Farah Sohail
SENIOR MEMBER
- Joined
- Mar 2, 2012
- Messages
- 7,228
- Reaction score
- 4
- Country
- Location
Bilkul theek kia ke Kulsoom ko phone kia aur Justice Khosa ko nahi kia.. aur yeh bhi hosakta hai ke kia ho, lekin uss ki tash'heer nahi ki ho.. khair na hi kia ho tou behtar hai.. iss se ziada aur kia msg bhejain nooni toons ko ke tum log jo establishment establishment ka rona ro rahay ho.. woh bekar ki baat hai.. asal main tou establishment tumharay saath hai..
Kisi ko kisi ke phone karnay ya na karnay se farq nahi parta lekin hamari qaum inn baaton ko bohat saadgi se samajhti hai.. abb dekhain.. aap khud apnay aap ko dekhain ke aap ko kia perception gaya hai? ke establishment NS ke saath hai.. isi tarha kafi aur logon ke zehen main bhi yehi baat aayee hogi jo aap keh rahi hain.. iss se NA 120 ke result main 2-3 percent ka farq parsakta hai tou kia bura hai?
tou yeh tou aur bhi buri baat hai NS ke liey.. NS tou abhi apnay aap ko farishta sift sabit karnay par laga hua hai ke main aik akela aadmi establishment aur judiciary ki saazish ke khilaaf larr raha hun.. iss baat ko kitna nuqsaan pohncha hoga..
Aik baat Imran Khan Pakora judge ke paas flowers le kar chalay gaey thay.. iss se kafi kharab perception gaya tha ke shayad IK aur judge kuchh mil kar rahay hain.. iss baar IK ne danishmandi ka saboot detay huay, Justice Khosa ki ayadat nahi ki.. buhat acha kia.. kyun ke the last thing Justice Khosa wants is an impression about him that he is dearer to establishment and PTI.
Yehi tou main keh raha hun.. aap bataein iss se achi aur kia baat hosakti hai ke poori nooni duniya ko yeh msg jaey ke NS jo daily ro raha hai ke establishment isay nikalwaya hai, woh ghalat baat hai, aur NS jhoot bol raha hai.. At least I see it as a good sign.. Aur agar peechay yeh msg pohanchwadia jaey judiciary ko ke hum aap ke saath hain??
Aray baat sirf perception ki hi nahi hai.. Establishment agar isay help na karrahi hoti tu ye itni asaani se bahar chala jaata..itnay confidence ke saath?
Aur aap keh rahay hian ke achi baat hai.. Agar establishemnt isay waqayi..help karrahi hai ke isay safe exit mil jaye..Aur isay jail na ho..tu yeh achi baat hai?
Aur aap jo keh rahay hain ke agar instituitions aur logon ko sirf perception bhi jaa raha hai..ke establishment Nawaz sharif ko safe exit de rahi hai.ltu jo log..aur instituitions like lower judiciary...Aur doosray log..hawaoun ka rukh dekhtay hain ..tu woh bhi NS ki taraf inclined hojayein ge...ke NRO mil raha hai..tu hum bhi iss par soft hojayein... Tu yeh achi baat hai..kia?
NA-120 main agar voters ko aur EC ko yeh perception jaata hai ke establishment bhi NS ko safe exit de rahi hai..t wohi baat ke jo log aur instituitions hawaaoun ka rukh dekhtay hain..woh bhi NS ke liye khud ba khud soft hojayein ge.. Waisy t woh pehle se hi Nawaz sharf ki pocket main hain..lekin rahi sahi kasar bhi poori hojayegi agar sab ko lagay ke bas isay safe exit mil gaya hai..aur NRO horaha hai iske saath
Aur ye jo sach aur jhoot ki baat hai ke NS aisy hi sazish ka rona ro raha hai...aur establishment tu asal main isske saath hai..tu voters kahien ge ke ye joot bol raha hai.. Aap ka kia khyal hai ke nawaz sharif ke voters ..itna sochein ge? Jo panama case ke baad bhi ..NS ko sacha samajhtay hain..woh sirf is baat par kiya nawaz sharif ko jhoota samjhein ge?
Ye NRO ka perception jo ke mujhe tu filhal establishment ki hadd tak haqeeqat lagti hai..har tarah se nuqsan det hai..kiun ke baqi instituitions phir khud ba khud is perception ki wajah se NS aur family par soft hojayein ge.. Aur pata chalay ke sirf iss perception ki wajah se hi woh bach jaye..accountability court se...aur lower judiciary se..
Don't make your mind as of yet.. just wait till 15th and then we will together bash him.. if things come out fishy..
Hmm.. Main bhi wait karrahi hun..15th september tak....Asal main mujhe Justice Ijazul Ahsan itnay ziada pasand thay..ke main abhi bhi poori tarah inn par shak nahi kar paa rahi... Kahin na kahin..inhein thora sa benefit of doubt denay ka dil chah raha hai..although ke inn ka role abhi tak..as monitoring judge bhtt ziada disappointing raha hai..
Lekin..ab bas 15th sept tak dekhtay hain.. 15th sept last date hai... Is waqt tak wait kartay hain ..dekhtay hain ke 15 tak kia hota hai? Agar 15th tak bhi kuch nahi hota..phir tu bas...