What's new

Panama Case - Post Verdict Discussion and Updates

RS...Corruption aur terrorism ke nexus par tu woh bhtt boltay thay.... Openly laha tha ke hum accountability process ko support karein ge...

Bajwa sb tu corruption ke khilaaf boltay tak nahi ...

Bolnay se kia hota hai.. unn ki team ne tou JIT ke andar woh karnama dikhaya jo koi nahi dikhasaka..

Aur qarzay lena corruption thori hai.. qarzay tou systematic tareeqay se mulk ko ghutnon ke bal bithana hota hai..

Aaj ISPR bol tou raha hai jis pe PMLN ko aag lagi huee hai..
 
Buhat saari cheezain parday ke peechay se hoti hain jis ka mujh aur aap jaisay awaam ko idraak nahi hota..

hain kawakab kuchh nazar aatay hain kuchh..

Yeh bhi hosakta hai ke humain pata chalay ke he was helping Shareef family.. lekin abhi tou asaar aisay nahi hain..

Jis tarah PMLN gaaliyan de rahi hai army ko, uss se tou at least aisa nahi lagta..

PML N ...army ko sirf is liye target karrahi hai ke ye political narrative unhein suit karta hai..apnay voters ko bataanay kr liye ke humaray khilaf sazish hui hai..bajaye ye..ke jhoot par nikaala gaya.. Sazosh kk throry unhein suit karti hai..is liye bol rahay hain..is liyr nahi kr waqayi army unke against kuch karrahi hai
 
Ab tu abba jaan PM nahi hain.. Ab tu usay control karna..comparatvely asaan hona chahye tha......

Haan yeh sahi hai.. Maryam ko lady police se khoob maar lagwani chahiey thee.. aur phir ghaseet'tay huay gari main daal ke adyala main phenk dena chahiey tha..

RS yehi kartay..
 
Bolnay se kia hota hai.. unn ki team ne tou JIT ke andar woh karnama dikhaya jo koi nahi dikhasaka..

Aur qarzay lena corruption thori hai.. qarzay tou systematic tareeqay se mulk ko ghutnon ke bal bithana hota hai..

Aaj ISPR bol tou raha hai jis pe PMLN ko aag lagi huee hai..

Us waqt corruption ya terrorism ziada bara issue tha..us waqt ISPR us par ziada khul kar bolta tha.. Aaj is par bol rahay hain.. Waisy kuch din thehr jayein.. Kia pata kuch din main maafi maang lein ISPR.. Atleast RS ke tenure main ye darr nahi tha ke apni baat bol kar peechay hatt jayein ge
 
PML N ...army ko sirf is liye target karrahi hai ke ye political narrative unhein suit karta hai..apnay voters ko bataanay kr liye ke humaray khilaf sazish hui hai..bajaye ye..ke jhoot par nikaala gaya.. Sazosh kk throry unhein suit karti hai..is liye bol rahay hain..is liyr nahi kr waqayi army unke against kuch karrahi hai

Ji nahi.. yeh iss liey bakwaas kar rahay hain ke establishement PMLN ke tukray tukray karwa rahi hai aahista aahista..

Yeh iss liey bakwaas kar rahay hain ke establishment sabar ka muzahira kar rahi hai, jis ki wajah se inn ka political narrative awam ke dil main nahi utar raha..
 
Haan yeh sahi hai.. Maryam ko lady police se khoob maar lagwani chahiey thee.. aur phir ghaseet'tay huay gari main daal ke adyala main phenk dena chahiey tha..

RS yehi kartay..

Nahi.. Sirf NAB ko thora pechay se push denay ki zuroorat thee..ke apnay hi laws ko sahi tarah follow kar lay.. ..inn sab ke bhaagnay se pehle...
 
Us waqt corruption ya terrorism ziada bara issue tha..us waqt ISPR us oar ziada khul kar bolta tha.. Aaj is par bol rahay hain.. Waisy kuch din thehr jayein.. Kia pata kuch din main maafi maang lein ISPR.. Atleast RS ke tenure main ye darr nahi tha ke apni baat bol kar peechay hatt jayein ge

Jo tweet kia tha, woh true jazbaat ka izhaar tha.. jo wapis lia, woh hikmat thi.. aur koi chara hi nahi tha...

