, appky analysis sy mehzooz hotay rehtay hain :D

@Emmie Sir tou ab faislay walay din hi namodaar hongy lagta hai :D

Lollll...mere analysis? Main tu bas bolti hi rehti hoon..wohi cheezein repeat karti rehti hun roz..:lol::lol: Aap kiun silent observer banay huay hain?
 
.
Waisy waqayi...woh Arshad Sharf wali baat waqayi bhtt terhi hai.. Us ke baaray main koi ka hi khabar hai tu wohi share kar dein..ke ye kia chakkar tha? Jis par koi ISPR ka koi respponse bhi nahi aayi...warna har choti se choti khabar par response aajat hai..aur ye itni bari khabar? Woh bhi ek mainstream anchor ne di? Koi urti urti kachi khabar hi share karein???

Aik chhoti si aayee thi urti urti ke yeh drama jaan boojh kar khela gaya tha kyun ke nooni goons ki yeh aadat hai ke jab woh kisi maslay main phanstay hain, forum establishment pe ilzaam daaltay hain..

Thoray din sabar karain doodh ka doosh aur paani ka paani hojaega in shaa Allah...
 
.
Commission tou sirf mossack fonseca ke docs ko verify karnay ke liey banega.. Sirf woh agar verify hogaey, aur Ishaq Dar walay bayaan ke saath jo raseedain lagi huee hain woh consider karleen (jo ke zaroor hongi consider) tou poora tabbar mae susralion (Ishaq daar waghairahum) gaya kaam se... uss se pehlay inn ka naam ECL main daalna zaroori hoga..

Agar sirf yehi hua..scope commission ka..tab theek hai,,aur is ke liye tu 2 weeks se ziada nahi lagnay chahye...2 weeks ka time dein maximum commission ko... Aur i hope ke Justice Qazi Faiz Isaa usay head karein.. Hmm..aur iske liye sharif fanily ko ECL main daalna zuroori hoga ... Waisy suna hai ke Maryam bibi bhi england main kuch documents ke chakkar main bhi gayi theen...fake documents.banwaanay..in case ke agar commission in se kuch aur documents maangay tu..
 
.
Agar establishment ne koi msg nahi pohanchaya...tu judges ko kia pari hai ke woh 23rd March tak ka intezar karein? Mera nahi khyal ke judges khud hi ..23rd March ka intezar karrahay hain....judges ko 23rd March se kia farq parta hai? Establishment ko hi 23rd March aur security se farq parr sakta hai

I think, 23rd March ke baad hi aayega faisla ab

A journalist from Geo

Verdict is ready can come anytime I beleive before 23rd march .
 
.
Not again ... There has been pages upon pages on money laundery laws in various countries including comparison with Pakistan NAB laws in these 270 pages!

@Mrc please go through these. I think you were part of those posts as well!?
 
.
Status
Not open for further replies.
Back
Top Bottom