Don't you think it was a right step from SC? Why every matter is being brought to SC when a political party is already on a mission to malign this forum?
Already they are defending their hearing of Panama issue under 184 by not taking active part in the monitoring, don't you think another case would have put them under a lot of pressure?
High court bhi aik forum hai. If Sh. Rasheed is not happy with HC decision, only then SC's door should be knocked as a last resort.
Aur LHC ne shareefon ke khilaaf faisla diya tou hai.. Sugar mills transfer walay case ka.. yeh keh kar ke sirf aik hukumraan khandaan ko faida pohnchaya ja raha hai.. tou abb ki baar bhi bharosa karleney main koi harj nahi..
IK ka case tou balance karnay ke liey lia gaya hai.. yeh uss waqt ki baat hai jab log direct SC ko approach nahi kar rahay thay har muamlay par.. abb tou har case SC ki taraf ja raha hai.. Halaat agar theek hotay.. aur hukukmat yeh perception nahi develop kar rahi hoti ke SC establishment ke saath mil kar koi saazish kar rahi hai, tou shayad SC yeh aur LNG, dono case le leti.. lekin abhi nahi le gi.. Mera apna khayal yeh hai ke Sh. Rasheed ko IHC jana chahiey, dono cases le kar.. aur IK ko bhi hibernation se nikal kar Sh. Rasheed ke saath mil kar kuch karna chahiey..
Haan yeh tou hai... ke leniency tou dikhai ja rahi hai... lekin sirf shareef family ko mulk se bahir karnay ke liey.. There is no chance.. I repeat no chance of Nawaz or Maryam coming to power again.. chahay yeh kuchh bhi karlain..
yeh inn ki sab se kam saza hai.. iss se ziada tou hosakti hai.. iss se kam nahi hosakti.. iss se ziada usi soorat hosakti hai jaisay main pichlay kafi weeks se chilla raha hun ke agar NS khud chahay ke main apna sar deewar par marunga.. tou usay koi nahi rokay ga.. lekin inn harkaton se woh dobara iqtedaar main nahi aasakta.. There is no way..
Aik India ka supporter honay ka perception buhat hai donon baap beti ke liey... iss mulk ki power se alag karne ke liey.. woh hochuka.. abb next step hai.. agar yeh log tasadum ki rah par chaltay rahay tou daulat bhi jaegi, aur mazeed kuchh kia tou jail bhi hogi in shaa Allah... lekin agar Sharafat se bhaaag gaey, aur convict hogaey tou wapsi ka raasta band..
Isi liey main ne tou ummeed hi nahi lagai thee.. mujhay tou pehlay hi kuchh logon ne ishara de dia tha ke kia honay wala hai aur main ne unn isharon ko apni samajh ke mutabiq yahan share kardia tha.. uss waqt mujhay bhi dukh hua tha.. lekin jo Pakistani qaum ke halaat hain.. jo main ne NA 120 main halat dekhi.. uss par mujhay laga ke iss mulk main jahan donkeys kasrat se paey jatay hon.. aur aik corrupt aadmi ko apni jaan maal dene ko tayyar hon, uss mulk main faislay Hazrat Umar (RA) ke daur ke nahi hua kartay.. ho hi nahi saktay.. impossible..
Actually, there is a strong case against Nawaz. SC has given 60 days timeline and Nawaz is avoiding the hearings, so article 17 can be applied.. there is no issue of legality here.. I think accountability court has taken the right decision.
Absentia ke cases uss waqt human rights ka masla bantay hain, jab koi mojud hi na ho.. uss ka pata hi na chal raha ho ke kahan gaya.. ya phir koi medical or other "valid" reasons ki wajah se court hearing attend hi nahi karsakta ho..
Yahan Nawaz hearing main aaya hai.. uss ko koi beemari nahi.. uss ki begum beemar hai, lekin she is being taken care of by her two sons and their families.. tou koi chakkar hi nahi hai ke absentia ka koi masla ho..
Plus.. uss ne hearing attend ki theen.. Yesterday tou sirf indictment honi thi.. aur uss ka lawyer mojud tha..
Tou ganja yeh rona ro hi nahi sakta..
@Dil Pakistan