Tweet karna aik blunder tha.. aur history main woh tweet aik blunder ke tor par hi yaad rakha jaega.. uss se aagay sirf Martial Law tha.. aur peechay tweet ko wapis lena.. aur koi hal nahi tha..

Khair iss pe tou hum kafi dafa baat karchukay hain.. mera stance aap ko pata hai.. lets agree to disagree.

Nahi.. Sirf NAB ko thora pechay se push denay ki zuroorat thee..ke apnay hi laws ko sahi tarah follow kar lay.. ..inn sab ke bhaagnay se pehle...

Aur aap ko lagta hai ke NAB ko puch nahi kia hoga?

NAB ko push kar ke tou Irfan Mangi ko RWL NAB main dalwanay ki koshish ki thee.. nahi chali.. jahan chali wahan achay officers lagay..
 
Aur aap ko lagta hai ke NAB ko puch nahi kia hoga?

NAB ko push kar ke tou Irfan Mangi ko RWL NAB main dalwanay ki koshish ki thee.. nahi chali.. jahan chali wahan achay officers lagay..

Waqayi..SC ..inke pressure main aagayi lekin Qamar Zaman Chaudhry ne inka pressure lenay se inkaar kar diya.. Matlab phir SC tu darpok thee bhtt....asal bahadur tu QZC tha..
 
Waqayi..SC ..inke pressure main aagayi lekin Qamar Zaman Chaudhry ne inka pressure lenay se inkaar kar diya.. Matlab phir SC tu darpok thee bhtt....asal bahadur tu QZC tha..

Kyun ke SC neutral thee.. Qamar Zaman Ch. PMLN ke apna banda tha.. Uss ne tou SC ke aagay bhi jawab dedia tha ke main nahi kar raha, jo karsaktay ho karlo.. although it worked against Nawaz..

SC ko jo information mili honest officers ke baaray main.. unhon ne uss par amal kia.. Qamar Zaman tou ulta kaam karta tha.. kyun ke usay NS ko bachana tha..
 
Aur abb kia? Agar tu SC ne us waqt inki khwahish par amal kiya..iska matlab k ab bhi wohi horaha hai phir? Ab bhi phir inke hi kehnay par SC lenient hai?
 
Aur abb kia? Agar tu SC ne us waqt inki khwahish par amal kiya..iska matlab k ab bhi wohi horaha hai phir? Ab bhi phir inke hi kehnay par SC lenient hai?

iss se tou main agree karta hun.. inn ke kehnay par horaha hai ya nahi.. lekin dono lenient hain.. iss ki wajah kia hai yeh alag baat hai..

inn ke khayal main mulk inn ko jail bhejnay ka mutahammil nahi hosakta.. abb main aur aap agree karain ya disagree.. iss se kia farq parta hai..
 
22449730_10214516068677798_6859740241677541943_n.jpg
 
Acha ek aur baat

Raheel Sharif ke waqt main Maryam itna overtly zeher nahi ugalti thee.. Yes she had media cell.lekin us waqt itna openly expose nahi thee.. Woh dawn leaks main buti tarah expose hui thee...lekin dawn leaks....RS ke tenure ke bilkol end main hua..he had not much time left.. ..jitna ab woh anarchy spread karrahi hai..utna RS ke waqt main nahi tha.. Let me ask..what has been Bajwas response... Saari dheel tu RS ne di huibtehe..ab ye kia karrahay hain?

Bajwa needs to resign immediately and leave a place for a more competent General for COAS. He is highly incapable of handling tense situation today. There are many ways Army can topple this Govt without imposing marshal law and ends this crisis. But due to incompetency of Bajwa, Pakistan and Army are suffering a lot. The Sharifs would not have dared to go this extent had Raheel Shareef was here as COAS.
 
Pakistan Defence Latest Posts

Back
Top Bottom