What's new

Panama Case - Post Verdict Discussion and Updates

So u think...NRO/deal has been reached already? But SC ki apni credibility ka kia hoga? Already ppl hv started to talk abt SC role in media.. If they let sharifs go...and enter into an pbvious deal..inki apni credibility zero hojayegi... Aur agar aisa hua ya hochuka hai..tu uske main architect kon honge.. Ye tu main pehle hi bataa chuki hoon ..hum sab ke pyaray raaj dulaaray ..Bajwa sb
Sharief will not go outside for long ... in case he leave ge will loose grip further ... unlike PPP , PMLN consists of mostly selfish people who will leave NS the moment they feel he and his brother has no chance
 
Main tou airport se mithai le kar aagaya tha waisay bhi.. aaj se kafi din pehlay.. aur yahan apna ghussa utaar bhi diya tha.. abb tou aap sab ke ghussa karnay ki baari hai..

Sir me ghussa nahi karta esi baaton me jab tak be gunah ka khoon na tapke.

Janay do...

Economic terrorists hain ye. Koi Asylum nahi dega lol
 
No brother ... it was just on lighter node ... haan NS ager ay yahan bina protocol k tu uska bandobast hum Karachi waly bina bori k ker dn gy ... lolzzz just kidding
Yr ap log dara rahe ho ya Karachi is still like that?
 
Sharief will not go outside for long ... in case he leave ge will loose grip further ... unlike PPP , PMLN consists of mostly selfish people who will leave NS the moment they feel he and his brother has no chance

Of course he will not. I have also written that it is a temporary phase, until constitutional amendment is done and Justice Khosa finishes his term.
 
No brother ... it was just on lighter node ... haan NS ager ay yahan bina protocol k tu uska bandobast hum Karachi waly bina bori k ker dn gy ... lolzzz just kidding

Wah bhai

Lighter note pe bhi bori or lifafa.

Chalen bura maan jatay hai ap log isliye kuch nahi kehta
 
Sir me ghussa nahi karta esi baaton me jab tak be gunah ka khoon na tapke.

Janay do...

Economic terrorists hain ye. Koi Asylum nahi dega lol

Jin ke paas passports hon, unhain asylum ki kia zaroorat? Passport holders ke beemaar parents ko tou waisay hi extended visa mil jata hai..

Keh dein..ye jhoot hai...plzzzz :( :( :( :(

Everyday is a new day. Tomorrow, you may see police knocking at the door of Mr. NS on the instruction of Mr. Justice Aijaz ul Ahsan. Till now, chances of such happening is low.

Aur Kulsoom ke election jeetnay ke chances kafi ziada hain abb,
 
Jin ke paas passports hon, unhain asylum ki kia zaroorat? Passport holders ke beemaar parents ko tou waisay hi extended visa mil jata hai..

Sir inke paisay lelo.

Awaam Tob Tek ho ya Thokar Niyaz ya champs Elysees ya Trafalgar Square.

Pakistani har jagah hai
 
Tou SC Bajwa ke kehnay se chalti hai? Aisi SC ko tou doob kar marjana chahiey.. kisi sailaab main..

Keh tu aap theek rahay hain ke aisi SC Ko chullo bhar paani main doob jana chahye.....lekin Kar waa li hogi koi deal.. Allah jaanay kia hui hai deal?

Is liye tu main keh rahi thee ke mujhe jitna ghussa SC Par aaraha hai...kisi aur par nahi,. PPP aur PML N par bhi nahi aaraha.. Justice Ijazul Ahsan se main aisa kuch bhi expect nahi karsakti thee... I am highly disappointed

Main ab apni theory par aur ziada firm hogayi hun... Ke agar Justice Khosa aur Gulzar ne disqualify na kia hota..inn 3 judges par itna pressure na aaya hota.. Aur Justice Khosa aur Gulzar ki popularity ke baad inhein apni credibilit establish karni thee..is liye inhon ne JIT ke achay officers select kiye....aur achi tarah monitor kiya.. Lekin shayad inn judges ko bhi andaza nahi hoga ke JIT itna kuch le aaye gi.. JIT report k baad inn 3 judges ke pass koi option nahi raha..other than to disqualify NS.jab ke 2 judges pehle hi karchukay thay.. Agar ye 3 ab bhi disqualify na kartay t bht ziada badnaam hotay..

Allah bhala karay Justice Khosa aur Gulzar ka...unki wajah se ye maamlaat yahan tak bhi pohanch gaye.. Agar woh disqualify na kartay tu 3 judges kabhi itni achi JIT na banaatay..uske baad Allah bhala karay JIT members ka..jinhon ne expectations se barh kar kaam kiya..aur z3 judges ke pass koi option nahi raha..

Ab jab ek hadd tak inn judges ne apni credibilit banaa li...t ab ban gaye honge kisi deal ka hissa....."kisi" ke kehnay par
 
Sir inke paisay lelo.

Awaam Tob Tek ho ya Thokar Niyaz ya champs Elysees ya Trafalgar Square.

Pakistani har jagah hai

Paisay tou dene paraingay..

Inkay liey gaey qarzon par sood inhi ke paison se ada hoga.. .
 
Dua karain ke NS ke jaanay se pehlay achanak subah munh dhotay huay Justice Aijaz ul Ahsan mirror dekhain, kuchh sharam karain aur SC main subah order de kar dopeher ko NAB ko bulwakar, Chairman NAB ko sideline kar ke, FIA ko NS ka naam ECL main daalnay ka keh dain..

Ho tou sakta hai aisa.

Ya phir, NS subah uthay aur decide karay ke main giraftari deta hun..
 
Paisay tou dene paraingay..

Inkay liey gaey qarzon par sood inhi ke paison se ada hoga.. .

Qaroon firoun or Nimrod.

Hamare azeez politicians.

Aaj meri hansi nikli to coffee gir gayi.

Zardari and sherry said they stayed awake all night for trump's conference.

Mamnoon Hussain Sahib to mast so rahe they.
 
Everyday is a new day. Tomorrow, you may see police knocking at the door of Mr. NS on the instruction of Mr. Justice Aijaz ul Ahsan. Till now, chances of such happening is low.

Aur Kulsoom ke election jeetnay ke chances kafi ziada hain abb,

Sirf ek cheez samajh nahi aarahi ab tak.. SC..koi monitoring na honay ka kia jawaaz dey gi? Unhon ne khud monitoring judge ka kaha tha..appoint ho bhi gaye..lekin hearing nahi.. Abhi se logon ne media par kehna shuru kar diya hai ke SC ..kia karrahi hai? Ek dafa weak references file hogaye tu ..sab tu yehi kahien ge ke SC kahan hai? Deal hogayi... Ye tu bhtt hi obvious hojayega.. SC ki credibilit bilkol zero hojayegi.. Abhi se log tv par keh rahay hain ke SC lahan hai? After 8th august..(if this date is correct) tab tak agar SC ne action na liya t..SC ka kia hoga? Itna obvious NRO karsakti hai SC? Ke apnay hi order ko implement nahi kiya..aur ek bhi hearing nahi ki?
 
Back
Top Bottom